Kya Kahun Tum Se Main Kya Kahun Tum Se Main Ki Kya Hai Ishq; Jaan Ka Rog Hai Bala Hai Ishq; Ishq Hi Ishq Hai Jahan Dekho; Saare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq; Ishq Mashook Ishq Aashiq Hai; Yani Apna Hi Mubtala Hai Ishq; Kaun Maksad Ko Ishq Bin Pahuncha; Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq; Mir Ji Zarad Hote Jaate Hain; Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq

Hasdeyan Nainan Noon Hasdeyan Nainan Noon Rona De Gaya 894; Vekho Ki Dil Da Parohna De Gaya 894; Akhaan Vich Jagraate Honthan Te Hawan 894; Eh Tohfa Pyar Da Sanoon Sohna De Gaya 894; Maut Vi Nahin Aavndi Jeona Vi Hoya Aokha 894; Eh Kaisa Rog Assanon Joon Joga De Gaya 894; Laare Lappe Laake Assanon Raah Vich 894; Chhad Ke Hath Assade Udeekaan De Gya

Gulazar-E-Hast Gulazar-E-Hast-O-Bu Na Beganavar Dekh; Hai Dekhane Ke Cheez Ise Bar Bar Dekh; Aaya Hai To Jahan Mein Misal-E-Sharar Dekh; Dam De Najaye Hasti-E-Napayedar Dekh; Mana Ke Teri Deed Ke Qabil Nahi Hun Main; Tu Mera Shauq Dekh Mera Intazar Dekh; Kholi Hain Zauq-E-Deed Ne Aankhen Teri To Phir; Har Rahaguzar Mein Naqsh-E-Kaf-E-Pay-E-Yar Dekh

Wo Gazal Walon Ka Wo Gazal Walon Ka Uslub Samajhate Honge; Chand Kahate Hain Kise Khub Samajhate Honge; Itni Milati Hai Meri Ghazlon Se Surat Teri; Log Tujh Ko Mera Mahbub Samajhate Honge; Main Samajhata Tha Mohabbat Ke Zaban Khushbu Hai; Phul Se Log Ise Khub Samajhate Honge; Bhool Kar Apna Zamana Ye Zamane Wale; Aj Ke Pyar Ko Mayub Samajhate Honge

Gulazar-E-Hast-O-Bu Gulazar-E-Hast-O-Bu Na Beganavar Dekh; Hai Dekhane Ke Cheez Ise Bar Bar Dekh; Aaya Hai To Jahan Mein Misal-E-Sharar Dekh; Dam De Najaye Hasti-E-Napayedar Dekh; Mana Ke Teri Did Ke Qabil Nahi Hun Main; Tu Mera Shauq Dekh Mera Intazar Dekh; Kholi Hain Zauq-E-Did Ne Aankhen Teri To Phir; Har Rahaguzar Mein Naqsh-E-Kaf-E-Pay-E-Yar Dekh

Tumhari Mast Nazar Tumhari Mast Nazar Agar Idhar Nahi Hoti; Nashe Mein Choor Fiza Is Kadar Nahi Hoti; Tumhin Ko Dekhane Ke Dil Mein Aarazuein Hain; Tamhare Aage Hi Aur Unchi Nazar Nahi Hoti; Khafa Na Hona Agar Bad Ke Tham Lu Daman; Ye Dil Fareb Khata Jan Kar Nahi Hoti; Tumhare Aane Talak Hum Ko Hosh Rehta Hai; Phir Uske Bad Hamein Kuch Khabar Nahi Hoti

Yun Baitha Hun Dil Yun Baitha Hun Dil Ke Daagh Se Khush; Jaise Bacha Charaagh Se Khush; Jab Taaron Ki Shamein Jhilmilein; Saaqi Ne Kiya Ayaagh Se Khush; Gham Chhod Gaya Jise Jagaa Kar; Wo Dil Na Hua Faraagh Se Khush; Ab Naala-e-Dil Na Chairh Bulbul; Ye Baagh Hai Shor-e-Zaagh Se Khush; Ab Raas Hai Ka Kunj-e-Gham Hee Nasir ; Ab Dil Nahi Sair-e-Baagh Se Khush

Dil Ne Ek Ek Dukh Saha Tanha; Anjuman Anjuman Raha Tanha; Dhalte Saayon Mein Tere Kooche Se; Koi Guzara Hai Barha Tanha; Teri Aahat Kadam Kadam Aur Main; Us Maiyat Mein Bhi Raha Tanha; Kuhna Yaadon Ke Barf-e-Jaaron Se; Ek Aansu Baha Baha Tanha; Doobte Sahil Ke Mod Pe Dil; Ek Khandhar Sa Raha Saha Tanha; Goonjta Reh Geya Khalaon Mein; Waqt Ka Ek Kehkaha Tanha

Saaya-e-Qasr-e-Yaar Saaya-e-Qasr-e-Yaar Mein Baitha; Main Tha Apne Khumaar Mein Baitha; Uska Aanaa Tha Khwaab Mein Aanaa; Main Abs-e-Intezaar Mein Baitha; Koi Soorat Nahi Hai Us Jaisi; Usko Dekhon Hazaar Mein Baitha; Usko Khushyon Se Khauf Aata Hai; Weham Kiya Zehen-e-Yaar Mein Baitha; Hum Bhi Raston Mein Phir Rahe Thay Faraz; Woh Bhi Tha Rahguzar Mein Baitha

Yeh Aur Baat Teri Yeh Aur Baat Teri Gali Main Na Ayen Hum; Lekin Yeh Kya Ke Tera Sheher Chorr Jayen Hum; Muddat Huyi Hai Kuye Bataan Ki Taraf Gaye; Awaargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachaayen Hum; Be noor Ho Chuki Hai Bohat Sheher Ki Fizaa; Tareek Raston Par Kahin Kho Na Jayen Hum; Us Ke Baghair Aaj Bohat Jee Udaas Hai; Jaalib Chalo Kahin Se Usey Dhoond Ke Layen Hum

Bechain Bahut Phirna Bechain Bahut Phirna Ghabraye Hue Rehna; Ik Aag Si Jazbon Ki Dehkaaye Hue Rehna; Chalkaaye Hue Khushbuu Lab-e-Laleen Ki; Ik Baag Sa Sath Apne Mehkaaye Hue Rehna; Ik Shaam Si Kar Rakhna Kaajal Ke Karishme Se; Ik Chaand Sa Aankhon Mein Chamkaaye Hue Rehna; Aadat Hi Bana Li Hai Tum Ne To Munir Apni; Jis Sheher Mein Bhi Rehna Uktaaye Hue Rehna

Kis-Kis Tarah Se Mujhko Na Kis-Kis Tarah Se Mujhko Na Ruswa Kiya Geya; Gairon Ka Naam Mere Lahoo Se Likha Geyaa; Nikla Tha Main Sada-e-Jaras Kee Talash Mein; Bhule Se Iss Sukoot Ke Sehra Mein Aa Geya; Kyon Aaj Us Ka Zikr Mujhe Khush Na Kar Saka; Kyon Aaj Us Ka Naam Mera Dil Dukha Geya; Iss Hadse Ko Sun Ke Karega Yakeen Koi; Suraj Ko Ek Jhonka Hawa Ka Bujha Geya

Kisi Ranjish Ko Hawa Do Ke Mein Zinda Hoo Abhi; Mujhe Koi Ahsaas Dila Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi; Mere Rukane Se Meri Saanse Bhi Ruk Jaayegi; Fasale Aur Badha Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi; Zehar Peene Ki Toh Aadat Thi Zamanewalo; Ab Koi Aur Dava Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi; Chalti Raho Mein Yuhi Aankh Lagi Hai Faakir ; Bheed Logo Ki Hata Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi

Tune Ye Phul Jo Zulfon Tune Ye Phul Jo Zulfon Mein Laga Rakha Hai; Ik Diya Hai Jo Andheron Mein Jala Rakha Hai; Jit Le Jaye Koi Mujhko Nasibon Vala; Zindagi Ne Mujhe Da O Pe Laga Rakha Hai; Jane Kab Aaye Koi Dil Mein Jhankane Vala; Is Liye Main Ne Gireban Ko Khula Rakha Hai; Imtehan Aur Meri Zabt Ka Tum Kya Loge; Main Ne Dhadakan Ko Bhi Sine Mein Chupa Rakha Hai

Mohabbat Se Rihaa Mohabbat Se Rihaa Hona Zaroori Ho Geya Hai; Mera Tujh Se Judaa Hona Zaroori Ho Geya Hai; Wafaa Ke Tazurbey Karte Hue To Umar Guzri; Zara Sa Bewafa Hona Zaroori Ho Geya Hai; Meri Awaaz Tanhaai Mein Marti Ja Rahi Hai; Kisi Ka Hamnawaa Hona Zaroori Ho Geya Hai; Azaab Zulmat-e-Shab Hai Ki Ab Dil Ke Labon Par; Koi Harf-e-Duaa Hona Zaroori Ho Geya Hai