Apna Deewana Bana Kar Le Jaye; Kabhi Wo Aaye Aur Aa Kar Le Jaye; Roz Buniyad Uthata Hun Nayi; Roz Sailab Baha Kar Le Jaye; Husn Walon Mein Koi Aisa Ho; Jo Mujhe Mujh Se Chura Kar Le Jaye; Rang-e-Rukhsaar Pe Itarao Nahi; Jaane Kab Waqt Udaa Kar Le Jaye; Kise Maloom Kahan Kaun Kise; Apne Raaste Pe Laga Kar Le Jaye; Aftab Ek To Aisa Ho Kahin; Jo Humein Apna Bana Kar Le Jaye

Tanhaiyon Mein Tanhaiyon Mein Khayaal Aata; Khayaalon Mein Wo Naam Chala Aata; Bekarar Dil Ko Karar Nahi Aata; Milne Ka Hamhe Kyun Unko Khayaal Nahi Aata; Jaage Bhi Wo Soye Bhi Wo Ye Silsila Thum Hi Nahi Pata; Soche To Kya Soche Koi Vichar Aur Smajh Nahi Aata; Rab Se Ajeej Wo Kaisa Saaya Hai Itna Kya Mann Ko Bhaya; Naam Lena Chahu Rab Ka Aur Uska Hi Naam Zubaan Pe Aa Jata

Wo Bulayein To Kya Tamasha Ho; Hum Na Jaayein To Kya Tamasha Ho; Ye Kinaron Se Khelne Wale; Doob Jaayein To Kya Tamasha Ho; Banda Parwar Jo Hum Pe Guzari Hai; Hum Batayein To Kya Tamasha Ho; Aaj Hum Bhi Teri Wafaon Par; Muskurayein To Kya Tamasha Ho; Teri Soorat Jo Itefaaq Se Hum; Bhool Jaayein To Kya Tamasha Ho; Waqt Kee Chand Satein Saghar ; Laut Aayein To Kya Tamasha Ho

Aah Ko Chaahiye Ik Umar Aah Ko Chaahiye Ik Umar Asar Hone Tak; Kaun Jeeta Hai Teree Zulf Ke sar Hone Tak; Aashiqee Sabr Talab Aur Tamanna Betaab; Dil Ka Kya Rang KarooN KHoon-e-Jigar Hone Tak; Ham Ne Maana Ke Taghaful Na Karoge Lekin; KHaak Ho JaayeNge Ham Tumko KHabar Hone Tak; GHam-e-Hastee Ka Asad Kis Se Ho Juz Marg Ilaaz; Shamma a Har Rang MeiN Jaltee Hai Sahar Hone Tak

Aashna Ho To Aashna Ho To Aashna Samjhe; Ho Jo Na-Aashna To Kya Samjhe; Hum Isi Ko Bhala Samhhte Hain; Aapko Jo Koi Bura Samjhe; Vasal Hai Tu Jo Samjhe Use Vasal; Tu Judaa Hai Aagr Judaa Samjhe; Jo Zeher Deve Apne Haath Se Tu; Tera Bimar-e-Gum Dawa Samjhe; Ho Wo Baigana Ek Alam Se; Jisko Apna Wo Dilruba Samjhe; Ai Zafar Woh Kabhi Na Ho Gumraah; Jo Mohabbat Ko Rehnuma Samjhe

Ajab Apna Haal Hota Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-e-Yaar Hota; Kabhi Jaan Sadqe Hoti Kabhi Dil Nisaar Hota; Na Mazaa Hai Dushmani Mein Na Hai Lutf Dosti Mein; Koi Gair Gair Hota Koi Yaar Yaar Hota; Yeh Mazaa Tha Dillagi Ka Ke Barabar Aag Lagti; Na Tumhein Qaraar Hota Na Hamein Qaraar Hota; Tere Vaade Par Sitamgar Abhi Aur Sabr Karte; Agar Apni Zindagi Ka Hamein Aitbaar Hota

Har Taraf Har Jagah Har Taraf Har Jagah Beshumaar Aadami; Phir Bhi Tanhaaiyo Ka Shikaar Aadami; Subah Se Shaam Tak Bojh Dhotaa Hua; Apani Hi Laash Ka Khud Mazaar Aadami; Roz Jitaa Hua Roz Marataa Hua; Har Nayi Din Nayaa Itazaar Aadami; Har Taraf Bhaagate Daudate Raaste; Har Taraf Aadami Ka Shikaar Aadami; Zindagi Ka Muqaddar Safar Dar Safar; Aakhiri Saans Tak Beqaraar Aadami

Har Ek Baat Pe Kehte Ho Har Ek Baat Pe Kehate Ho Tum Ki Tu Kya Hai; Tum Hi Kaho Ki Ye Andaaz-e-Guftgu Kya Hai; Ragon Mein Daudte Phirane Ke Hum Nahi Qaayal; Jab Aankh Hi Se Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai; Chipak Raha Hai Badan Par Lahoo Se Pairaahan; Hamari Jeb Ko Ab Haajat-e-Rafoo Kya Hai; Jalaa Hain Jism Jahaan Dil Bhii Jal Geya Hoga; Kuredte Ho Jo Ab Raakh Justajuu Kya Hai

Tere Ishq Ke Intaha Tere Ishq Ke Intaha Chahata Hoon; Meri Sadagi Dekh Kya Chahata Hoon; Sitam Ho Ki Ho Vada-E-Behijabi; Koi Baat Sabr-Azama Chahata Hoon; Ye Jannat Mubarak Rahe Zahidon Ko; Ki Main Aap Ka Samana Chahata Hoon; Koi Dam Ka Mehaman Hun Ae Ahal-E-Mahafil; Chirag-E-Sahar Hun Bujha Chahata Hoon; Bhari Bazm Mein Raaz Ke Baat Kah Di; Bada Be-Adab Hun Saza Chahata Hoon

Janoon Kaar Farma Janoon Kaar Farma Hua Chaahta Hai; Qadam Dasht Paima Hua Chaahta Hai; Dam-e-Girya Yeh Kiska Tasawur Hai Dil Mein; Keh Ashkon Se Darya Baha Chaahta Hai; Khat Aane Lage Shikwa Aamez Unke; Milaap Un Se Goya Hua Chaahta Hai; Abhi Lene Paae Nahin Dam Jahan Mein; Ajal Ka Taqaaza Hua Chaahta Hai; Bahut Chain Se Din Guzarte Hain Hali; Koi Fitna Barpa Hua Chaahta Hai

Tu Nahi Toh Zindagi Tu Nahi Toh Zindagi Mien Ujala Kaisa; Roshni Ke Sath Jeete Hai Bas Maut Ke Jaise; Sadma Toh Hai Tu Mere Sang Nahi; Haste Chehre Pe Yeh Hamare Muskarana Kaisa; Jeete Ja Rahe Hai Zindagi Ka Alam Shauk Ke Sath; Sath Tera Na Ho Tou Ye Hasna Hasana Kaisa; Ya Khuda Yhe Kaisi Dillagi Hai Aur Kaisi Hai Chahat; Hum Zarra Bhi Paas Nahi Uske Dil K Fir Yeh Intezaar Kaisa

Agar Yun Hi Ye Dil Agar Yun Hi Ye Dil Satata Rahega; To Ik Din Mera Jee Hi Jata Rahega; Main Jata Hun Dil Ko Tere Pas Chore; Meri Yaad Tujhko Dilata Rahega; Gali Se Teri Dil Ko Le To Chala Hun; Main Pahunchunga Jab Tak Yeh Aata Rahega; Qafas Main Koi Tum Se Ai Ham-Safiron; Khabar Kal Kee Humko Sunata Rahega; Khafa Ho Ki Ai Dard Mar To Chala Tu; Kahan Tak Gham Apna Chupata Rahega

Keh Rahi Hai Mere Keh Rahi Hai Mere Jazbaat Ki Jhankaar Tujhe; Kar Sake Ga Na Koi Meri Tarah Pyaar Tujhe; Raqss Karti Hai Tere Khoon Mein Meri Khushbu; Kya Lubhaaye Gi Kisi Phool Ki Mehkaar Tujhe; Woh Baddan Aik Hi Mar mar Se Taraashey Jis Ne; Main Ne Paaya Usi Fankaar Ka Shaahkar Tujhe; Shayed Ab Chup Na Sake Raaz-E-Mohabbat Mera; Main Ne Chup Reh Ke Sadaa Di Hai Kayi Baar Tujhe

Baat Phoolon Ki Suna Karte The; Hum Kabhi Sher Kaha Karte The; Mashalein Lekar Tumhare Gham Kee; Hum Andheron Mein Chala Karte The; Ab Kahan Aisi Tabiyat Wale; Chot Kha Kar Jo Jiya Karte The; Tark-e-Ehsas-e-Mohabbat Mushkil; Haan Magar Ahl-e-Wafa Karte The; Bikhri Bikhri Hui Zulfon Wale; Kaafile Rok Liya Karte The; Aaj Gulshan Mein Shagufe Saghar ; Shikwa Ai Baad-e-Sabaa Karte The

Mil Bhi Jaate Hain Toh Mil Bhi Jate Hain Toh Katara Ke Nikal Jaate Hain; Haye Mausam Kee Tarah Dost Badal Jaate Hain; Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Mohabbat Yaaro; Thokarein Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jaate Hain; Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda; Hum Samajhate Rahe Patthar Bhi Pighal Jaate Hain; Umar Bhar Jin Kee Wafaon Pe Bharosa Kije; Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jaate Hain