Wafa Ke Sheesh Mahal Wafa Ke Sheesh Mahal Mein Saja Liya Main Ne; Wo Ek Dil Jise Pathar Bana Liya Main Ne; Ye Soch Kar Ki Na Ho Tak Mein Khushi Koi; Gamon Ki Ott Mein Khud Ko Chupa Liya Main Ne; Kabhi Na Khatam Kiya Main Ne Roshani Ka Muhaz; Agar Chirag Bujha Dil Jala Liya Main Ne; Kamal Yeh Hai Ki Jo Dushman Pe Chalana Tha; Wo Teer Apne Kaleje Pe Kha Liya Main Ne; Qateel Jisaki Adavat Mein Ek Pyar Bhi Tha; Us Aadmi Ko Gale Se Laga Liya Main Ne

Agar Talaash Karun Agar Talaash Karun Koi Mil Hii Jaayegaa; Magar Tumhaarii Tarah Kaun Mujhe Chaahegaa; Tumhen Zaruur Koi Chaahaton Se Dekhegaa; Magar Vo Aankhen Hamaarii Kahaan Se Laayegaa; Naa Jaane Kab Tere Dil Par Naii Sii Dastak Ho; Makaan Khaalii Hua Hai To Koii Aayegaa; Main Apani Raah Mein Diivaar Ban Ke Baithaa Hun; Agar Vo Aayaa To Kis Raaste Se Aayegaa; Tumhaare Saath Ye Mausam Farishton Jaisaa Hai; Tumhaare Baad Ye Mausam Bahut Sataayegaa

Teri Zulfon Ke Bikharnay Teri Zulfon Ke Bikharnay Ka Sabab Hai Koi; Aankh Kehti Hai Tere Dil Mein Talab Hai Koi; Aanch Aati Hai Tere Jism Ki Uryaani Se; Pairhan Hai Ke Sulagti Howi Shab Hai Koi; Hosh Uraanay Lageen Phir Chaand Ki Thandi Kirnain; Teri Basti Mein Hun Ya Khwaab-e-Tarb Hai Koi; Geet Banti Hai Tere Sheher Ki Bharpoor Hawa; Ajnabi Mein Hee Nahi Tu Bhee Ajab Hai Koi; Lye Jaati Hain Kisi Dehaan Ki Lehrain Nasir ; Door Tak Silsila Taak-e-Tarb Hai Koi

Naseeb Aazmane Ke Din Naseeb Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain; Kareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain; Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai; Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain; Abhi Se Dil-o-Jaan Sar-e-Raah Rakh Do; Ki Lutne Lutaane Ke Din Aa Rahe Hain; Tapakne Lagi Un Nigaahon Se Masti; Nigahein Churane Ke Din Aa Rahe Hain; Saba Phir Humein Puchti Phir Rahi Hai; Chaman Ko Sajane Ke Din Aa Rahe Hain; Chalo Faiz Phir Se Kahin Dil Lagyein; Suna Hai Thikaane Ke Din Aa Rahe Hain

Jo Hua Ik Bar Woh Jo Hua Ik Bar Woh Har Baar Ho Aesa Nahin Hota; Hamesha Aik Hi Se Pyaar Ho Aesa Nahin Hota; Har Ik Kashti Ka Apna Hi Tajarba Hota Hai Darya Mein; Saffar Main Roz Hi Manjhdaar Ho Aesa Nahin Hota; Kahani Main To Kirdaaron Ko Jo Chahe Bana Dijiye; Haqeeqat Bhi Kahaani Kaar Ho Aesa Nahin Hota; Kahin To Koi Hoga Jis Ko Apni Bhi Zaroorat Ho; Har Ik Baazi Mein Dil Ki Haar Ho Aesa Nahi Hota; Sikhaa Deti Hain Chalna Thokrain Bhi Raahgiron Ko; Koi Raasta Sadaa Dushwaar Ho Aesa Nahin Hota

Kis Ne Mujhko Sada Dee Bata Kaun Hai; Ai Hawa Tere Ghar Mein Chhupa Kaun Hai; Baarishon Mein Kisi Ped Ko Dekhna; Shaal Odhe Hue Bheegta Kaun Hai; Main Yahan Dhoop Mein Tap Raha Hun Magar; Wo Paseene Mein Doobaa Hua Kaun Hai; Aasmano Ko Humne Bataya Nahi; Doobti Shaam Mein Doobta Kaun Hai; Khushbun Mein Nahayi Hui Shaakh Par; Phool-Sa Muskurata Hua Kaun Hai; Dil Ko Patthar Hue Ik Zamana Hua; Is Makaan Mein Magar Bolta Kaun Hai; Tum Bhi Mazboor Ho Hum Bhi Mazboor Hain; Bewafa Kaun Hai Bawafa Kaun Hai

Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi; Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi; Yeh Shab-E-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say; Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi; Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay; Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi; Laakh Moujon Main Ghira Hun Abi Dooba To Nahi; Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi; Qabr Say Aaj Bhi `Mohsin` Ki Aati Hai Sadaa; Tum Kahan Ho Mere Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi

Pani Vich Be Ke Pani Vich Be Ke Hawa Labda Reha; Ik Bewafa Vichon Wafa Labda Reha; Hathin Talash Kita Si Jera Pathar Da Bhoot; Ush Vichon Khuda Labda Reha; Te Tar Tar Kita Jine Aapni Ruh Da Lybas; Os Nange Baadan Vichu Haya Labda Reha; Jinu Jaan Jigar Asi Kehnde C; O Hor Kise Nu Chaunde Rahe; O Hasde Rahe Begaaneya Naal; Sanu Utle Mano Bulaunde Rae; Asi Kitia Duawa Pyaar Dia; Te O Daag Ishq Nu Launde Rahe; O Daag Mitaaya Nai Mitde; Asi Hanjua Naal Mitaaunde Rae; O Hi Raah Vich Saanu Dob Gae; Jinu Asi Kinaare Launde Rahe

Wo Dil Hi Kya Wo Dil Hi Kya Tere Milne Kee Jo Dua Na Kare; Main Tujh Ko Bhool Kar Zinda Rahuun Khuda Na Kare; Rahe Ga SaathTera Pyaar Zindagi Ban Kar; Ye Aur Baat Meri Zindagi Wafa Na Kare; Ye Theek Hai Nahi Marta Koi Judaai Mein; Khuda Kisi Se Kisi Ko Magar Judaa Na Kare; Suna Hai Usko Mohabbat Duayein Deti Hain; Jo Dil Pe Chot To Khaye Magar Gila Na Kare; Bujha Dia Hai Naseebon Ne Mere Pyaar Ka Chaand; Koi Dia Meri Palkon Pe Ab Jala Na Kare; Zamana Dekh Chuka Hai Parakh Chuka Hai; Qateel Jaan Se Jaaye Par Iltijaa Na Kare

Tumhare Khat Mein Naya Ek Tumhare Khat Mein Naya Ek Salaam Kiska Tha; Na Tha Raqeeb To Aakhir Woh Naam Kiska Tha; Raha Na Dil Mein Woh Bedard Aur Dard Raha; Muqeem Kaun Hua Hai Maqaam Kiska Tha; Wafa Karenge Nibhayenge Baat Maanege; Tumhe Bhi Yaad Hai Kuch Ye Kalaam Kiska Tha; Woh Katl Karke Har Kisi Se Puchte Hain; Yeh Kaam Kisne Kiya Yeh Kaam Kiska Tha; Guzar Geya Woh Zamana Kahein To Kis Se Kahein; Khyaal Dil Ko Mere Subah-o-Shaam Kiska Tha; Har Ek Se Kehte Hain Kya Daag Bewafa Nikala; Ye Puche Inse Koi Woh Ghulam Kiska Tha

Ye Tajaruba Bhi Karun Ye Tajaruba Bhi Karun Ye Bhi Kar Dikhalaun Main; Ki Khud Ko Yaad Rakhun Us Ko Bhool Jaun Main; Fareb-E-Kar Mein Kuch To Hai Koi Baat To Hai; Ki Jan Bujh Ke Itane Fareb Khaun Main; Wo Pal Kahan Hain Jo Duniya Se Jodata Tha Mujhe; Jo Paun Tujh Ko To Sab Ke Qarib Aaun Main; Kabhi To Ho Mere Ehasas-E-Kamtari Mein Kami; Kabhi To Ho Ki Use Khul Ke Aaun Main; Wo Shakhs Hai Ki Nasim-E-Sahar Ka Jhonka Hai; Bikhar Hi Jaun Jo Us Ko Gale Lagaun Main; Azan Ke Bad Dua Ko Jo Hath Uthaye Wo; Iman Apni Namazen Bhi Bhool Jaun Main

Jis Tarah Bhi Ho Saka Us Tarah Toda Mujhe; Zindagi Ne Maut Ke Qabil Nahi Samjha Mujhe; Zindagi Maankar Chalati Rahi Ghoda Mujhe; Har Kadam Par Maarti Hai Ek Naya Koda Mujhe; Zindagi Har Waqt Meri Peeth Par Baithi Rahi; Apni Marzi Ke Mutabiq Har Taraf Moda Mujhe; Is Tarah Apno Ke Ehsaan Hai Mujh Par Bahut; Chot De Kar Dil Ko Sheeshe Ki Tarah Joda Mujhe; He Zindagi Meri Tujhse Iltiza Itni Hai Bus; Chodhkar Nafrat Ki Bhasha Pyar De Thoda Mujhe; Warna Ek Din Jalti Hui Aag Se Bolegi Meri Laash Yoon; Zindagi Ne Aag Ke Dariya Me Laa Chhoda Mujhe

Sadmaa To Hai Mujhe Bhi Sadmaa To Hai Mujhe Bhi Ki Tujhse Judaa Hun Main; Lekin Yeh Sochta Hun Ki Ab Tera Kya Hun Main; Main Khudkushi Ke Jurm Ka Karta Hun Aitraaf; Apne Badan Ki Kabr Mein Kab Se Garrhaa Hun Main; Kis Kis Ka Naam Laaun Zubaan Par Ki Tere Saath; Har Roz Ek Shaks Naya Dekhta Hun; Kya Jaane Kis Adaa Se Liya Tune Mera Naam; Duniya Samajh Rahi Hai Ki Sab Kuch Tera Hun Main; Le Mere Tajrubon Se Sabak Aye Mere Raqeeb; Do-Chaar Saal Umar Mein Tujhse Barra Hun Main; Jaaga Huwa Zameer Woh Aiyena Hai Qateel ; Sone Se Pehle Roz Jise Dekhta Raha Hun Main

Wo Keh Ke Chale Wo Keh Ke Chale Itni Mulaqat Bahut Hai; Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bahut Hai; Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shaunq Say Jana; Aisay Mein Kahan Jaogi Barsaat Bahut Hai; Wo Kehne Lagi Jana Mera Bahut Zaroori Hai; Nahi Chahti Dil Todun Tera Par Majboori Hai; Gar Hui Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena; Maine Kaha Ho Jao Chup Itni Kahi Baat Bahut Hai; Samajh Geya Hu Sab Aur Kuch Kaho Zaroori Nahi; Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai; Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Laut Ke; Saari Zindagi Tanhayee Ke Liye Aaj Ki Raat Bahut Hai;

Ab Kis Se Kahen Ab Kis Se Kahen Aur Kaun Sune Jo Haal Tumhare Baad Hua; Iss Dil Kee Jheel See Aankhon Mein Ek Khwab Bahut Barbad Hua; Ye Hijr-Hawa Bhi Dushman Hai Iss Naam Ke Saare Rangon Kee; Wo Naam Jo Mere Honthon Pe Khushbu Kee Tarah Aabad Hua; Us Shehar Mein Kitne Chehre The Kuch Yaad Nahi Sab Bhool Gaye; Ek Shakhs Kitabon Jaisa Tha Wo Shakhs Zubani Yaad Hua; Wo Apne Ganv Kee Galiyan Thi Dil Jin Mein Nachta Gata Tha; Ab Iss Se Fark Nahi Padta Nashaad Hua Ya Shaad Hua; Benaam Sataish Rehti Thi In Gehri Sanwali Aankhon Mein; Aisa To Kabhi Socha Bhi Na Tha Ab Jitna Bedad Hua