Jahan Weeraana Hai Jahan Weeraana Hai Pahle Kabhi Aabad Yaan Ghar The; Shaghaal Ab Hai Jahan Baste Kabhi Bashar Yaan The; Jahan Chatial Hai Maidan Aur Sarasar Ek Khaaristan; Kabhi Yaan Qasar-o-Oaiwan The Chaman The Aur Shajar Yaan The; Jahan Phirte Bagoole Hain Unraate Khak Sahra Mein; Kabhi Urti Thi Daulat Raqas Karte Seembar Yaan The; Jahan Hain Sang Reze The Yahaan Yaaqut Ke Taude; Jahan Kankar Pare Hain Ab Kabhi Rulte Gohar Yaan The; Jahan Sunsaan Ab Jungle Hai Aur Hai Sher-e-Khamoshan; Kabhi Kya Kya The Hangaame Yahan Aur Shor-o-Shar Yaan The; Jahan Ab Khak Par Hain Naqash-e-Paae-Aahu-e-Sahra; Kabhi Mahw-e-Tamasha Deeda-e-Ahl-Enazar Yaan The; Zafar Ahwaal Aalam Ka Kabhi Kuchh Hai Kabhi Kuchh Hai; Ke Kya Kya Rang Ab Hain Aur Kya Kya Peshtar Yaan The Translation: Shaghaal = Jackals Prowl And Roar Bashar = Human Sher-e-Khamoshan = Desolate Grave Naqash-e-Paae-Aahu-e-Sahra = Pug Prints Of The Desert Deer Mahw-e-Tamasha Deeda-e-Ahl-Enazar = Wise Discerning Folk

Your Comment Comment Head Icon

Login