Be-Karaan Tanhaayion Ka Be-Karaan Tanhaayion Ka Silsila Reh Jaaye Ga; Tere Mere Darmiyaan Bas Ik Khalaa Reh Jaaye Ga; Aks Beh Jaayein Ge Saare Dhoop Ke Sailaab Mein; Aur Koi Paanion Mein Jhaankta Reh Jaaye Ga; Mujh Ko Mere Hamsafar Aisa Safar Darpaish Hai; Raasta Kat Bhee Gaya To Fansla Reh Jaaye Ga; Log So Jaayein Ge Khamoshi Ki Chaadar Aud Kar; Chaand Soone Aanganon Mein Jaagta Reh Jaaye Ga; Jo Kabhi Us Ne Parheen Theen Mujh Se Nasir Maang Kar; Naam Mera Unn Kitaabon Mein Likha Reh Jaaye Ga

Dil Ajab Gumbad Dil Ajab Gumbad Ke Jis Mein Ik Kabutar Bhi Nahin; Itna Viran To Murdaron Ka Muqaddar Bhi Nahin; Dabati Jati Hain Mitti Mein Badan Ki Kashtiyan; Dikhne Mein Yeh Zamin Koi Samandar Bhi Nahin; Jitne Hangamein Thay Sukhi Tahaniyon Se Jhadd Gaye; Par Phal Bhi Nahin Angan Mein Patthar Bhi Nahin; Khushk Taahani Par Parinda Hai Ki Patta Hai Adeem; Ashiyana Bhi Nahin Jis Ka Koi Par Bhi Nahin; Jitni Pyari Hain Meri Dharati Jo Zanjirein Adeem; Itna Pyara Toh Kisi Dulhan Ko Zevar Bhi Nahin

Badh Gaya Tha Pyas Ka: Badh Gaya Tha Pyas Ka Ehasas Dariya Dekh Kar; Hum Palat Aaye Magar Pani Ko Pyasa Dekh Kar; Hum Bhi Hain Shayad Kisi Bhataki Hui Kashti Ke Log; Chikhane Lagate Hain Khwabon Mai Jazira Dekha Kar; Jis Ke Jitani Haisiyat Hai Usake Nam Utana Khulus; Bhik Dete Hain Yahan Ke Log Kasa Dekh Kar; Mangate Hain Bhik Ab Apne Muhallon Mai Faqir; Bhuk Bhi Muhatat Ho Jati Hai Khatra Dekh Kar; Khudkushi Likhi Thi Ek Beva Ke Chehare Par Magar; Phir Wo Zinda Ho Gayi Bacha Bilakata Dekh Ka

Ye Aish-o-Tarab Ke Matwale Ye Aish-o-Tarab Ke Matwale Bekar Kee Baatein Karte Hain; Payal Ke Gamon Ka Ilm Nahi Jhankar Kee Baatein Karte Hain; Nahak Hai Hawas Ke Bandon Ko Nazara-e-Fitrat Ka Dawa; Aankhon Mein Nahi Hai Betabi Deedar Kee Baatein Karte Hain; Kehte Hain Unhi Ko Dushman-e-Dil Naam Unhi Ka Naseh Bhi; Wo Log Jo Reh Kar Sahil Par Majhdhar Kee Baatein Karte Hain; Pahunche Hain Jo Apni Manzil Par Un Ko To Nahi Kuch Naz-e-Safar; Chalne Ka Jinhe Maqdur Nahi Raftaar Kee Baatein Karte Hain

Mere Qaatil Ko Pukaro Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi; Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi; Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say; Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi; Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay; Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi; Laakh Moujon Main Ghira Hun Abi Dooba Tou Nahi; Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi; Qabr Say Aaj Bhi `Mohsin` Ki Aati Hai Sadaa; Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi

Tujhse Bicharr Kar Tujhse Bicharr Kar Kya Hun Main Ab Bahar Aakar Dekh; Himmat Hai To Meri Haalat Aankh Mila Kar Dekh; Shaam Hai Gehri Tez Hawaa Hai Sar Pe Khari Hai Raat; Rasta Gaye Musafir Ka Ab Diya Jalaa Kar Dekh; Darwaze Ke Paas Aa Aa Kar Wapis Mudti Chaap; Kaun Hai Iss Sunsaan Gali Mein Paas Bula Kar Dekh; Shayad Koi Dekhne Wala Ho Jaye Khairaan; Kamre Ki Deewaron Par Koi Naqsh Bana Kar Dekh; Tu Bhi Munir Ab Bhare Jahaan Mein Mil Kar Rehna Seekh; Bahar Se To Dekh Liya Ab Andar Jaa Kar Dekh

Ishq Mein Dil Ne Bahut Kaam Nikala Apna; Sach Hai Milta Hai Kahaan Chahne Wala Apna; Main Uthta Hun Sahare Ke Liye Uske; Reh Na Geya Ho Raah Mein Kahin Dard Apna; Khakh Kis-Kis Kee Khuda Jaane Hui Ai Daman Wale; Tune Chalte Hue Daman Na Sambhala Apna; Dil Chune Wale Do Lafz Hi Likhe The Usne; Kaam-Kaaz Sab Ulat Pher Ho Geya Apna; Hain Bure Haal Ki Sab Dekhne Waale Hain; Koi Duniya Mein Nahi Haal Puchhne Wala Apna; Ishq Mein Dil Ne Bahut Kaam Nikala Apna; Sach Hai Milta Hai Kahaan Chahne Wala Apna

Badh Gaya Tha Pyaas Ka Badh Gaya Tha Pyaas Ka Ehasas Dariya Dekh Kar; Hum Palat Aaye Magar Pani Ko Pyasa Dekh Kar; Hum Bhi Hain Shayad Kisi Bhataki Hui Kashti Ke Log; Chikhane Lagate Hain Khwabon Mai Zazira Dekha Kar; Jis Ke Jitani Haisiyat Hai Usake Nam Utana Khulus; Bhikh Dete Hain Yahan Ke Log Kasa Dekh Kar; Mangate Hain Bhikh Ab Apne Muhallon Mai Faqir; Bhukh Bhi Muhatat Ho Jati Hai Khatra Dekh Kar; Khudkushi Likhi Thi Ek Bewa Ke Chehare Par Magar; Phir Wo Zinda Ho Gayi Bacha Bilakata Dekh Ka

Sirf Dhokha Tha Koi Tera Sirf Dhokha Tha Koi Tera Ki Jo Tha Wo Na Tha; Maine Socha Tha Tujhe Jaisa Ki Jo Tha Wo Na Tha; Manzilo Kee Justju Mein Ghar Se Main Nikla Magar; Tha Sabhi Kuch Theek Par Raasta Ki Jo Tha Wo Na Tha; Saath Tha Din Bhar Wo Mere Ik Musafir Kee Tarah; Shaam Jab Aayi To Ye Jana Ki Jo Tha Wo Na Tha; Uske Bheetar Jhankte Hi Mujhko Andaza Hua; Tha Wo Apni Jaat Mein Aisa Ki Jo Tha Wo Na Tha; Tune Nahak Meri Baaton Ka Bura Maana Hai Dost; Gaur Karna Bas Mera Kehna Ki Jo Tha Wo Na Tha

Mili Hawaon Mein Udne Ki Wo Saza Yaaro; Ki Main Zameen Ke Rishton Se Kat Geya Yaaro; We Be-Khayal Musafir Main Raasta Yaaro; Kahan Tha Bas Mein Mere Use Rokna Yaaro; Mere Kalam Pe Zamae Kee Gard Aisi Thi; Ki Apne Baare Mein Kuch Bhi Na Likh Saka Yaaro; Tamam Shehar Hi Uski Talaash Mein Ghum Tha; Main Uske Ghar Ka Pata Kis Se Puchta Yaaro; Jo Beshumar Dilon Ki Nazar Mein Rehta Hai; Wo Apne Bachhon Ko Ek Ghar Na De Saka Yaaro; Janab-e-Meer Ko Khudrajiyon Mein; Miyan Wasim Ke Kehne Ko Kya Bacha Yaaro

Duniyaa Jise Kahate Hain Duniyaa Jise Kahate Hain Jaaduu Kaa Khilonaa Hai; Mil Jaaye To Mittii Hai Kho Jaaye To Sonaa Hai; Achaa Saa Koi Mausam Tanahaa Saa Koi Aalam; Har Waqt Kaa Ronaa To Bekaar Kaa Ronaa Hai; Barsaat Kaa Baadal To Diwaanaa Hai Kyaa Jaane; Kis Raah Se Bachanaa Hai Kis Chahat Ko Bhigonaa Hai; Gham Ho Ki Khushii Donon Kuchh Der Ke Saathii Hain; Phir Rastaa Hii Ras-Taa Hai Hansanaa Hai Na Ronaa Ha Translation: Aalam: Beauty Nature Rastaa Hi Ras-Ta Hai: Just The Journey Is The Essense

Humein Koi Gham Nahi Tha Humein Koi Gham Nahi Tha Gham-e-Aashiqui Se Pehle; Na Thi Dushmani Kisi Se Teri Dosti Se Pehle; Hai Ye Meri Badnaseebi Tera Kya Kasur Iss Mein; Tere Gham Ne Maar Dala Mujhe Zindagi Se Pehle; Mera Pyaar Jal Raha Hai Ai Chand Aaj Chhup Jaa; Kabhi Pyaar Tha Humein Bhi Teri Chandni Se Pehle; Main Kabhi Na Muskurata Jo Mujhe Ye Ilm Hota; Ki Hazaron Gham Milenge Mujhe Ik Khushi Se Pehle; Ye Ajeeb Imtihan Hai Ki Tum Hi Ko Bhulana Hai; Mile Kab The Iss Tarah Hum Tumhein Bedili Se Pehle

Kuchh Faisala To Ho Ki Kidhar Jana Chahiye; Paani Ko Ab To Sar Se Guzar Jana Chahiye; Har Baar Aidiyon Pe Gira Hai Mera Lahoo; Maqtal Mein Ab Ba-Tarz-e-Digar Jana Chahiye; Kya Chal Sakenge Jin Ka Faqat Masla Ye Hai; Jaane Se Pehle Rakht-e-Safar Jana Chahiye; Sara Jvaar-Bhata Mere Dil Mein Hai Magar; Ilzaam Ye Bhi Chaand Ke Sar Jana Chahiye; Jab Bhi Gaye Azaab-e-Dar-o-Baam Tha Wahi; Aakhir Ko Kitni Der Se Ghar Jana Chahiye; Tohmat Laga Ke Maa Pe Jo Dushman Se Daad Le; Aise Sukhanafarosh Ko Mar Jan Chahiye

Ek Katra Malal Bhi Ek Katra Malal Bhi Boya Nahi Geya; Woh Khauf Ki Logon Se Roya Nahi Geya; Yeh Sach Hai Ki Teri Bhi Neendein Ujad Gayi; Tujh Se Bichhad Ke Hum Se Bhi Soya Nahi Gaya; Uss Raat Tu Bhi Pehle Sa Apna Nahi Laga; Uss Raat Khul Ke Mujhse Bhi Roya Nahi Geya; Daman Hai Khushk Aankh Bhi Chupchap Hai Bahut; Ladiyon Mein Aansuon Ko Piroya Nahi Geya; Alfaz Talkh Baat Ka Andaaz Sard Hai; Pichla Malal Aaj Bhi Goya Nahi Geya; Ab Bhi Kahin Kahin Pe Kalikh Lagi Hui; Ranjish Ka Daag Theek Se Dhoya Nahi Geya

Tujhse Bichad Kar Kya Hun Main Tujhse Bichad Kar Kya Hun Main Ab Bahar Aakar Dekh; Himmat Hai To Meri Haalat Aankh Mila Kar Dekh; Shaam Hai Gehri Tez Hawa Hai Sar Pe Khadi Hai Raat; Raasta Gaye Musafir Ka Ab Diya Jalaa Kar Dekh; Darwaze Ke Paas Aa Aa Kar Wapis Mudti Chaap; Kaun Hai Iss Sunsaan Gali Mein Paas Bula Kar Dekh; Shayad Koi Dekhne Wala Ho Jaye Khairaan; Kamre Kee Deewaron Par Koi Naqsh Bana Kar Dekh; Tu Bhi Munir Ab Bhare Jahaan Mein Mil Kar Rehna Seekh; Bahar Se To Dekh Liya Ab Andar Ja Kar Dekh