Giri Tabassum Ki Bijli Giri Is Tabassum Ki Bijali Ajal Par; Andhere Ka Ho Noor Mein Kya Guzara; Justjoo Jis Gul Ki Tarpati Thi Ai Bulbul Mujhe; Khoobi-e-Qismat Se Aakhir Mil Gaya Woh Gul Mujhe; Parwana Tujhse Karta Hai Ai Shama Pyaar Kyon; Ye Jaane Beqaraar Hai Tujh Par Nisar Kyon; Qismat Buri Sahi Par Tabiyat Buri Nahin; Hai Shukr Ki Jagah Ki Shikayat Nahin Mujhe; Zulm Hai Gar Na Do Sakun Ki Daad; Qahar Hai Gar Karona Mujhko Pyaar; Hoga Koi Aisa Bhi Ki Ghalib Ko Na Jaane; Shayar Toh Wah Achchha Hai Par Badnaam Bahut Hai

Apna To Chahton Mein Apna To Chahton Mein Yahi Ek Asool Hai; Tera Bhala Bura Humein Sab Kuch Qubool Hai; Yeh Umar Bhar Ka Jaagna Bekaar Hi Na Jaye; Tu Na Mila To Saari Reyazat Fizool Hai; Khud Hi Kaha Tha Tu Ne Meri Jaan Chorr De; Ab Chorr Di To Kyon Tera Chehra Malool Hai; Ai Maan Yeh Meri Shohratein Meri Yeh Izatein; Kuch Bhi Nahi Bas Tere Kadmon Ki Dhool Hai; Aayi Jo Teri Yaad To Aankhein Baras Padi; Iss Waqt Tere Dard Ka Dil Par Nazool Hai; Ik Doosre Ke Waastey Dono Bane Wasi ; Guldaan Mera Dil Hai Teri Yaad Phool Hai

Aah Ko Chaahiye Aah Ko Chaahiye Ik Umar Asar Hone Tak; Kaun Jiitaa Hai Terii Zulf Ke Sar Hone Tak; Aashiqii Sabartalab Aur Tamannaa Betaab; Dil Kaa Kyaa Rang Karun Khuunejigar Hone Tak; Ham Ne Maanaa Ke Tagaaful Na Karoge Lekin; Khaak Ho Jaayenge Ham Tumako Khabar Hone Tak; Gamehastii Kaa Asad Kis Se Ho Juz Marg Ilaaj; Shamm a Har Rang Men Jaltii Hai Sahar Hone Tak Translation: Sar: Beginning Sabr-Talab: Suppressed Desires Tagaaful: Apathy Ignore Gham-E-Hastii: Life Of Sorrow Asad: A Reference To The Poet Mirza Ghali

Apne Aap Se Phirtey Apne Aap Se Phirtey Hain Beganey Kyon; Sheher Mein Aakar Log Huye Deewaney Kyon; Hum Ne Kab Maani Thi Baat Zamaney Ki; Aaj Hamari Baat Zamana Maaney Kyon; Woh Jungle Ke Phoolon Per Kyon Marta Hai; Us Ko Achey Lagte Hain Veeraney Kyon; Sachi Baat Se Ghabraney Ki Aadat Kya; Jhootey Logon Se Apne Yaraaney Kyon; Halwat Mein Jo Aankh Milatey Darta Ho; Mailey Mein Woh Shakhss Humain Pehchaney Kyon; Mohsin Jab Bhi Chott Neyi Kha Leta Hoon; Dil Ko Yaad Atey Hain Yaar Puraney Kyon Translation: halwat: seclusion

Zara Si Der Ko Aaye The Khwab Aankhon Mein; Phir Us Ke Baad Musalsal Azab Aankhon Mein; Wo Jis Ke Naam Kee Nisbat Se Roshan Tha Wujud; Khatak Raha Hai Wahi Aftab Aankhon Mein; Jinhe Mata-e-Dil-o-Jan Samajh Rahe The Hum; Wo Aaine Bhi Hue Behijab Aankhon Mein; Ajab Tarah Ka Hai Mausam Ki Khak Udti Hai; Wo Din Bhi The Ki Khile The Gulab Aankhon Mein; Meri Ghazal Teri Vahshaton Kee Khair Kee Hai; Bahut Dino Se Bahut Iztarab Aankhon Mein; Na Jane Kaisi Qayamat Ka Peshkhema Hai; Ye Uljhane Teri Be-Intasab Aankhon Mein

Mere Dil Di Pehli Mere Dil Di Pehli Kahani Padh; Kise Hor Noon Yaar Banaveen Naa; Mainu Soch Samajh Ke Dil Daiween; Mere Naal Mazaq Banaveen Naa; Iss Pyar Wich Rolay Hunde Ne; Dil Qaim Rakheen Ghabraveen Naa; Je Tu Mangein Te Main Jind Daisaan; Par Kise Hor Noo Yaar Banaveen Naa; Vairi Jag Sara Iss Pyar Da A; Be Qadre Noon Dard Sunaveen Naa; Ae Dunya Badi e Zalim A; Ainoo Kadi V Dukh Sunaveen Naa; Har Ik Nahi Hunda Pyar De Qabal; Ae Gal Meri Tu Bhulaveen Naa Waris ; Je Mil Jawe Tenu Dost Sacha; Uss Dost Nu Kadi Gawaveen Naa

Voh Duroondon Ke Voh Duroondon Ke Salaamon Ke Nagar Yaad Aaye; Na atein Parhte Hue Qasbaat Ke Ghar Yaad Aaye; Shaam Ke Baad Kachehri Ka Thakaa Sanaataa; Begunaahii Ko Adaalat Ke Hunar Yaad Aaye; Ghar Ki Masjid Mein Woh Nuuraani Se Chehre; Khaanqaahon Mein Duaaon Ke Shajar Yaad Aaye; Mere Seene Mein Koi Saans Chubhaa Karti Hai; Jaise Mazduuron Ko Pardes Mein Ghar Yaad Aaye; Kitne Khat Aaye Gaye Shaakh Mein Phoolon Kii Tarah; Aaj Daryaa Mein Chiraagon Ke Safar Yaad Aaye Translation: Naat = Poetry in Prophet Muhammad s Praise

Payaam Aaye Hain Payaam Aaye Hain Us Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe; Jise Qarar Na Aaya Kahin Bhula Ke Mujhe; Judaiyan Hon To Aisi Ki Umar Bhar Na Milein; Fareb Do To Zara Silsile Barha Ke Mujhe; Nashe Se Kam To Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam; Ki Le Udaa Hai Koi Dosh Par Hawa Ke Mujhe; Main Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Wale; Udaas Chorrh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe; Tumhare Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar; Jo Dekhna Ho To Dekho Nazar Utha Ke Mujhe; Khinchi Hui Hai Mere Aansoun Mein Ek Tasveer; Faraz Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe

Paikar Tha Wafa Ka Paikar Tha Wafa Ka Mohabbat Ka Khuda Tha; Woh Shakhs Zamane Mein Sab Se Hi Juda Tha; Chahat Ke Khazane They Har Lafz Mein Us Ke; Daaman Mera Us Ne Duaaon Se Bhara Tha; Mujh Ko Nahin Dekha Karri Dhoop Ne Chu Kar; Baba Mera Duniya Main Mujhe Aisa Jo Mila Tha; Fikrein Na Zamane Ki Kabhi Paas Bhi Aayi; Har Dard Meri Hasti Se Dartaa Hi Raha Tha; Jab Tak Raha Saanson Ka Basera Mere Baba; Tab Tak Main Ghamon Se Bachta Hi Raha Tha; Us Shaam Ki Hiddat Mere Dil Se Nahin Jati; Jis Shaam Tera Saaya Mere Sar Se Utha Tha

Giri Is Tabassum Ki Bijli Giri Is Tabassum Ki Bijali Ajal Par; Andhere Ka Ho Noor Mein Kya Guzara; Justjoo Jis Gul Ki Tarpati Thi Ai Bulbul Mujhe; Khoobi-e-Qismat Se Aakhir Mil Gaya Woh Gul Mujhe; Parwana Tujhse Karta Hai Ai Shama Pyaar Kyon; Ye Jaane Beqaraar Hai Tujh Par Nisar Kyon; Qismat Buri Sahi Par Tabiyat Buri Nahin; Hai Shukr Ki Jagah Ki Shikayat Nahin Mujhe; Zulm Hai Gar Na Do Sakun Ki Daad; Qahar Hai Gar Karona Mujhko Pyaar; Hoga Koi Aisa Bhi Ki Ghalib Ko Na Jaane; Shayar Toh Wah Achchha Hai Par Badnaam Bahut Hai

Dil Ke Dariya Ko Dil Ke Dariya Ko Kisi Roz Utar Jana Hai; Itna Besimt Na Chal Laut Ke Ghar Jana Hai; Us Tak Ati Hai To Har Chiz Thahar Jati Hai; Jaise Pana Hi Use Asl Main Mar Jana Hai; Bol Ai Sham-e-Safar Rang-e-Rihai Kya Hai; Dil Ko Rukana Hai K Taron Main Thahar Jana Hai; Kaun Ubharate Hue Mahatab Ka Rasta Roke; Us Ko Har Taur Su-e-Dasht-e-Sahar Jana Hai; Main Khila Hun To Isi Khak Main Milna Hai Mujhe; Vo To Khushbu Hai Use Agle Nagar Jana Hai; Vo Tere Husn Ka Jadu Ho K Mera Gam-e-Dil; Har Musafir Ko Isi Ghat Utar Jana Hai

Taluq Rakh Liya Baaki Taluq Rakh Liya Baaki Yakeen Tod Aaya Hun; Kisi Ka Saath Dena Tha Kisi Ko Chod Aaya Hun; Tumhare Saath Jeene Kee Kasam Khane Se Kuch Pehle; Main Kuch Vaade Kayi Kasmein Kahin Pe Tod Aaya Hun; Mohabbat Kaanch Ka Zinaaan Thi Yun Sang-e-Garaan Kab Thi; Jahan Sir Phod Sakta Tha Wahan Sir Phod Aaya Hun; Palat Kar Aa Geya Lekin Yun Lagta Hai Ki Apna Aap; Jahan Tum Mujh Se Bichde The Wahin Rakh Chod Aaya Hun; Use Jaane Kee Jaldi Thi So Main Aankhon Hi Aankhon Mein; Jahan Tak Chod Sakta Tha Wahan Tak Chod Aaya Hun

Ajnabi Khauf Fizaon Ajnabi Khauf Fizaon Mein Basa Ho Jaise; Shehar Ka Shehar Hi Aaseb Zada Ho Jaise; Raat Ke Pichle Pehar Aati Hain Awazein Si; Dur Shehar Mein Koi Cheekh Raha Ho Jaise; Dar-o-Divar Pe Chhai Hai Udasi Aisi; Aaj Har Ghar Se Janaza Sa Utha Ho Jaise; Muskurata Hun Pa-e-Khatir-e-Ahabab Magar; Dukh To Chehre Ki Lakiron Pe Saja Ho Jaise; Ab Agar Dub Gaya Bhi Toh Marunga Na Kamal; Behte Pani Pe Mera Naam Likha Ho Jaise Translation: Aaseb Zadaa = haunted; Cheekh = Scream; Pa-e-Khatir-e-Ahabab = for the welcome of friends

Jab Ishq Sikhata Hai Jab Ishq Sikhata Hai Aadaab-e-Khud-Aagahi; Khulte Hain Ghulamon Par Asaraar-e-Shahanshahi; Attaar Ho Rumi Ho Raazi Ho Ghazaali Ho; Kuch Haath Nahin Aataa Be-Aah-Sahar-Gaahi; Naumeed Na Ho In Se Ai Rah-Bar-e-Farzaana; Kam-Kosh To Hain Lekin Be-Zauq Nahin Raahi; Ai Tayar-e-Lahooti Us Rizq Se Maut Achhhi; Jis Rizq Se Aati Ho Parvaaz Mein Kotahi; Daara o Sikandar Se Woh Mard-e-Faqeer Aulaa; Ho Jiski Faqeeri Mein Boo-e-Asadool-Laahi; Aaeen-e-Jawan Mardaan Haq-Goyi o Be-Baaki; Allaah Ke Sheron Ko Aati Nahin Roobahi

Kasam Hai Aapke Kasam Hai Aapke Har Roz Rooth Jaane Kee; Ki Ab Hawas Hai Ajal Ko Gale Lagane Kee; Wahan Se Hai Meri Himmat Kee Ibtidaa Allah; Jo Intiha Hai Tere Sabr Aazmane Kee; Phoonka Hua Hai Mere Aashiyan Ka Har Tinka; Falak Ko Khoo Hai To Hai Bijliyan Girane Kee; Hazaar Baar Hui Go Malalegul Se Dochaar; Kalee Se Khoo Na Gayi Phir Bhi Muskurane Kee; Mere Guroor Ke Maathe Pe Aa Chali Hai Shikan; Badal Rahi Hai To Badle Hawa Zamane Kee; Chiraag-e-Dair-o-Harm Kab Ke Bujh Gaye Ai Josh ; Hanoz Shammaa Hai Roshan Sharab Khaane Kee