Payaam Aaye Hain Payaam Aaye Hain Us Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe; Jise Qarar Na Aaya Kahin Bhula Ke Mujhe; Judaiyan Hon To Aisi Ki Umar Bhar Na Milein; Fareb Do To Zara Silsile Barha Ke Mujhe; Nashe Se Kam To Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam; Ki Le Udaa Hai Koi Dosh Par Hawa Ke Mujhe; Main Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Wale; Udaas Chorrh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe; Tumhare Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar; Jo Dekhna Ho To Dekho Nazar Utha Ke Mujhe; Khinchi Hui Hai Mere Aansoun Mein Ek Tasveer; Faraz Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe

Your Comment Comment Head Icon

Login