Dar Ke Kisi Se Dar Ke Kisi Se Chup Jataa Hai Jaise Saanp Khazane Mein; Zar Ke Zor Se Zinda Hain Sab Khaak Ke Is Veerane Mein; Jaise Rasam Ada Karte Ho Sheharon Kee Aabadi Mein; Subah Ko Ghar Se Door Nikalkar Shaam Ko Wapis Aane Mein; Neele Rang Mein Doobi Aankhein Khuli Padi Thi Sabze Par; Aks Pada Tha Aasman Ka Shayad Iss Paimane Mein; Dil Kuch Aur Bhi Sard Hua Hai Shaam-e-Shehar Kee Raunak Mein; Kitni Ziya Besood Gayi Sheeshe Ke Lafz Jalane Mein; Main To Munir Aaine Mein Khud Ko Tak Kar Hairan Hua; Ye Chehra Kuch Aur Tarah Tha Pehle Ek Zamane Mein

Your Comment Comment Head Icon

Login