Tanhayi Mein Ajeeb Tanhayi Mein Ajeeb Zamanay Ki Wafaa Dekhta Raha; Umar Bhar Apna Ghar Tanha Dekhta Raha; Kaheen Na Kaheen Tou Badal Hee Jaatay Hain Silsilay; Magar Main Jahan Gaya Sehra Dekhta Raha; Jaanay Kiun Katraatay Hain Loog Mujhe Milne Se; Kal Shab Dair Talak Aaina Dekhta Raha; Paani Maangtay Maangtay Mere Honth Pathar Ho Gaye; Wo Shakhs Mashkeezah Lye Khada Dekhta Raha; Be-Gunaah Tha Phir Bhi Sir Jhukaaye Howay; Sitamgar Ki Sitam Ki Intehaa Dekhta Raha; Umar Bhar Mohabbat Ka Kuch Yun Sila Raha; Main Ose Aur Wo Duniya Dekhta Raha; Kahunga Khuda Se Yom-e-Hisaab Ko Mohsin ; Ke Zamaana Meri Barbaadi Ka Tamaasha Dekhta Raha

Your Comment Comment Head Icon

Login