Raat Ke Khwab Sunayein Kis Ko Raat Ke Khwab Sunayein Kis Ko Raat Ke Khwab Suhane The; Dhoodhle Dhoodhle Chehre The Par Sab Jaane Pahchane The; Ziddi Wahshi Alhar Chanchal Meethe Log Raseele Log; Honth Un Ke Ghazalon Ke Misre Aankhon Mein Afsane The; Yeh Ladki To Inn Galiyon Mein Roz Hi Ghuuma Karti Thi; Iss Se Un Ko Milna Tha To Iss Ke Lakh Bahane The; Hum Ko Sari Raat Jagaya Jalte Bujhte Taron Ne; Hum Kyon Un Ke Dar Pe Utre Kitne Aur Thikane The; Vahshat Kee Unvaan Humari In Mein Se Jo Naar Bani; Dekhenge To Log Kahenge Insha Ji Deewane The

Payaam Aaye Hain Payaam Aaye Hain Os Yaar-E-Bewafa Ke Mujhe; Jisay Qaraar Na Aaya Kaheen Bhula Ke Mujhe; Judaayiaan Hon Tou Aisi Ke Umer Bhar Na Milain; Faraib Do Tou Zara Silsilay Barha Ke Mujhe; Nashay Se Kam Tou Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam; Ke Le Urra Hai Koi Dosh Per Hawa Ke Mujhe; Mein Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Waalay; Udaas Chorh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe; Tumhaaray Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar; Jo Dekhna Ho Tou Dekho Nazar Utha Ke Mujhe; Khinchi Howi Hai Mere Aansooun Mein Ek Tasveer; `Faraz` Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe

Hamaare Shauq Ki Hamaare Shauq Kii Yah Intehaa Thii; Qadam Rakhaa Ki Manzil Raastaa Thii; Bichhad Ke Daar Se Ban Ban Phiraa Voh; Hiran Ko Apnii Kastuurii Sazaa Thii; Kabhii Jo Khwaab Thaa Voh Paa Liyaa Hai; Magar Jo Kho Gayii Voh Chiiz Kyaa Thii; Main Bachpan Men Khilaune Todataa Thaa; Mere Anjaam Kii Voh Ibtidaa Thii; Mohabaat Mar Gayii Mujhko Bhii Gam Hai; Mere Achchhe Dinon Kii Aashnaa Thii; Jise Chhuu Luun Main Voh Ho Jaaye Sonaa; Tujhe Dekhaa To Jaanaa Bad-Duaa Thii; Mariiz-e-Khwaab Ko To Ab Shafaa Hai; Magar Duniyaa Badil Kadvil Davaa Thii

Ye Dil Bhulata Nahi Ye Dil Bhulata Nahi Hai Mohabbatein Uski; Padi Hui Thee Mujhe Kitni Aadatein Uski; Yeh Mera Sara Safar Uski Khushbu Mein Kata; Mujhe To Raah Dikhaati Thee Chahatein Uski; Ghiri Hui Hun Mein Chehron Kee Bheed Mein Lekin; Kahin Nazar Nahi Aati Shabahatein Uski; Main Dard Se Rone Lagi Hun To Aisa Lagta Hai; Ki Chhaon Jaisi Thee Mujh Par Rafaqatein Uski; Yeh Kis Gali Mein Ye Kis Shehar Mein Nikal Aaye; Kahan Pe Reh Gayi Logo Sadaqatein Uski; Main Barishon Mein Juda Ho Gayi Hun Us Se Magar; Yeh Mera Dil Meri Sansein Amanatein Uski

Zara Si Der Ko Aaye The Zara Si Der Ko Aaye The Khwab Aankhon Mein; Phir Us Ke Baad Musalsal Azaab Aankhon Mein; Wo Jis Ke Naam Kee Nisbat Se Roshni Tha Wuzood; Khatak Raha Hai Wohi Aaftaab Aankhon Mein; Jinhe Mata-e-Dil-o-Jaan Samajh Rahe The Hum; Wo Aaine Bhi Hue Behijaab Aankhon Mein; Ajab Tarah Ka Hai Mausam Ki Khak Udti Hai; Wo Din Bhi The Ki Khile The Gulab Aankhon Mein; Mere Ghazal Teri Wahshaton Kee Khair Ki Hai; Bahut Dino Se Bahut Iztaraab Aankhon Mein; Na Jaane Kaisi Qayamat Ka Peshkhema Hai; Ye Uljhanein Teri Be-Intasaab Aankhon Mein

Ye Dil Bhulata Nahi Hai Ye Dil Bhulata Nahi Hai Mohabbatein Uski; Padi Hui Thee Mujhe Kitni Aadatein Uski; Ye Mera Sara Safar Uski Khushbu Mein Kata; Mujhe To Raah Dikhaati Thee Chahatein Uski; Ghiri Hui Hun Main Chehron Ki Bheed Mein Lekin; Kahin Nazar Nahi Aati Shabahatein Uski; Main Dard Se Rone Lagi Hun To Aisa Lagta Hai; Ki Chhaon Jaisi Thee Mujh Par Rafaqatein Uski; Ye Kis Gali Mein Ye Kis Shehar Mein Nikal Aaye; Kahan Pe Reh Gayi Logon Sadaqatein Uski; Main Barishon Mein Juda Ho Gayi Hun Us Se Magar; Ye Mera Dil Meri Sansein Amanatein Uski

Mujh Se Kaafir Ko Mujh Se Kaafir Ko Tere Ishq Ne Yun Sharmaya; Dil Tujhe Dekh Ke Dhadka Toh Khudaa Yaad Aaya; Mere Dil Pe Toh Hai Ab Tak Tere Gham Ka Saaya; Log Kehte Hain Naya Daur Naye Dukh Laya; Mera Meyaar-e-Wafaa Hi Meri Majboori Hai; Rukh Badal Kar Bhi Tujhe Apne Muqaabil Paya; Charagar Aaj Sitaron Ki Kasam Kha Ke Bata; Kis Ne Insaan Ko Tabasum Ke Liye Tadpaya; Log Hanste Hain Toh Is Soch Mein Kho Jata Hun; Mauj-e-Sailaab Ne Phir Kis Ka Gharaunda Dhaaya; Uss Ke Andar Koi Fankaar Chupaa Baitha Hai; Jaantey Boojhtey Jis Shakhs Ne Dhokha Khaya

Ab Jo Laute Ho Ab Jo Laute Ho Itne Saalon Mein; Dhoop Utri Hui Hai Baalon Mein; Tum Meri Aankh Ke Samandar Mein; Tum Meri Rooh Ke Ujalon Mein; Phool Hi Phool Khil Uthe Mujh Mein; Kaun Aaya Mere Khayalon Mein; Maine Jee Bhar Ke Tujh Ko Dekh Liya; Tujh Ko Uljhaa Ke Kuch Sawalon Mein; Meri Khushiyon Kee Kayenat Bhi Tu; Tu Hi Dukh Dard Ke Hawalon Mein; Jab Tera Doston Mein Zikar Aaye; Theess Uthti Hai Dil Ke Chaalon Mein; Tum Se Abaad Hai Yeh Tanhai; Tum Hi Roshan Ho Ghar Ke Jaalon Mein; Kya Use Yaad Aa Raha Hun Wasi ; Rang Ubhre Hain Uss Ke Gaalon Mein

Dar Ke Kisi Se Dar Ke Kisi Se Chup Jataa Hai Jaise Saanp Khazane Mein; Zar Ke Zor Se Zinda Hain Sab Khaak Ke Is Veerane Mein; Jaise Rasam Ada Karte Ho Sheharon Kee Aabadi Mein; Subah Ko Ghar Se Door Nikalkar Shaam Ko Wapis Aane Mein; Neele Rang Mein Doobi Aankhein Khuli Padi Thi Sabze Par; Aks Pada Tha Aasman Ka Shayad Iss Paimane Mein; Dil Kuch Aur Bhi Sard Hua Hai Shaam-e-Shehar Kee Raunak Mein; Kitni Ziya Besood Gayi Sheeshe Ke Lafz Jalane Mein; Main To Munir Aaine Mein Khud Ko Tak Kar Hairan Hua; Ye Chehra Kuch Aur Tarah Tha Pehle Ek Zamane Mein

Haath Chhute Bhi Toh Haath Chhute Bhi Toh Rishte Nahi Chhoda Karte; Waqt Ki Shaakh Se Lamhe Nahi Toda Karte; Jiski Aawaaz Mein Silwat Ho Nigahon Mein Shikan; Aisi Tasveer Ke Tukade Nahi Joda Karte; Shahad Jeene Ka Mila Karta Hai Thoda Thoda; Jaane Waalon Ke Liye Dil Nahi Thoda Karte; Lag Ke Sahil Se Jo Behta Hai Use Behane Do; Aise Dariya Ka Kabhi Rukh Nahi Moda Karte; Jaagne Par Bhi Nahin Aankh Se Girti Kirchein; Iss Tarah Khawabon Se Aankhein Nahin Phodaa Karte; Ja Ke Kohsar Se Sar Maaro Ki Aavwaz To Ho; Khasta Deewaron Se Maatha Nahin Phodaa Karte

Jab Nazar Uski Jab Nazar Uski Aan Parti Hai; Zindagi Tab Dhiaan Parti Hai; Jhel Lete Hain Aashiq Ai Farhad; Jiske Sar Jaisi Aan Parti Hai; Baat Is Dil Ke Dard Ki Yaaro; Gufatgoo Mein Nidaan Parti Hai; Ek Ke Munh Se Jis Ghari Nikli; Phir Tau Sau Ki Zabaan Parti Hai; Lekin Itna Koi Kahe Mujh Se; Kabhu Us Ke Bhi Kaan Parti Hai; Manzalat Sher Ki Tire Sauda; Yun Bawaham-O-Gumaan Parti Hai; Nahin Isaah Tu Par Sukhan Se Tire; Tan-E-Be Jan Mein Jaan Parti Hai Translation: Manzalat Sher Ki Tire: Dubious seem and hollow Bawaham-O-Gumaan: Poetic worth and state

Ek Purana Mausam Lauta Ek Purana Mausam Lauta Yaad Bhari Purvaee Bhi; Aisa To Kam Hi Hota Hai Vo Bhi Ho Tanhaee Bhi; Yaadon Kee Bauchharon Se Jab Palke Bhigane Lagati Hai; Kitni Saundhi Lagti Hain Tab Mazee Kee Rusvaii Bhi; Do Do Shaklen Dikhti Hain Is Bahake Se Aaeene Mein; Mere Sath Chala Aaya Hai Aapaka Ek Saudii Bhi; Khamoshi Ka Hasil Bhi Ik Lambi Si Khamoshi Hai; Unkee Baat Suni Bhi Hamne Apni Baat Sunaee Bhi Translation: Purvaee: Easterly Breeze Maazi - Past Yore Rusvaii - Disgrace Humiliation Saudaii - Crazy One Who Loves Deeply Insane In A Frenzy

Daman-e-Gull Mein Daman-e-Gull Mein Hi Gulzaar BiKhar Jaate Hain; Aag Bujhti Hai To Angaar Bikhar Jaate Hain; Shama Jalti Hai Sada Ek Hi Lamhe Me Lekin; Jal Ke Parwaane Kayi Baar Bikhar Jaate Hain; Jin Ko Insaan Pirota Hai Bahut Ulfat Se; Haaye Woh Gull Sar-e-Bazaar Bikhar Jaate Hain; Paaon Uthate Hain Tere Koche Ki Jaanib Jab Bhi; Apni Raahon Me Kayi Khaar Bikhar Jaate Hain; Raat Ke Pichle Pehar Kehoon-e-Tamanna Ki Tarha; Hum Teri Yaad Mein Ay Yaar Bikhar Jaate Hain; Ho Ga Andaaz-e-Wafa Un Ka Alag Hi Mohsin ; Jin Ki Raahon Mein Talabgaar Bikhar Jaate Hain

Har Ek Harf-e-Aarzoo Ko Har Ek Harf-e-Aarzoo Ko Dastan Kiye Hue; Zamana Ho Geya Hai Un Ko Mehaman Kiye Hue; Suroor-e-Aish Talkhi-e-Hayat Ne Bhula Diya; Dil-e-Hazin Hai Bekasi Ko Hijr-e-Jaan Kiye Hue; Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue Wo Aayenge; Wo Aayenge Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue; Sukoon-e-Dil Kee Raahton Ko Un Se Maang Loon; Sukoon-e-Dil Kee Raahton Ko Bekaran Kiye Hue; Wo Aayenge To Aayenge Junoon-e-Shauq Ubharne; Wo Jayenge To Jayenge Tabahiyan Kiye Hue; Main Un Kee Bhi Nigah Se Chhupa Ke Un Ko Dekh Loon; Ki Un Se Bhi Hai Aaj Rashk Badguman Kiye Hue

Yehi Nahi Ki Toofan Meri Yehi Nahi Ki Toofan Meri Talaash Mein Hai; Ki Mausam-e-Gham-e-Jaanan Meri Talaash Mein Hai; Visaal Rut Hai Magar Dil Ko Aisa Lagta Hai; Sitaarah-e-Shab-e-Hijraan Meri Talaash Mein Hai; Main Faislay Kee Ghari Se Guzar Chali Hun; Kisi Kee Deeda-e-Hairaan Meri Talaash Mein Hai; Ye Be Yaqeen Si Aasoodgi Batati Hai; Ki Ik Qirya-e-Veeran Meri Talaash Mein Hai; Main Teergi Mein Mohabbat Kee Ik Kahani Hun; Koi Chiraagh Sa Unwaan Meri Talaash Mein Hai; Ye Kaisa Khwaab Tha Dharka Sa Lag Gaya Dil Ko; Ki Ik Shaks Pareshaan Meri Talaash Mein Hai