Kat Gayi Jhagde Mein Sari Raat Vasl-e-Yaar Kee; Shaam Ko Bosa Liya Tha Subah Tak Taqarar Kee; Zindagi Mumkin Nahi Ab Aashiq-e-Beemar Kee; Chhid Gayi Hain Barchiyan Dil Mein Nigah-e-Yaar Kee; Hum Jo Kehte The Na Jana Bazm Mein Agayaar Kee; Dekh Lo Neechi Nigahein Ho Gayi Sarkaar Kee; Zehar Deta Hai To De Zaalim Magar Taskeen Ko; Is Mein Kuch To Chashni Ho Sharab-e-Deedaar Kee; Baad Marne Ke Mili Jannat Khudaa Ka Shukr Hai; Mujhko Dafnaya Rafeeqon Ne Gali Mein Yaar Kee; Haal-e- Akbar Dekh Kar Bole Buri Hai Dosti; Aise Rusvayi Aise Rind Aise Khudayi Khwaar Kee

Jis Tarah Bhi Ho Saka Jis Tarah Bhi Ho Saka Us Tarah Toda Mujhe; Zindagi Ne Maut Ke Qabil Nahi Samjha Mujhe; Zindagi Maankar Chalati Rahi Ghoda Mujhe; Har Kadam Par Maarti Hai Ek Naya Koda Mujhe; Zindagi Har Waqt Meri Peeth Par Baithi Rahi; Apni Marzi Ke Mutabiq Har Taraf Moda Mujhe; Is Tarah Apno Ke Ehsaan Hai Mujh Par Bahut; Chot De Kar Dil Ko Sheeshe Ki Tarah Joda Mujhe; He Zindagi Meri Tujhse Iltiza Itni Hai Bus; Chodhkar Nafrat Ki Bhasha Pyar De Thoda Mujhe; Warna Ek Din Jalti Hui Aag Se Bolegi Meri Laash Yoon; Zindagi Ne Aag Ke Dariya Me Laa Chhoda Mujhe

Ham Ki Thahre Ajnabii Ham Ki Thahre Ajnabii Itnii Mulaqaaton Ke Baad; Phir Banenge Aashnaa Kitnii Mudaaraaton Ke Baad; Kab Nazar Men Aayegi Be-Daagh Sabze Kii Bahaar; Khuun Ke Dhabbe Dhulenge Kitnii Barsaaton Ke Baad; The Bohat Be-Dard Lamhe Khatm-e-Dard-e-Ishq Ke; Thiin Bohat Be-Meher Subahen Meherbaan Raaton Ke Baad; Dil To Chaaha Par Shikast-e-Dil Ne Mohlat Hii Na Dii; Kuchh Gile Shikwe Bhii Kar Lete Munaajaaton Ke Baad; Unse Jo Kahne Gaye The Faiz Jaan Sadqe Kiye; Ankahii Hii Rah Gayii Voh Baat Sab Baatoon Ke Baad Translation: Aashnaa = Acquainted Friendly

Wo Keh Ke Chalay Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay; Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay; Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana; Aisay Main Kahan Jaogi Barsaat Bohot Hay; Wo Kehne Lagi Jana Mera Bohot Zaroori Hay; Nahi Chahti Dil Todun Tera Par Majboori Hay; Gar Hui Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena; Maine Kaha Ho Jao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay; Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zaroori Nahi; Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai; Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke; Saari Zindagi Tanhayee Ke Liye Aaj Ki Raat Bohot Hai

Door Se Aaye The Saqi Sun Ke Maykhane Ko Hum; Bas Taraste Hi Chale Afsos Paimane Ko Hum; May Bhi Hai Meena Bhi Hai Sagar Bhi Hai Saqi Nahi; Dil Mein Aata Hai Laga Den Aag Maykhane Ko Hum; Humko Phansna Tha Kafaz Mein Kya Gila Sayyad Ka; Bas Taraste Hi Rahe Hain Aab Aur Daane Ko Hum; Baag Mein Lagta Nahi Sehara Mein Ghabrata Hai Dil; Ab Kahan Le Jaake Bithayein Aise Deewane Ko Hum; Taak-e-Aabru Mein Sanam Ke Kya Khudayi Reh Gayi; Ab To Pujenge Usi Kaafir Ke Butkhane Ko Hum; Kya Hui Takseer Hum Se Tu Bata De Ai Nazeer Taaki Shadi Marg Samajhe Aise Mar Jaane Ko Hum

Saanson Ki Hararat Se Saanson Ki Hararat Se Pighal Jaanay Ka Mausam; Aaya Hai Teri Aanch Mein Jal Jaanay Ka Mausam; Ham Ko Nahi Maloom Tha Ishq Ka Aaghaaz; Yaadon Mein Kahin Door Nikal Jaanay Ka Mausam; Lagta Hai Ki Chehre Pe Tere Theher Gaya Hai; Yak Lakht Kayi Rang Badal Jaanay Ka Mausam; Aey Sheher Tasalli Tere Mashkoor Hain Ham; Aaya Hee Nahi Dil Ke Sambhal Jaanay Ka Mausam; Ye Sheher-e-Tamanna Bhi Anokha Hai Ki Is Par; Barsaat Mein Bhi Rehta Hai Thal Jaanay Ka Mausam; Chehre Pe Agar Hai Mere Subaah Ka Ujaala; Aankhon Mein Magar Shaam Ke Dhal Jaanay Ka Mausam

Dil Dhoondhta Hai Phir Wahee Dil Dhoondhta Hai Fir Wahee Furasat Ke Raat Din; Baithhe Rahe Tasavvur-E-Jaanaa Kiye Huye; Jaadon Kee Narm Dhoop Aur Aangan Mein Let Kar; Aankhon Pe Khinch Kar Tere Aanchal Ke Saaye Ko; Aaundhe Pade Rahe Kabhee Karawat Liye Huye; Barfilee Sardiyon Mein Kisi Bhee Pahaad Par; Waadee Mein Gunjatee Huyee Khaamoshiyaan Soone; Aankhon Mein Bheege Bheege Se Lamhe Liye Huye; Yaa Gamreeyon Kee Raat Jo Poorawaaeeyaan Chale; Thhandee Safed Chaadaro Pe Jaage Der Tak; Taaron Ko Dekhate Rahe Chhat Par Pade Huye Translation: Tasavvur - Contemplation

Hum Hain Mataa-e-Koocha-o-Baazaar Hum Hain Mataa-e-Koocha-o-Baazaar Kee Tarah; Uthti Hai Har Nigaah Kharidaar Kee Tarah; Iss Ku-e-Tishnagi Mein Bahut Hai Ki Ek Jaam; Haath Aa Gaya Hai Daulat-e-Bedaar Kee Tarah; Wo To Hain Kahin Aur Magar Dil Ke Aas Paas; Firti Hai Koi Shay Nigaah-e-Yaar Kee Tarah; Seedhi Hai Raah-e-Shauq Pa Yun Hi Kabhi Kabhi; Kham Ho Gayi Hai Gesu-e-Diladar Kee Tarah; Ab Ja Ke Kuch Khula Hunar-e-Naakhoon-e-Junoon; Zakhm-e-Jigar Huye Lab-o-Rukhsar Kee Tarah; Majrooh Likh Rahe Hain Wo Ahal-e-Wafa Ka Naam; Hum Bhi Khade Hue Hain Gunahagaar Kee Tarah

Rang-e-Sharaab Se Rang-e-Sharaab Se Meri Neeat Badal Gai; Waaiz Ki Baaten Rah Gaien Saqi Ki Chal Gai; Tayyaar The Namaaz Pe Hum Sun Ke Zikr-e-Hur; Jalwa Buton Ka Dekh Ke Neeat Badal Gai; Machhli Ne Dhil Paai Hai Luqme Pe Shaad Hai; Sayyad Mutmain Hai Keh Kaanta Nigal Gai; Chamka Tira Jamaal Jo Mahfal Mein Waqt-e-Shaam; Parwana Be-Qaraar Hua Shama Jal Gai; Uqwa Ki Baaz Purs Ka Jaata Rha Khayaal; Duniya Ki Lazzaton Mein Tabiat Bahl Gai; Hasrat Bahut Taraqqi-e-Dukhtar Ki Thi Unhen; Purdah Jo Uth Gaya Tau Woh Aakhir Nikal Gai Translation: Luqme Pe Shaad = Morsel Sweet

Lutf Wo Ishq Mein Paaye Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ki Jee Jaanta Hai; Ranj Bhi Aise Uthaaye Hain Ki Jee Jaanta Hai; Jo Zamaane Ke Sitam Hain Wo Zamaana Jaane; Tu Ne Dil Itne Sataaye Hain Ki Jee Jaanta Hai; Muskurate Hue Woh Mazmaa-e-Agyaar Ke Saath; Aaj Yun Bazm Mein Aaye Hain Ki Jee Jaanta Hai; Kaaba-o-Dair Mein Pathra Gayi Dono Aankhein; Aise Jalwe Nazar Aaye Hain Ki Jee Jaanta Hai; Dosti Mein Teri Dar-Pardah Hamaare Dushman; Is Qadar Apne Paraaye Hain Ki Jee Jaanta Hai; Daagh-e-Waarafta Ko Ham Aaj Tere Kooche Se; Is Tarah Kheench Ke Laaye Hain Ki Jee Jaanta Hai

Band Aankh Se Sapne Band Aankh Se Sapne Bunte Bunte Umar Guzar Gayi Apni; Tootey Dil Ke Raizey Chunte Chunte Umar Guzar Gayi Apni; Woh Hum Se Bichar Kar Kaise Jeeta Hoga; Bass Yehi Sochte Sochte Umar Guzar Gayi Apni; Us Ki Talaash Mein Nikle Apna Pata Bhool Gaye; Phir Khud Ko Khojte Khojte Umar Guzar Gayi Apni; Shamaa Ban To Gaye Roshni Ki Khatir; Magar Phir Jalte Jalte Umar Guzar Gayi Apni; Uss Ne Manaa Ki Deewaar Torr Kar Pukaara To Sahi; Lekin Rukte Rukte Umar Guzar Gayi Apni; Ab Yeh Zindagi Ussi Ki Amaanat Hai Waqas; Jiss Ki Raah Takte Takte Umar Guzar Gayi Apni

Band Aankh Se Sapne Band Aankh Se Sapne Bunte Bunte Umar Guzar Gayi Apni; Tootey Dil Ke Raizey Chunte Chunte Umar Guzar Gayi Apni; Woh Hum Se Bichar Kar Kaise Jeeta Hoga; Bass Yehi Sochte Sochte Umar Guzar Gayi Apni; Us Ki Talaash Mein Nikle Apna Pata Bhool Gaye; Phir Khud Ko Khojte Khojte Umar Guzar Gayi Apni; Shamaa Ban To Gaye Roshni Ki Khatir; Magar Phir Jalte Jalte Umar Guzar Gayi Apni; Uss Ne Manaa Ki Deewaar Torr Kar Pukaara To Sahi; Lekin Rukte Rukte Umar Guzar Gayi Apni; Ab Yeh Zindagi Ussi Ki Amaanat Hai Waqas; Jiss Ki Raah Takte Takte Umar Guzar Gayi Apni

Kab Tak Dil Ki Khair Manaae Kab Tak Dil Ki Khair Manaae Kab Tak Raah Dikhaaoge; Kab Tak Chain Ki Mohalat Doge Kab Tak Yaad Na Aaoge; Bitaa Did Umeed Kaa Mausam Khaak Udati Hai Aankhon Mein; Kab Bhejoge Dard Kaa Baadal Kab Barkhaa Barasaaoge; Ahad-e-Vafaa Aur Tark-e-Mohabbat Jo Chaaho So Aap Karo; Apane Bas Ki Baat Hi Kyaa Hai Hamase Kyaa Manavaaoge; Kisne Vasl Kaa Sooraj Dekhaa Kis Par Hijr Ki Raat Dhali; Gesuon Vaale Kaun The Kya The Unko Kya Jatalaaoge; Faiz Dilon Ke Bhaag Mein Hai Ghar Basanaa Bhi Lut Jaanaa Bhi; Tum Us Husn Ke Lutf-o-Karam Par Kitane Din Itaraaoge

Vasl Ho Jaye Yahaan Vasl Ho Jaye Yahaan Hashr Men Kya Rakha Hai; Aaj Kii Baat Ko Kyuun Kal Pe Uthaa Rakha Hai; Mohtasib Puuch Na Tu Shiishe Men Kyaa Rakha Hai; Paarsaaii Ka Lahuu Ismen Bhaara Rakhaa Hai; Kahte Hain Aaye Javaani To Ye Chorii Nikle; Mere Joban Ko Larakpan Ne Churaa Rakhaa Hai; Is Taghaaful Men Bhii Sargam-e-Sitam Voh Aankhen; Aap To Sote Hain Fitnon Ko Jagaa Rakhaa Hai; Aadmi-Zaad Hain Duniaa Ka Hasiin Lekin Ameer; Yaar Logon Ne Parii-Zaad Banaa Rakhaa Hai Translation: Vasl Or Wasl = Union Meeting Of Lovers Hasher = Afterlife After Death Day Of Judgment

Sarakti Jaye Hai Sarakti Jaye Hai Rukh Se Naqab Ahista-Ahista; Nikalta Aa Raha Hai Aftab Ahista-Ahista; Jawan Hone Lage Jab Wo To Hum Se Kar Liya Parda; Haya Yaklakhat Aayi Aur Shabab Ahista-Ahista; Shab-e-Furkat Ka Jagaa Hun Farishton Ab To Sone Do; Kabhi Fursat Mein Kar Lena Hisab Ahista-Ahista; Sawal-e-Vasl Par Un Ko Adoo Ka Khauf Hai Itna; Dabe Hontho Se Dete Hain Jawab Ahista- Ahista; Hamare Aur Tumhare Pyaar Mein Bas Farq Hai Itna; Idhar To Jaldi Jaldi Hai Udhar Ahista- Ahista; Wo Bedardi Se Sar Kaate Ameer Aur Main Kahun Un Se; Huzoor Ahista-Ahista Janaab Ahista-Ahista