Koi Naa Jaan Saka Koi Naa Jaan Saka Woh Kahan Se Aaya Tha; Aur Us Ne Dhoop Se Baadal Ko Kyon Milaya Tha; Yeh Baat Shayad Logon Ko Pasand Aayi Nahin; Makaa n Chota Tha Lekin Bohat Sajaya Tha; Woh Ab Wahan Hai Jahan Raste Nahin Jate; Main Jis Ke Sath Yahan Pichle Saal Aya Tha; Suna Hai Us Pe Chehekne Lage Hain Parindey Bhi; Woh Aik Pau daa Jo Hum Ne Kabhi Lagaya Tha; Chiragh Doob Gaye Kapkapaye Honton Par; Kisi Ka Hath Hamare Labo n Tak Aya Tha; Badan Ko Chorr Ke Jana Hai Aasman Ki Taraf; Samundro n Ne Humein Yeh Sabaq Parhaya Tha; Tamam Umar Mera Dam Isi Dhuyein Mein Ghutta; Woh Ik Chiragh Thaa Maine Usey Bhujaya Tha

Aankh Ladate Hi Hua Ishq Ka Aazaar Mujhe; Chashm Beemaar Teri Kar Gayi Beemaar Mujhe; Dil Ko Zakhmi To Vah Karte Hain Magar Hairat Hai; Nazar Aati Nahi Chalti Hui Talwar Mujhe; Dekhiye Jaan Pe Girti Hai Ki Dil Par Bijli; Door Se Taak Rahi Hai Nigah-e-Yaar Mujhe; Garche Sau Baar In Aankhon Se Tujhe Dekha Hai; Magar Ab Tak Hai Wahi Hasarat-e-Deedar Mujhe; Mujhko Parwah Nahi Naseh Teri Ghamkhwari Kee Gham Salamat Rahe Kafi Hai Yeh Ghamkhwar Mujhe; Sheesha-o-Jaam Pe Saqi Koi Ilzam Nahi; Teri Aankhein Kiye Deti Hai Gunahagaar Mujhe; Yaar Saqi Ho To Chalta Hai Abhi Daur Jaleel ; Kaun Kehta Hai Ki Peene Se Hai Inkaar Mujhe

Dekh Lete Ho Mohabbat Se Dekh Lete Ho Mohabbat Se Yahi Kaafi Hai; Dil Dhadakta Hai Sahulat Se Yahi Kaafi Hai; Haal Duniya Ke Sataye Hue Kuch Logon Ka; Puch Lete Ho Shararat Se Yahi Kaafi Hai; Jo Bhi Raaste Mein Guzarta Hai Mere Pehlu Se; Dekhta Hai Teri Nisbat Se Yahi Kaafi Hai; Muddatton Se Nahi Dekha Tera Jalwa Lekin; Yaad Aa Jate Ho Shiddat Se Yahi Kaafi Hai; Saari Duniya Se Uljhate Hain Lekin Tera Kaha; Maan Jate Hain Sharafat Se Yahi Kaafi Hai; Kya Hua Hum Jo Muyassar Jo Zar-o-Maal Nahin; Katt Rahi Hai Baai Izzat Se Yahi Kaafi Hai; Aaj Ke Ehad Tagaful Mein Kisi Dar Pe Munir ; Koi Aa Jaye Zarurat Se Yahi Kaafi Hai

Dekh Lete Ho Mohabbat Se Dekh Lete Ho Mohabbat Se Yahi Kaafi Hai; Dil Dhadakta Hai Sahulat Se Yahi Kaafi Hai; Haal Duniya Ke Sataye Huye Kuch Logon Ka; Puch Lete Ho Shararat Se Yahi Kaafi Hai; Jo Bhi Raste Mein Guzarta Hai Mere Pehlu Se; Dekhta Hai Teri Nisbat Se Yahi Kaafi Hai; Muddat ton Se Nahin Dekha Tera Jalwa Lekin; Yaad Aa Jate Ho Shidat Se Yahi Kaafi Hai; Saari Dunya Se Ulajhte Hain Lekin Tera Kahaa; Maan Jate Hain Sharafat Se Yahi Kaafi Hai; Kya Hua Hum Jo Muyassar Jo Zar-o-Maal Nahin; Katt Rahi Hai Bari Izzat Se Yahi Kaafi Hai; Aaj Ke Ehd Taghaful Mein Kisi Dar Pe Munir; Koi Aa Jaye Zarurat Se Yahi Kaafi Hai

Kya Kya Hamare Khwab The Kya Kya Hamare Khwab The Jane Kahan Pe Kho Gaye; Tum Bhi Kisi Ke Sath Ho Hum Bhi Kisi Ke Ho Gaye; Jaane Woh Kyon The Kaun The Aaye The Kis Liye Yahan; Woh Jo Fashaar-e-Waqt Mein Bojh Sa Ek Dho Gaye; Uss Ki Nazar Ne Yun Kiya Gard-e-Malal-e-Jaan Ko Saaf; Abar Baras Ke Jis Tarah Sare Chaman Ko Dho Gaye; Katne Se Aur Badhti Hai Uthe Hue Sarun Ki Fasal; Apne Lahu Se Ahl-e-Dil Beej Yeh kaise Bo Gaye; Jin Ke Bagair Ik Pal Jeena Bhi Muhaal Tha; Shaklein Bhi Unn Kee Bujh Gayin Naam Bhi Unn Ke Kho Gaye; Ankhon Mein Bhar Ke Rut Jaage Raston Ko De Ke Dooriyan; Amjad Woh Apne Humsafar Kaise Maze Se So Gaye

Chaman Mein Subah Ye Kehti Thi Ho Kar Chashm-e-Tar Shabnam; Bahaar-e-Baag To Yun Hi Rahi Lekin Kidhar Shabnam; Arq Kee Boond Us Kee Zulf Se Rukhsaar Par Tapki; Tazub Kee Hai Jaage Ye Padi Khurshid Par Shabnam; Humein To Baag Tujh Bin Khana-e-Matam Nazar Aaya; Idhar Gul Phadte The Jeb Roti Thi Udhar Shabnam; Kare Hai Kuch Na Kuch Taseer Sohbat Saaf Taabon Kee; Hui Aatish Se Gul Ke Baithte Rashq-e-Sharar Shabnam; Bhala Tuk Subah Hone Do Ise Bhi Dekh Levenge; Kisi Aashiq Ke Rone Se Nahi Rakhti Khabar Shabnam; Na Samjha Dard Humne Bhed Ya Kee Shadi-o-Gham Ka; Sehar Khandaan Hai Kyon Roti Hai Kis Ko Yaak Kar Shabnam

Dekh Lete Ho Mohabbat Se Dekh Lete Ho Mohabbat Se Yahi Kaafi Hai; Dil Dhadakta Hai Sahulat Se Yahi Kaafi Hai; Haal Duniya Ke Sataye Hue Kuch Logon Ka; Puch Lete Ho Shararat Se Yahi Kaafi Hai; Jo Bhi Raaste Mein Guzarta Hai Mere Pehlu Se; Dekhta Hai Teri Nisbat Se Yahi Kaafi Hai; Muddatton Se Nahin Dekha Tera Jalwa Lekin; Yaad Aa Jate Ho Shidat Se Yahi Kaafi Hai; Saari Duniya Se Ulajhte Hain Lekin; Tera Kahaa Maan Jate Hain Sharafat Se Yahi Kaafi Hai; Kya Hua Hum Jo Muyassar Jo Zar-O-Maal Nahin; Katt Rahi Hai Bari Izzat Se Yahi Kaafi Hai; Aaj Ke Ehad Taghaful Mein Kisi Dar Pe Munir ; Koi Aa jaye Zarurat Se Yahi Kaafi Hai

Rahon Pe Nazar Rakhna Honthon Pe Dua Rakhna; Aa Jaye Koi Shayad Darwaza Khula Rakhna; Ehsaas Kee Shamaa Ko Is Tarah Jalaa Rakhna; Apni Bhi Khabar Rakhna Us Ka Bhi Pata Rakhna; Raaton Ko Bhatakne Kee Deta Hai Saza Mujhe; Dushwaar Hai Pehlu Mein Dil Tere Bina Rakhna; Logon Ko Nigaahon Se Padh Lene Kee Aadat Hai; Logon Kee Tehreeron Ko Logon Se Bacha Rakhna; Bhuloon Main Agar Aye Dil Tu Yaad Dila Dena; Tanhai Ke Lamhon Ka Har Zakham Hara Rakhna; Ik Boond Bhi Ashkon Kee Daaman Na Bhigo Paaye; Gham Us Kee Amaanat Hai Palkon Pe Sajaa Rakhna; Iss Tarah Qateel Us Se Bartaao Rahe Apna; Woh Bhi Na Bura Maane Dil Ka Bhi Kaha Rakhna

Rahon Pe Nazar Rakhna Honthon Pe Dua Rakhna; Aa Jaye Koi Shayad Darwaza Khula Rakhna; Ehsaas Kee Shamaa Ko Is Tarah Jalaa Rakhna; Apni Bhi Khabar Rakhna Us Ka Bhi Pata Rakhna; Raaton Ko Bhatakne Kee Deta Hai Saza Mujhe; Dushwaar Hai Pehlu Mein Dil Tere Bina Rakhna; Logon Ko Nigaahon Se Padh Lene Kee Aadat Hai; Logon Kee Tehreeron Ko Logon Se Bacha Rakhna; Bhuloon Main Agar Aye Dil Tu Yaad Dila Dena; Tanhai Ke Lamhon Ka Har Zakham Hara Rakhna; Ik Boond Bhi Ashkon Kee Daaman Na Bhigo Paaye; Gham Us Kee Amaanat Hai Palkon Pe Sajaa Rakhna; Iss Tarah Qateel Us Se Bartaao Rahe Apna; Woh Bhi Na Bura Maane Dil Ka Bhi Kaha Rakhna

Ahista Chal Zindagi Ahista Chal Zindagi Abhi Kayi Karz Chukana Baki Hai; Kuch Dard Mitana Baki Hai Kuch Farz Nibhana Baki Hai; Raftar Mein Tere Chalne Se Kuch Rooth Gaye Kuch Chut Gaye Roothon Ko Manana Baki Hai Roton Ko Hasana Baki Hai; Kuch Hasratein Abhi Adhuri Hain Kuch Kaam Bhi Aur Zaruri Hai; Khwahishein Jo Ghut Gayi Iss Dil Mein Unko Dafnana Baki Hai; Kuch Rishte Ban Kar Toot Gaye Kuch Judte-Judte Chut Gaye; Un Toote-Chute Rishton Ke Zakhmon Ko Mitana Baki Hai; Tu Aage Chal Main Aata Hun Kya Chhod Tujhe Jee Paunga; In Saanso Par Haq Hai Jinka Unko Samjhana Baki Hai; Ahista Chal Zindagi Abhi Kayi Karz Chukana Baki Hai

Dukh Dard Mein Hamesha Dukh Dard Mein Hamesha Nikale Tumhaare Khat; Aur Mil Gayi Khushi To Uchhaale Tumhaare Khat; Sab Chudiyan Tumhari Samandar Ko Saunp Di; Aur Kar Diye Hawa Ke Havale Tumhare Khat; Mere Lahoo Mein Goonj Raha Hai Har Ek Lafz; Maine Ragon Ke Dasht Mein Paale Tumhare Khat; Yun To Hain Be-Shumar Wafaa Kee Nishaniyan; Lekin Har Ek Shai Se Nirale Tumhare Khat; Jaise Ho Umar Bhar Ka Asasa Garib Ka; Kuch Is Tarah Se Maine Sambhale Tumhare Khat; Ahl-e-Hunar Ko Mujh Pe Wasi Aitraz Hai; Maine Jo Apne Sher Mein Dhaale Tumhare Khat; Parwah Mujhe Nahin Hai Kisi Chand Ki Wasi ; Zulmat Ke Dasht Mein Hain Ujale Tumhare Khat

Kisi Ki Ankh Jo Kisi Ki Ankh Jo Purnam Nahi Hai; Na Samajho Ye Ke Us Ko Gam Nahi Hai; Savad-e-Dard Mein Tanha Khada Hun; Palat Jaun Magar Mausam Nahi Hai; Samajh Mein Kuch Nahi Ata Kisi Ki; Agarche Guftagu Mubham Nahi Hai; Sulagta Kyun Nahi Tarik Jangal; Talab Ki Lau Agar Maddham Nahi Hai; Ye Basti Hai Sitam Parvar Digan Ki; Yahan Koi Kisi Se Kam Nahi Hai; Kinara Dusara Dariya Ka Jaise; Vo Sathi Hai Magar Mahram Nahi Hai; Dilon Ki Raushani Bujhne Na Dena; Vajud-e-Tiragi Mahkam Nahi Hai; Main Tum Ko Chah Kar Pachta Raha Hun; Koi Is Zakhm Ka Marham Nahi Hai; Jo Koi Sun Sake Amjad Toh Suna Dena; Ba-Juz Ek Baz Gasht-e-Gam Nahi Hai

Aata Hai Yaad Mujhe Aata Hai Yaad Mujhe Guzra Hua Zamana; Woh Bagh Ki Bahaaren Who Sab Ka Chahchahana; Aazaadian Kahan Ab Who Apne Ghaunsle Ki; Apni Khushi Se Aana Apni Khushi Se Jana; Lagti Hai Chot Dil Par Aata Hai Yaad Jisdin; Shabnam Ke Aansoon Par Kalion Ka Muskarana; Woh Piari Piari Soorat Who Kaamni Si Moorat; Aabaad Jis Ke Dam Se Tha Mera Aashiana; Aati Nahin Sadaaen Uski Mere Qafas Mein; Hoti Meri Rihaai Ai Kash Mere Bas Mein; Kya Badnaseeb Main Hoon Ghar Ko Taras Raha Hoon; Saathi Tau Hain Watan Mein Main Qaid Mein Padah Hoon; Aai Bahaar Kalian Phoolon Ki Hans Rahi Hain; Main Is Andhere Ghar Mein Qismat Ko Ro Raha Hoon

Tanhayi Mein Ajeeb Tanhayi Mein Ajeeb Zamanay Ki Wafaa Dekhta Raha; Umar Bhar Apna Ghar Tanha Dekhta Raha; Kaheen Na Kaheen Tou Badal Hee Jaatay Hain Silsilay; Magar Main Jahan Gaya Sehra Dekhta Raha; Jaanay Kiun Katraatay Hain Loog Mujhe Milne Se; Kal Shab Dair Talak Aaina Dekhta Raha; Paani Maangtay Maangtay Mere Honth Pathar Ho Gaye; Wo Shakhs Mashkeezah Lye Khada Dekhta Raha; Be-Gunaah Tha Phir Bhi Sir Jhukaaye Howay; Sitamgar Ki Sitam Ki Intehaa Dekhta Raha; Umar Bhar Mohabbat Ka Kuch Yun Sila Raha; Main Ose Aur Wo Duniya Dekhta Raha; Kahunga Khuda Se Yom-e-Hisaab Ko Mohsin ; Ke Zamaana Meri Barbaadi Ka Tamaasha Dekhta Raha

Hum Se Kya Puchte Ho Hum Se Kya Puchte Ho Hijar Mein Kya Karte Hain; Tere Laut Aane Kee Din Raat Dua Karte Hain; Ab Koi Honth Nahi In Ko Churane Aate; Meri Aankhon Mein Agar Ashk Hua Karte Hain; Teri Tu Jane Par Ai Jane-Tammana Hum To; Saans Ke Saath Tujhe Yaad Kiya Karte Hain; Tu Hi Pehlu Mein Nahi Warna December Mein Wahin; Dhoop Mein Akhbaar Padhaa Karte Hain; Kabhi Yaadon Mein Tujhe Baahon Mein Bhar Lete Hain; Kabhi Khawbon Mein Tujhe Chum Liya Karte Hain; Teri Tasveer Laga Lete Hain Hum Seene Se; Phir Tere Khat Se Teri Baat Kiya Karte Hain; Gar Tujhe Chorrne Kee Soch Bhi Aaye Dil Mein; Hum To Khud Ko Bhi Wahin Chorr Diya Karte Hain