Sarkati Jaye Hai Rukh Se Sarkati Jaye Hai Rukh Se Naqab Aahista-Aahista; Niklta Aa Raha Hai Aaftab Aahista-Aahista; Jawan Hone lage Jab Wo To Hum Se Kar Liya Parda; Hayaa Yaklakht Aayi Aur Shabab Aahista-Aahista; Shab-e-Furkat Ka Jaaga Hu Farishto Ab To Sone Do; Kabhi Fursat Mein Kar Lena Hisab Aahista-Aahista; Sawal-e-Wasl Par Unko Adu Ka Khauf Hai Itna; Dabe Hontho Se Dete Hain Jawab Aahista-Aahista; Hamare Aur Tumhare Pyaar Mein Bas Fark Hai Itna; Idhar To Jaldi-Jaldi Hai Udhar Aahista-Aahista; Wo Bedardi Se Sar Kaate Ameer Aur Main Kahun Unse; Huzur Aahista-Aahista Janaab Aahista-Aahista

Kabhi Mujh Ko Sath Lekar Kabhi Mujh Ko Sath Lekar Kabhi Mere Sath Chal Kar; Who Badal Gaye Achanak Meri Zindagi Badal Kar; Hue Jis Pe Meharban Tum Koi Khushnaseeb Hoga; Meri Hasratein To Nikali Mere Aansuon Mein DhalkKe; Teri Zulf-o-Rukh Ke Kurban Dil-e-Zar Dhundta Hai; Wahi Champai Ujale Wahi Surmai Dhundlake; Koi Phul Ban Geya Hai Koi Chand Koi Tara; Jo Chirag Bujh Gaye Hain Teri Anjuman Mein Jal Ke; Mere Dosto Khudara Mere Sath Tum Bhi Dhundo; Wo Yahin Kahin Chupe Hain Mere Gum Ka Rukh Badal Ke; Teri Be-Jhijhak Hansi Se Na Kisi Ka Dil Ho Maila; Ye Nagar Hai Aainon Ka Yahan Saans Le Sambhal Ke

Udaas Shamein Udaas Shamein Ujaad Rastey Kabhi Bulayen To Laut Ana; Kisi Ki Ankhon Mein Ratjagon Ke Azaab Ayen To Laut Ana; Abhi Nayi Wadiyon Naye Manzron Main Reh Lo Magar Meri Jaan; Yeh Saarey Aik Aik Karke Jab Tum Ko Chod Jayen To Laut Ana; Naye Zamanon Ko Qurb Orrhey Zayeef Lamhey Niddhaal Yadein; Tumharey Khawbon Ke Band Kamron Mein Laut Ayen To Laut Ana; Agar Andheron Mein Chod Kar Tum Ko Bhool Jayen Tumhare Sathi; Aur Apni Khatir Hi Apne Apne Diye Jalayen To Laut Ana; Meri Woh Batein To Jin Pe Be ikhtyaar Hanstaa Tha Khil khilaa Kar; Bicharney Wali Meri Woh Batein Kabhi Rulaayein To Laut Ana

Bohat Khaamosh Jo Bohat Khaamosh Jo Baithaa Huaa Hai; Vo Yakja Hai Magar Bikhraa Huaa Hai; Baraa Nadaan Hai Bahkaa Huaa Hai; Ye Aadam Khuld Ka Bigraa Huaa Hai; Udhar Jaana Nahiin Hotaa Hai Varnaa; Falak Tak Raastaa Dekhaa Huaa Hai; Kisi Kaa Haath Bhi Pohncha Na Us Tak; Ye Sar Uunchii Jagah Rakhaa Huaa Hai; Ba-Zaahir Is Qadar Masuum Hai Voh; Ki Jaise Aaj Hi Paidaa Huaa Hai; Khazaana Khud Baraa Hai Jaan-Lewaa; Ye Us Par Saanp Kyuun Baithaa Huaa Hai; Dilaasa Dil Yuun Detaa Hai Ki Jaise; Ki Yahii Ek Meherbaan Piadaa Huaa Hai Translation: Yakjaa = Intact stable Khuld = Heaven the other world Falak = Sky

Dekh Lete Ho Dekh Lete Ho Mohabbat Se Yehi Kaafi Hai; Dil Dharakta Hai Sahulat Se Yehi Kaafi Hai; Haal Dunya Ke Sataye Huye Kuch Logon Ka; Puch Lete Ho Shararat Se Yehi Kaafi Hai; Jo Bhi Raste Mein Guzarta Hai Mere Pehlu Se; Dekhta Hai Teri Nisbat Se Yehi Kaafi Hai; Muddat ton Se Nahin Dekha Tera Jalwa Lekin; Yaad Ajate Ho Shidat Se Yehi Kaafi Hai; Saari Dunya Se Ulajhte Hain Lekin Tera Kahaa; Maan Jate Hain Sharafat Se Yehi Kaafi Hai; Kya Hua Hum Jo Muyassar Jo Zar-o-Maal Nahin; Katt Rahi Hai Bari Izat Se Yehi Kaafi Hai; Aaj Ke Ehd Taghaful Mein Kisi Dar Pe Munir; Koi Ajaye Zarurat Se Yehi Kaafi Hai

Barish Hui to Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye; Mausam Ke Haath Bheeg Ke Saffak Ho Gaye; Baadal Ko Kya Khabar Hai Ki Barish Kee Chaah Mein; Kaise Buland-o-Baala Shajar Khaak Ho Gaye; Jugnu Ko Din Ke Waqt Parakhne Kee Zidd Karein; Bachhe Hamare Ahad Ke Chalaak Ho Gaye; Lehra Rahi Hai Barf Kee Chaadar Hata Ke Ghaas; Suraj Kee Sheh Pe Tinke Bhi Bebaak Ho Gaye; Basti Mein Jitne Aab-Gazida The Sab Ke Sab; Dariya Ke Rukh Badalte Hi Tairaak Ho Gaye; Suraj Dimag Log Bhi Ablaagh-e-Fikar Mein; Zulf-e-Shab-e-Firaaq Ke Pechaak Ho Gaye; Jab Bhi Gharib-e-Shehar Se Kuch Guftguu Hui; Lahje Hawa-e-Shaam Ke Namnaak Ho Gaye

Tumhare Khat Mein Tumhare Khat Mein Naya Ek Salaam Kiska Tha; Na Tha Raqueeb Toh Aakhir Woh Naam Kiska Tha; Raha Na Dil Mein Woh Bedard Aur Dard Raha; Mukim Kon Hua Hai Makaam Kiska Tha; Wafa Karenge Nibhayenge Baat Maanege; Tumhe Bhi Yaad Kuch Ye Kalaam Kiska Tha; Woh Katl Karke Har Kisise Puchhate Hai; Yeh Kaam Kisane Kiya Yeh Kaam Kiska Tha; Humare Khat Ke Toh Purze Kiya Padha Bhi Nahi; Sun Jo Tumane Baa-Dil Woh Payaam Kiska Tha; Guzar Gaya Woh Zamana Kahoo Toh Kisse Kahoo; Khyaal Dil Ko Mere Subah-O-Shaam Kiska Tha; Har Ek Se Kehate Hai Kya Daag Bewafa Nikala; Ye Puchhe Inse Koi Woh Ghulam Kiska Tha

Ab Na Woh Main Na Woh Tu Ab Na Woh Main Na Woh Tu Hai Na Woh Maazi Hai Faraz ; Nasha Badhta Hai Sharaabein Jo Sharaabon Mein Milein; Ye Khazaane Tujhe Mumkin Hai Kharaabon Mein Milein; Kya Ajab Kal Woh Zamaane Nisaabon Mein Milein; Ab Ke Hum Bichhde To Shaayad Kabhi Khwabon Mein Milein; Jaise Do Shakhs Tamannaa Ke Saraabon Mein Milein; Tu Khudaa Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa; Jis Tarah Sookhe Hue Phool Kitaabon Mein Milein; Dhoondte Ho Logon Mein Wafaa Ke Moti; Gham-e-Duniya Bhi Gham-e-Yaar Mein Shaamil Kar Lo; Aaj Hum Dar Pe Khinchege Jin Baaton Par; Dono Insaan Hain To Kyun Itne Hijaabon Mein Milein

Dil Soz Se Khali Hai Nigah Paak Nahi Hai; Phir Is Mein Ajab Kya Ki Tu Be-Baak Nahi Hai; Hai Zauq-e-Tajali Bhi Isi Khaak Mein Pinaha; Gaafil Tu Nira Sahib-e-Idrak Nahi Hai; Wo Aankh Ki Hai Surma-e-Afarang Se Roshan; Pur-Kaar O Sukhan-Saaz Hai Nam-Naak Nahi Hai; Kya Sufi-O-Mullaa Ko Khabar Mere Junoon Kee; Un Ka Sar-e-Daaman Bhi Abhi Chaak Nahi Hai; Kab Tak Rahe Mahakumi-e-Anjum Mein Meri Khaak; Yaa Main Nahi Yaa Gardish-e-Aflaak Nahi Hai; Bijli Hun Nazar Koh O Bayaabaan Pe Hai Meri; Mere Liye Shayan Khaas-o-Khashak Nahi Hai; Aalam Hai Faqat Momin-e-Jaanbaaz Kee Meeraas; Momin Nahi Jo Sahib-e-Laulaak Nahi Hai

Socha Nahi Achha Bura Socha Nahi Achha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi; Manga Khuda Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahi; Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaha Tujhe Puja Tujhe; Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuch Bhi Nahi; Jis Par Hamari Aankh Ne Moti Bichaye Raat Bhar; Bheja Wahi Kagaz Use Hum Ne Likha Kuch Bhi Nahi; Ek Sham Kee Dehleez Par Baithe Rahe Wo Der Tak; Aankhon Se Kee Baatein Bahut Munh Se Kaha Kuch Bhi Nahi; Do Chaar Din Kee Baat Hai Dil Khak Mein So Jayega; Jab Aag Par Kagaz Rakha Baki Bacha Kuch Bhi Nahi; Ehsaas Kee Khushbu Kahan Aawaz Ke Jugnu Kahan; Khamosh Yaadon Ke Siwa Ghar Mein Raha Kuch Bhi Nahi

Dekh Lete Ho Mohabbat Dekh Lete Ho Mohabbat Se Yehi Kaafi Hai; Dil Dharakta Hai Sahulat Se Yehi Kaafi Hai; Haal Dunya Ke Sataye Huye Kuch Logon Ka; Puch Lete Ho Shararat Se Yehi Kaafi Hai; Jo Bhi Raste Mein Guzarta Hai Mere Pehlu Se; Dekhta Hai Teri Nisbat Se Yehi Kaafi Hai; Muddat ton Se Nahin Dekha Tera Jalwa Lekin; Yaad Ajate Ho Shidat Se Yehi Kaafi Hai; Saari Dunya Se Ulajhte Hain Lekin Tera Kahaa; Maan Jate Hain Sharafat Se Yehi Kaafi Hai; Kya Hua Hum Jo Muyassar Jo Zar-O-Maal Nahin; Katt Rahi Hai Bari Izat Se Yehi Kaafi Hai; Aaj Ke Ehd Taghaful Mein Kisi Dar Pe Munir; Koi Ajaye Zarurat Se Yehi Kaafi Hai

Dukh Dard Mein Hamesha Nikale Tumhare Khat; Aur Mil Gayi Khushi To Uchhale Tumhaare Khat; Sab Choodiyan Tumhari Samandar Ko Saunp Dee; Aur Kar Diye Hawa Ke Hawale Tumhare Khat; Mere Lahoo Mein Goonj Raha Hai Har Ek Lafz; Main Ne Ragon Ke Dasht Mein Paale Tumhare Khat; Yun To Hain Be-Shumar Wafa Kee Nishaniyan; Lekin Har Ek Shay Se Nirale Tumhare Khat; Jaise Ho Umar Bhar Ka Asasa Gareeb Ka; Kuch Is Tarah Se Main Ne Sambhale Tumhare Khat; Ahal-e-Hunar Ko Mujhe Pe Wasi Aitraz Hai; Main Ne Jo Apne Sher Mein Dhaale Tumhare Khat; Parwah Mujhe Nahi Hai Kisi Chaand Kee Wasi ; Zulmat Ke Dasht Mein Hain Ujaale Tumhare Khat

Badla Tere Sitam Ka Badla Tere Sitam Ka Koi Tujh Se Kya Kare; Apna Hi Tu Farefta Hove Khuda Kare; Qaatil Hamari Naash Ko Tash-Hir Hai Zarur; Aainda Ta Koi Na Kisi Se Wafa Kare; Fikr-e-Maash Ishq-e-Butaan Yaad-e-Raftgaan; Do Din Ki Zindagi Mein Ab Koi Kya Kya Kiya Kare; Aalam Ke Beech Phir Na Rahe Rasm-e-Aashiqui; Gar Neem Lab Koi Tere Shikwe Se Waa Kare; Gar Ho Sharaab-o-Khilwat-o-Mahboob-e-Khub Roo; Zaahid Kasam Hai Tujh Ko Jo Tu Ho To Kya Kare; Khaakastr-o-Patang-o-Mashahd Meri Ki Khaak; Sham-o-Shafaq Ajab Ho Jo Mil Kar Uda Kare; Ai Waae Bar Aseer Ke Par Tod Kar Jise; Sayyaad Fasl-e-Gul Mein Chaman Se Riha Kare

Mohabbat Kii Duniyaa Mein Mohabbat Kii Duniyaa Mein Mashhuur Kar Duun; Mere Saada Dil Tujh Ko Maghruur Kar Duun; Tere Dil Ko Milne Kii Khud Aarzuu Ho; Tujhe Is Qadar Gham Se Ranjuur Kar Duun; Mujhe Zindagii Duur Rakhti Hai Tujh Se; Jo Tuu Pass Ho To Use Duur Kaar Duun; Mohabbat Ke Iqraara Se Sharm Kab Tak; Kabhii Saamnaa Ho To Majbuur Kar Duun; Ye Be Rangiyaan Kab Tak E Husn-E-Rangiin; Idhar Aa Tujhe Ishq Men Chuur Kar Duun; Tuu Gar Saamne Ho To Main Bekhudii Men; Sitaaron Ko Sajde Pe Majbuur Kar Duun; Nahiin Zindagii Ko Vaffa Varnaa Akhtar; Mohabbat Se Duniyaa Ko Maamuur Kar Duun Translation: Maghroor = Arrogant

Aaj Phir Ji Bhar Ke Aaj Phir Ji Bhar Ke Pi Aaya Hoon Main; Dekhte Hi Teri Aankhen Shola Saamaan Ho Gaien; Shukar Kar Ai Jaan Ke Main; Hoon Dar-E-Afrang Ka Ik Adna Ghulaam; Sadar-E-Aazam Yaani Daryooza Gar-E-Aazam Nahin; Warna Ik Jaam-E-Sharab-E-Arqhawaan; Kya Bujha Sakta Mere Seena-E-Sozaan Ki Aag; Ghum Se Mar Jaati Na Tu; Aaj Pi Jo Main; Jaam-E-Rangeen Ke Bajaae; Bekason Aur Naatwaan Ka Lahu; Shukar Kar Ai Jaan ke Main; Hoon Dar-E Afrang Ka Ik Adna Ghulaam; Aur Behtar Aish Ke Qaabil Nahin Translation: Dar-E-Afrang:The Crown Sardar-E-Aazam-Yaani Daryooza Gar-E-Aazam Nahin:Not a boss or overlord-a mendicant-in-chief