Dil Soz Se Khali Hai Nigah Paak Nahi Hai; Phir Is Mein Ajab Kya Ki Tu Be-Baak Nahi Hai; Hai Zauq-e-Tajali Bhi Isi Khaak Mein Pinaha; Gaafil Tu Nira Sahib-e-Idrak Nahi Hai; Wo Aankh Ki Hai Surma-e-Afarang Se Roshan; Pur-Kaar O Sukhan-Saaz Hai Nam-Naak Nahi Hai; Kya Sufi-O-Mullaa Ko Khabar Mere Junoon Kee; Un Ka Sar-e-Daaman Bhi Abhi Chaak Nahi Hai; Kab Tak Rahe Mahakumi-e-Anjum Mein Meri Khaak; Yaa Main Nahi Yaa Gardish-e-Aflaak Nahi Hai; Bijli Hun Nazar Koh O Bayaabaan Pe Hai Meri; Mere Liye Shayan Khaas-o-Khashak Nahi Hai; Aalam Hai Faqat Momin-e-Jaanbaaz Kee Meeraas; Momin Nahi Jo Sahib-e-Laulaak Nahi Hai

Your Comment Comment Head Icon

Login