Barish Hui to Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye; Mausam Ke Haath Bheeg Ke Saffak Ho Gaye; Baadal Ko Kya Khabar Hai Ki Barish Kee Chaah Mein; Kaise Buland-o-Baala Shajar Khaak Ho Gaye; Jugnu Ko Din Ke Waqt Parakhne Kee Zidd Karein; Bachhe Hamare Ahad Ke Chalaak Ho Gaye; Lehra Rahi Hai Barf Kee Chaadar Hata Ke Ghaas; Suraj Kee Sheh Pe Tinke Bhi Bebaak Ho Gaye; Basti Mein Jitne Aab-Gazida The Sab Ke Sab; Dariya Ke Rukh Badalte Hi Tairaak Ho Gaye; Suraj Dimag Log Bhi Ablaagh-e-Fikar Mein; Zulf-e-Shab-e-Firaaq Ke Pechaak Ho Gaye; Jab Bhi Gharib-e-Shehar Se Kuch Guftguu Hui; Lahje Hawa-e-Shaam Ke Namnaak Ho Gaye

Your Comment Comment Head Icon

Login