Maine Kab Chaha Ki Main Maine Kab Chaha Ki Main Us Kee Tamana Ho Jaoon; Ye Bhee Kya Kam Hai Agar Us Ko Gawara Ho Jaoon; Mujh Ko Unchai Se Girana Bhee Hai Manzoor Agar; Us Kee Palkon Se Jo Toote Wo Sitara Ho Jaoon; Lekar Ik Azm Uthun Roz Nayi Bheed Ke Sath; Phir Wahei Bheed Chhate Aur Main Tanha Ho Jaoon; Jab Talak Mahve-Nazar Hun Main Tamashayi Hun; Tuk Nigahein Jo Hata Loon To Tamasha Ho Jaoon; Main Wo Bekar Sa Pal Hun Na Koi Shabd Na Sur; Wo Agar Mujh Ko Rachale To Hamesha Ho Jaoon; Aagahi Mera Marz Bhi Hai Mudawa Bhi Hai Saaz ; Jis Se Marta Hun Usee Zehar Se Achha Ho Jaoon

Aina Kyun Na Dun Aina Kyun Na Dun K Tamasha Kahen Jise; Aisa Kahan Se Laun K Tujhsa Kahen Jise; Hasrat Ne La Rakha Teri Bazm-e-Khayal Mein; Guldasta-e-Nigah Suweda Kahen Jise; Phunka Hai Kisne Goshe Muhabbat Mein Ai Khuda; Afsun-e-Intezar Tamanna Kahen Jise; Sar Par Hujum-e-Dard-e-Garibi Se Daliye; Wo Ek Musht-e-Khak K Sahra Kahen Jise; Hai Chashm-e-Tar Mein Hasrat-e-Didar Se Nihan; Shauq-e-Inan Gusekhta Dariya Kahen Jise; Darkar Hai Shiguftan-e-Gul Haye Aish Ko; Subh-e-Bahar Panba-e-Mina Kahen Jise; Ghalib? Bura Na Man Jo Waiz Bura Kahe; Aisa Bhi Koi Hai K Sab Acha Kahen Jise

Kaha Majnu Se Kaha Majnun Se Yah Laila Ki Maa Ne; Ki Beta Tu Agar Kar Le M A Pass; Tau Fauran Beaah Doon Laila Ko Tujhse; Bina Diqqat Main Ban Jaaoon Teri Saas; Kaha Majnun Ne Yah Achchhi Sunaai; Kuja Aashiq Kuja College Ki Bakwaas; Kuja Yah Fitrati Josh-E-Tabiyat; Kuja Thaunsi Hui Cheezon Ka Ahsaas; Bari Bhi Aapko Kya Ho Gaya Hai; Hiran Mein Laddi Jaati Hai Kahin Ghass; Yah Abhi Hi Qadardani Aap Ne Ki; Mujhe Samjha Hai Koi Harcharan Das; Dil Apna Khoonkarne Ko Hoon Maujood; Nahin Manzoor Maghz-E-Sar Ka Aamaas; Yahi Teri Hai Shart-E-Wasl-E-Laila; Tau Isteefa Mera Ba Hasrat O Yaas

Aaina Kyu Na Doon Aaina Kyu Na Doon Ke Tamasha Kahe Jise; Aisa Kaha Se Laau Ke Tujhasa Kahe Jise Hasrat Ne La Rakha Teri Bazm-e-Khayal Me; Guldasta-e-Nigaah Suveda Kahe Jise; Phoonka Hai Kisne Goshe Mohabbat Mein Aye Khuda; Afasuun-e-Intazar Tamanna Kahe Jise; Sar Par Hajum-e-Dard-e-Garibi Se Daliye; Wo Ek Musht-e-Khak Ke Sahara Kahe Jise; Hai Chashm-e-Tar Me Hasarat-e-Diidar Se Niha; Shauq-e-Ina Gusekhta Dariya Kahe Jise; Darakar Hai Shiguftan-e-Gul Haye Aish Ko; SubH-e-Bahar Paba-e-Miina Kahe Jise; Ghalib Bura Na Man Jo Vaiz Bura Kahe; Aisa Bhii Koii Hai Ke Sab Achchha Kahe Jise

Yahaan Kisii Ko Bhii Kuchh Yahaan Kisii Ko Bhii Kuchh Hasb-e-Aarzuu Na Milaa; Kisii Ko Ham Na Mile Aur Ham Ko Tuu Na Milaa; Ghizaal-e-Ashk Sar-e-Subah Duub-e-Mizhgaan Par; Kab Apnii Aankh Khulii Aur Lahuu Lahuu Na Milaa; Chamakte Chaand Bhii The Shahar-e-Shab Ke Aivaan Men; Nigaar-e-Gham Saa Magar Koii Shamaa-Ruu Na Milaa; Unhii Kii Ramz Chalii Hai Galii Men Yahaan; Jinhen Idhar Se Kabhi Izn-e-Guftguu Na Milaa; Phir Aaj Mai-Kada-e-Dil Se Laut Aaye Hain; Phir Aaj Ham Ko Thikaane Ka Subuu Na Mila Translation: Hasb-e-Arzoo = In Accordance With One s Wishes Ruu = Face Izn = Permission

Na Jane Kin Adaaon Na Jane Kin Adaaon Se Lubhaa Liya Geya Mujhe; Qateel Mere Samney Churaa Liya Geya Mujhe; Kabhi Jo Un Ke Jashn Mein Seyaahiyan Bikhar Gayin; To Roshni Ke Vaastey Jalaa Liya Geya Mujhe; Barah-E-Raast Raabta Na Mujhse Tha Qabool Unhe; Likhaa Ke Khat Raqeeb Se Bulaa Liya Geya Mujhe; Jab Un Ke Deed Ke Liye Qitaar Mein Kharra Tha Mein; Qitaar Se Na Jaane Kyun Hattaa Liye Geya Mujhe; Mein Rondney Ki Cheez Tha Kisi Ke Paon Se Magar; Kabhi Kabhi To Zulff Mein Sajaa Liya Geya Mujhe Sawaal Tha Ke Wafaa Hai Kya Jawab Tha Ke Zindagi; Qateel Pyar Se Galey Laga Liya Geya Mujhe

Jab Nahi Aaye The Tum Tab Bhi To Tum Aaye The; Aankh Mein Noor Kee Aur Dil Mein Lahoo Kee Surat; Yaad Kee Tarah Dhadakte Hue Dil Kee Surat; Tum Nahi Aaye Abhi Phir Bhi To Tum Aaye Ho; Raat Ke Seene Mein Mehtab Ke Khanjar Kee Tarah; Subah Ke Haath Mein Khurshid Ke Sagar Kee Tarah; Tum Nahi Aaoge Jab Phir Bhi To Tum Aaoge; Zulf Dar Zulf Bikhar Jayega Phir Raat Ka Rang; Shab-e-Tanhayi Mein Bhi Lutf-e-Mulaqat Ka Rang; Aao Aane Kee Karein Baat Ki Tum Aaye Ho; Ab Tum Aaye Ho Main Kaun Si Shai Nazar Karu; Ki Mere Paas Siva Mehr-o-Wafa Kuch Bhi Nahi; Ek Dil Ek Tamanna Ke Siva Kuch Bhi Nahi

Na Jane Kin Adaaon Se Na Jane Kin Adaaon Se Lubhaa Liya Geya Mujhe; Qateel Mere Samney Churaa Liya Geya Mujhe; Kabhi Jo Un Ke Jashn Mein Seyaahiyan Bikhar Gayin; To Roshni Ke Vaastey Jalaa Liya Geya Mujhe; Barah-e-Raast Raabta Na Mujhse Tha Qabool Unhe; Likhaa Ke Khat Raqeeb Se Bulaa Liya Geya Mujhe; Jab Un Ke Deed Ke Liye Qataar Mein Kharra Tha Main; Qataar Se Na Jaane Kyun Hattaa Liye Geya Mujhe; Main Rondney Ki Cheez Tha Kisi Ke Paon Se Magar; Kabhi Kabhi To Zulf Mein Sajaa Liya Geya Mujhe; Sawaal Tha Ki Wafaa Hai Kya Jawab Tha Ki Zindagi; Qateel Pyar Se Galey Laga Liya Geya Mujhe

Door Se Aaye The Saqi Door Se Aaye The Saqi Sun Ke Maykhane Ko Hum; Bas Taraste Hi Chale Afsos Paimane Ko Hum; May Bhi Hai Meena Bhi Hai Sagar Bhi Hai Saqi Nahi; Dil Mein Aata Hai Laga Den Aag Maykhane Ko Hum; Humko Phansna Tha Kafaz Mein Kya Gila Sayyad Ka; Bas Taraste Hi Rahe Hain Aab Aur Daane Ko Hum; Baag Mein Lagta Nahi Sehara Mein Ghabrata Hai Dil; Ab Kahan Le Jaake Bithayein Aise Deewane Ko Hum; Taak-e-Aabru Mein Sanam Ke Kya Khudayi Reh Gayi; Ab To Pujenge Usi Kaafir Ke Butkhane Ko Hum; Kya Hui Takseer Hum Se Tu Bata De Ai Nazeer Taaki Shadi Marg Samajhe Aise Mar Jaane Ko Hum

Khud Ko Kyuun Jism Khud Ko Kyuun Jism Kaa Zindaan Karen; Fikar To Takht-e-Sulemaani Karen; Der Tak Baith Ke Sochn Khud Ko; Aaj Phir Ghar Mein Biyaabaani Karen; Apne Kamre Mein Sajaayen Aafaaq; Jalsa-e-Be-Sar-o-Saamaani Karen; Umar Bhar Sher Kahen Khuun Thuuken; Muntakhib Raasta-e-Nuqsaani Karen; Khud Ke Liye Mol Len Izhaar Ka Qarz; Duusron Ke Liye Aasaano Karen; Sher Ke Lab Pe Khamoshi Likhen; Harf-e-Naa-Guftaa Ko Laa-Saani Karen; Kimiyaakaari Hai Fan Apnaa Saaz; Aag Ko Baithe Hue Paani Karen Translation: Zindaani = Prisoner Takht-E-Sulemani = Soloman s Throne Muntakhib = Select Choose

Aankhon Se Mere Is Liye Laali Nahin Jati; Yaadon Se Koi Raat Jo Khaali Nahin Jati; Ab Umar Na Mausam Na Woh Raaste Ki Woh Palte; Iss Dil Ki Magar Khaam Khayali Nahin Jati; Maange Tu Agar Jaan Bhi To Hans Ke Tujhe De Dein; Teri To Koi Baat Bhi Taali Nahin Jati; Aaye Koi Aa Ke Yeh Tere Dard Sambhaale; Hum Se To Yeh Jageer Sambhaali Nahin Jati; Maloom Humein Bhi Hain Bahut Se Tere Kisse; Yeh Baat Teri Hum Se To Uchaali Nahin Jati; Humraah Teri Phool Khilaati Jo Dil Mein; Ab Shaam Wohi Dard Se Khaali Nahin Jati; Hum Jaan Se Jaayen Ge Tabhi Baat Bane Gi; Tum Se To Koi Raah Nikaali Nahin Jati

Mil Kar Judaa Hue To Na Soya Karenge Hum; Ek Dusre Kee Yaad Mein Roya Karenge Hum; Aansu Jhalak Jhalak Ke Satayenge Raat Bhar; Moti Palak Palak Mein Piroya Karenge Hum; Jab Dooriyon Kee Aag Dilon Ko Jalayegi; Jismon Ko Chandani Mein Bhigoya Karenge Hum; Bin Kar Har Ek Bazm Ka Mauzu-e-Guftgu; Sheron Mein Tere Gham Ka Samoya Karenge Hum; Mazbooriyan Ke Zehar se Kar Lenge Khudkushi; Ye Buzdili Ka Jurm Bhi Goya Karenge Hum; Dil Jal Raha Hai Zard Shajar Dekh Dekh Kar; Ab Chahton Ke Beej Na Boya Karenge Hum; Gar De Geya Dagha Humein Toofan Bhi Qateel ; Sahil Pe Kashtiyon Ko Duboya Karenge Hum

Sar-e-Sehra Musafir Ko Sitara Yaad Rehta Hai; Main Chalta Hun Mujhe Chehra Tumhara Yaad Rahta Hai; Tumhara Zarf Hai Tum Ko Mohabbat Bhool Jati Hai; Humein To Jis Ne Hans Kar Bhi Pukara Yaad Rehta Hai; Mohabbat Mein Jo Doobaa Ho Use Sahil Se Kya Lena; Kise Is Bahaar Mein Ja Kar Kinara Yaad Rehta Hai; Bahut Leharon Ko Pakda Doobane Wale Ke Haathon Ne; Yahi Bas Ek Dariya Ka Nazara Yaad Rehta Hai; Sadayein Ek Si Yaksaniyat Mein Doob Jati Hain; Zara Sa Mukhtalif Jis Ne Pukara Yaad Rehta Hai; Main Kis Tezi Se Zinda Hun Main Ye To Bhool Jata Hun; Nahi Aanaa Hai Duniya Mein Dobaraa Yaad Rehta Hai

Ishq Kee Duniya Mein Ishq Kee Duniya Mein Ek Hungama Barpaa Kar Diya; Ai Khayal-e-Dost Ye Kya Ho Gaya Kya Kar Diya; Zarre Zarre Ne Mera Afsana Sun Kar Daad Dee; Main Ne Vahshat Mein Jahaan Ko Tera Shaida Kar Diya; Toor Par Raah-e-Wafa Mein Bo Diye Kaante Kaleem; Ishq Kee Vusaat Ko Masdood-e-Taqazaa Kar Diya; Bistar-e-Mashriq Se Sooraj Ne Uthayaa Apana Sar; Kis Ne Ye Mehfil Mein Zikr-e-Husn-e-Yaktaa Kar Diya; Chashm-e-Nargis Jaa-e-Shabnam Khoon Royegi Nadeem; Maine Jis Din Gulasitan Ka Raaz Ifsaa Kar Diya; Mudda-e-Dil Kahun Ehasaan Kis Umeed Par; Wo Jo Chahenge Karenge Aur Jo Chaha Kar Diya

Jigar Ki Aag Bujhe Jigar Ki Aag Bujhe Jald Jismen Woh Shai Laa; Laga Ke Barf Mein Saqi Surahi-e-Mai Laa; Qadam Ko Haath Lagaata Hun Uth Kahin Ghar Chal; Khuda Ke Waste Itne Tau Paaon Mat Phaila; Nikal Ke Wadi-e-Wahshat Se Dekh Ai Majnun; Ke Zor Dhun Mein Ab Aata Hai Naaqa-E-Laila; Gira Jo Haath Se Farhad Ke Kahin Teesha; Daroon-e-Koh Se Nikli Sada-e-Wavela; Nazakat Uske Mukhre Ki Dekho Insha; Naseem-e-Subh Jo Chhoo Jaae Rang Ho Maila Translation: Surahi-e-Mai = Flak of Wine Wadi-e-Wahshat = Wilds of Frenzy Naaqa-E-Laila = Comes your Laila Sada-e-Wavela = Heard Naseem-e-Subh = Morning Breeze