Jab Nahi Aaye The Tum Tab Bhi To Tum Aaye The; Aankh Mein Noor Kee Aur Dil Mein Lahoo Kee Surat; Yaad Kee Tarah Dhadakte Hue Dil Kee Surat; Tum Nahi Aaye Abhi Phir Bhi To Tum Aaye Ho; Raat Ke Seene Mein Mehtab Ke Khanjar Kee Tarah; Subah Ke Haath Mein Khurshid Ke Sagar Kee Tarah; Tum Nahi Aaoge Jab Phir Bhi To Tum Aaoge; Zulf Dar Zulf Bikhar Jayega Phir Raat Ka Rang; Shab-e-Tanhayi Mein Bhi Lutf-e-Mulaqat Ka Rang; Aao Aane Kee Karein Baat Ki Tum Aaye Ho; Ab Tum Aaye Ho Main Kaun Si Shai Nazar Karu; Ki Mere Paas Siva Mehr-o-Wafa Kuch Bhi Nahi; Ek Dil Ek Tamanna Ke Siva Kuch Bhi Nahi

Your Comment Comment Head Icon

Login