Jigar Ki Aag Bujhe Jigar Ki Aag Bujhe Jald Jismen Woh Shai Laa; Laga Ke Barf Mein Saqi Surahi-e-Mai Laa; Qadam Ko Haath Lagaata Hun Uth Kahin Ghar Chal; Khuda Ke Waste Itne Tau Paaon Mat Phaila; Nikal Ke Wadi-e-Wahshat Se Dekh Ai Majnun; Ke Zor Dhun Mein Ab Aata Hai Naaqa-E-Laila; Gira Jo Haath Se Farhad Ke Kahin Teesha; Daroon-e-Koh Se Nikli Sada-e-Wavela; Nazakat Uske Mukhre Ki Dekho Insha; Naseem-e-Subh Jo Chhoo Jaae Rang Ho Maila Translation: Surahi-e-Mai = Flak of Wine Wadi-e-Wahshat = Wilds of Frenzy Naaqa-E-Laila = Comes your Laila Sada-e-Wavela = Heard Naseem-e-Subh = Morning Breeze

Your Comment Comment Head Icon

Login