Sar-e-Sehra Musafir Ko Sitara Yaad Rehta Hai; Main Chalta Hun Mujhe Chehra Tumhara Yaad Rahta Hai; Tumhara Zarf Hai Tum Ko Mohabbat Bhool Jati Hai; Humein To Jis Ne Hans Kar Bhi Pukara Yaad Rehta Hai; Mohabbat Mein Jo Doobaa Ho Use Sahil Se Kya Lena; Kise Is Bahaar Mein Ja Kar Kinara Yaad Rehta Hai; Bahut Leharon Ko Pakda Doobane Wale Ke Haathon Ne; Yahi Bas Ek Dariya Ka Nazara Yaad Rehta Hai; Sadayein Ek Si Yaksaniyat Mein Doob Jati Hain; Zara Sa Mukhtalif Jis Ne Pukara Yaad Rehta Hai; Main Kis Tezi Se Zinda Hun Main Ye To Bhool Jata Hun; Nahi Aanaa Hai Duniya Mein Dobaraa Yaad Rehta Hai

Your Comment Comment Head Icon

Login