Koi Naa Jaan Saka Koi Naa Jaan Saka Woh Kahan Se Aaya Tha; Aur Us Ne Dhoop Se Baadal Ko Kyon Milaya Tha; Yeh Baat Shayad Logon Ko Pasand Aayi Nahin; Makaa n Chota Tha Lekin Bohat Sajaya Tha; Woh Ab Wahan Hai Jahan Raste Nahin Jate; Main Jis Ke Sath Yahan Pichle Saal Aya Tha; Suna Hai Us Pe Chehekne Lage Hain Parindey Bhi; Woh Aik Pau daa Jo Hum Ne Kabhi Lagaya Tha; Chiragh Doob Gaye Kapkapaye Honton Par; Kisi Ka Hath Hamare Labo n Tak Aya Tha; Badan Ko Chorr Ke Jana Hai Aasman Ki Taraf; Samundro n Ne Humein Yeh Sabaq Parhaya Tha; Tamam Umar Mera Dam Isi Dhuyein Mein Ghutta; Woh Ik Chiragh Thaa Maine Usey Bhujaya Tha

Your Comment Comment Head Icon

Login