Chaman Mein Subah Ye Kehti Thi Ho Kar Chashm-e-Tar Shabnam; Bahaar-e-Baag To Yun Hi Rahi Lekin Kidhar Shabnam; Arq Kee Boond Us Kee Zulf Se Rukhsaar Par Tapki; Tazub Kee Hai Jaage Ye Padi Khurshid Par Shabnam; Humein To Baag Tujh Bin Khana-e-Matam Nazar Aaya; Idhar Gul Phadte The Jeb Roti Thi Udhar Shabnam; Kare Hai Kuch Na Kuch Taseer Sohbat Saaf Taabon Kee; Hui Aatish Se Gul Ke Baithte Rashq-e-Sharar Shabnam; Bhala Tuk Subah Hone Do Ise Bhi Dekh Levenge; Kisi Aashiq Ke Rone Se Nahi Rakhti Khabar Shabnam; Na Samjha Dard Humne Bhed Ya Kee Shadi-o-Gham Ka; Sehar Khandaan Hai Kyon Roti Hai Kis Ko Yaak Kar Shabnam

Your Comment Comment Head Icon

Login