Hum Hain Mataa-e-Koocha-o-Baazaar Hum Hain Mataa-e-Koocha-o-Baazaar Kee Tarah; Uthti Hai Har Nigaah Kharidaar Kee Tarah; Iss Ku-e-Tishnagi Mein Bahut Hai Ki Ek Jaam; Haath Aa Gaya Hai Daulat-e-Bedaar Kee Tarah; Wo To Hain Kahin Aur Magar Dil Ke Aas Paas; Firti Hai Koi Shay Nigaah-e-Yaar Kee Tarah; Seedhi Hai Raah-e-Shauq Pa Yun Hi Kabhi Kabhi; Kham Ho Gayi Hai Gesu-e-Diladar Kee Tarah; Ab Ja Ke Kuch Khula Hunar-e-Naakhoon-e-Junoon; Zakhm-e-Jigar Huye Lab-o-Rukhsar Kee Tarah; Majrooh Likh Rahe Hain Wo Ahal-e-Wafa Ka Naam; Hum Bhi Khade Hue Hain Gunahagaar Kee Tarah

Your Comment Comment Head Icon

Login