Jis Tarah Bhi Ho Saka Jis Tarah Bhi Ho Saka Us Tarah Toda Mujhe; Zindagi Ne Maut Ke Qabil Nahi Samjha Mujhe; Zindagi Maankar Chalati Rahi Ghoda Mujhe; Har Kadam Par Maarti Hai Ek Naya Koda Mujhe; Zindagi Har Waqt Meri Peeth Par Baithi Rahi; Apni Marzi Ke Mutabiq Har Taraf Moda Mujhe; Is Tarah Apno Ke Ehsaan Hai Mujh Par Bahut; Chot De Kar Dil Ko Sheeshe Ki Tarah Joda Mujhe; He Zindagi Meri Tujhse Iltiza Itni Hai Bus; Chodhkar Nafrat Ki Bhasha Pyar De Thoda Mujhe; Warna Ek Din Jalti Hui Aag Se Bolegi Meri Laash Yoon; Zindagi Ne Aag Ke Dariya Me Laa Chhoda Mujhe

Your Comment Comment Head Icon

Login