Daman-e-Gull Mein Daman-e-Gull Mein Hi Gulzaar BiKhar Jaate Hain; Aag Bujhti Hai To Angaar Bikhar Jaate Hain; Shama Jalti Hai Sada Ek Hi Lamhe Me Lekin; Jal Ke Parwaane Kayi Baar Bikhar Jaate Hain; Jin Ko Insaan Pirota Hai Bahut Ulfat Se; Haaye Woh Gull Sar-e-Bazaar Bikhar Jaate Hain; Paaon Uthate Hain Tere Koche Ki Jaanib Jab Bhi; Apni Raahon Me Kayi Khaar Bikhar Jaate Hain; Raat Ke Pichle Pehar Kehoon-e-Tamanna Ki Tarha; Hum Teri Yaad Mein Ay Yaar Bikhar Jaate Hain; Ho Ga Andaaz-e-Wafa Un Ka Alag Hi Mohsin ; Jin Ki Raahon Mein Talabgaar Bikhar Jaate Hain

Your Comment Comment Head Icon

Login