Tum Na Aaye Ek Din Ka Vadaa Kar Tum Na Aaye Ek Din Ka Vadaa Kar Do Din Talak; Ham Pade Tadpa Kiye Do-Do Pahar Do Din Talak; Dard-e-Dil Apna Sunata Hun Kabhi Jo Ek Din; Rehta Hai Us Naazneen Ko Dard-e-Sar Do Din Talak; Dekhte Hain Khwab Mein Jis Din Kisoo Kee Chashm-e-Mast; Rehte Hain Hum Do Jahaan Se Bekhabar Do Din Talak; Gar Yaqeen Ho Ye Humein Aayega Tu Do Din Ke Baad; To Jiyen Hum Aur Is Ummeed Par Do Din Talak; Kya Sabab Kya Vaasta Kya Kaam Tha Batalaiye; Ghar Se Jo Nikale Na Apne Tum Zafar Do Din Talak

Wahi Aankhon Mein Aur Aankhon Se Poshidaa Bhi Rehta Hai; Meri Yaadon Mein Ek Bhula Hua Chehra Bhi Rehta Hai; Jab Us Kee Sard-Mehari Dekhta Hun Bujhne Lagta Hun; Mujhe Apni Adakari Ka Andaza Bhi Rehta Hai; Main Un Se Bhi Mila Karta Hun Jin Se Dil Nahi Milta; Magar Khud Se Bichhad Jane Ka Andesha Bhi Rehta Hai; Jo Mumkin Ho To Pur-Asraar Duniyaon Mein Dakhil Ho; Ki Har Deewar Mein Ek Chor Darwaza Bhi Rehta Hai; Bas Apni Be-Basi Kee Saatvi Manzil Mein Zinda Hun; Yahan Par Aag Bhi Rehti Hai Aur Nauha Bhi Rehta Hai

Haath Khaali Hain Tere Shehar Se Jaate Jaate; Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jaate; Ab To Har Haath Ka Pathar Humnein Pahunchta Hai; Umar Guzri Hai Tere Shehar Mein Aate Jaate; Ab Ke Mayus Hua Yaaron Ko Rukhsat Karke; Ja Rahe The To Koi Zakham Lagate Jaate; Reengne Kee Bhi Izazat Nahi Hum Ko Warna; Hum Jidhar Jaate Naye Phool Khilate Jaate; Main To Jalte Hue Sehraon Ka Ek Pathar Tha; Tum To Dariya The Meri Pyaas Bujhate Jaate; Hum Se Pehle Bhi Musafir Kayi Guzre Honge; Kam Se Kam Raah Ke Pathar To Hatate Jaate

Mohabbat Ki Aseeri Se Mohabbat Ki Aseeri Se Rihaayi Maangtay Rehna; Bahut Aasaan Nahi Hota Judaai Maangtay Rehna; Zara Sa Ishq Kar laina Zara Si Aankh Bhar Laina; Iwaz Iske Magar Saari Khudaai Maangtay Rehna; Kabhi Mehroom Honton Par Dua Ka Harf Rakh Dena; Kabhi Wehshat Mein Uski Naarsaayi Maangtay Rehna; Wafaaon Ke Tasalsul Se Mohabbat Rooth Jaati Hai; Dil Ki Sakoot-e-Shaam-e-Gham Se Humnawaayi Maangtay Rehna; Kabhi Bachay Ke Nannay Haath Par Titli Ke Par Rakhna; Kabhi Phir Uske Rangon Se Rihaayi Maangtay Rehna

Udas Aankhon Se Aansu Nahi Nikalte Hain; Ye Motiyon Kee Tarah Sipiyon Mein Palte Hain; Ghane Dhuen Mein Farishte Bhi Aankh Malte Hain; Tamam Raat Khajuron Ke Ped Jalte Hain; Main Shah Reh Nahin Raste Ka Pathar Hun; Yahan Sawar Bhi Paidal Utar Kar Chalte Hain; Unhe Kabhi Na Batana Main Unki Aankhein Hun; Wo Log Phool Samajhkar Mujhe Masalte Hain; Ye Ek Ped Hai Aa Iss Se Milkar Ro Lein Hum; Yahan Se Tere Mere Raaste Badalte Hain; Kai Sitaron Ko Main Janata Hun Bachpan Se; Kahin Bhi Jaun Mere Saath Saath Chalte Hain

Kuch Aarazi Ujale Bachaye Hue Hain Log; Mutthi Mein Juganuon Ko Chupaye Hue Hain Log; Us Shakhs Ko To Qatal Hue Der Ho Gayi; Ab Kis Liye Ye Bheed Lagaye Hue Hain Log; Barason Purane Dard Na Athkheliyan Karen; Ab To Naye Ghamon Ke Sataye Hue Hain Log; Aankhein Ujad Chuki Hain Magar Rang Rang Ke; Khwabon Kee Ab Bhi Fasal Lagaye Hue Hain Log; Kya Reh Geya Hai Shehar Mein Khandaraat Ke Siva; Kya Dekhne Ko Ab Yahan Aaye Hue Hain Log; Kuch Din Se Be-Dimagi-e- Azahar Hai Rang Par; Basti Mein Us Ko Meer Banaye Hue Hain Log

Usi Se Aaye Hain Aashob Aasman Wale; Jise Gubaar Samajhate The Karavan Wale; Main Apni Dhun Mein Yahan Aandhiyan Uthata Hun; Magar Kahan Wo Maze Khaak-e-Aashiyan Wale; Mujhe Diya Na Kabhi Mere Dushmano Ka Pata; Mujhe Hawa Se Ladhate Rahe Jahan Wale; Mere Saraab-e-Tamanna Pe Rashk Tha Jin Ko; Bane Hain Aaj Wahi Bahar-e-Be-Karaan Wale; Main Nala Hun Mujhe Apne Labon Se Door Na Rakh; Mujhi Se Zinda Hai Tu Mere Jism-o-Jaan Wale; Ye Musht-e-Khaak Zafar Mera Pairahan Hi Tu Hai; Mujhe Zameen Se Darayein Na Kehakashan Wale

Apne Dil Kee Khoj Mein Kho Gaye Kya-Kya Log; Aansu Tapti Ret Mein Bo Gaye Kya-Kya Log; Kirnon Ke Toofan Se Bajre Bhar-Bhar Kar; Roshniyan Us Ghaat Par Dho Gaye Kya-Kya Log Saanjh Samay Is Kunj Mein Zindagiyon Kee Aut; Baj Gayi Kya-Kya Bansauri Ro Gaye Kya-Kya Log; Maili Chaadar Taan Kar Is Chaukhat Ke Dwar; Sadiyon Ke Kohraam Mein So Gaye Kya-Kya Log; Gathdi Kaal Rain Kee Sonti Se Latkaye; Apni Dhun Mein Dhyan Nagar Ko Gaye Kya-Kya Log; Meethe Meethe Bol Mein Dohe Ka Hindol; Sun Sun Us Ko Bhanware Ho Gaye Kya Kya Log

Apni Jannat Mujhe Apni Jannat Mujhe Dikhla Na Saka Tu Waiz; Kucha-e-Yaar Mein Chal Dekh Le Jannat Meri; Sari Duniya Se Anokhi Hai Zamane Se Judaa; Nemat-e-Khaas Hai Allah Re Kismat Meri; Shikwa-e-Hijr Pe Sar Kaat Ke Farmaate Hain; Phir Karoge Kabhi Is Munh Se Shikayat Meri; Teri Kudrat Ka Nazara Hai Mera Izaz Gunah; Teri Rehmat Ka Ishara Hai Nidamat Meri; Lo Tabassum Bhi Sharik-e-Nigah-e-Naaz Hua; Aaj Kuch Aur Badha Di Gayi Keemat Meri; Faiz Yak Lamha-e-Deedar Salamat Fani ; Gham Kee Har Roz Hai Badhti Hui Daulat Meri

Ek Boorha Ek Boorha Naheef-O-Khasta Zar; Ik Zaroorat Se Jaata Tha Bazaar; Zoef-E-Peeri Se Kham Hui Thi Kamar; Raah Bechara Chalta Tha Jhuk Kar; Chand Larkon Ko Us Pe Aai Hansi; Qad Pe Phabti Kahan Ki Soojhi; Kaha Ik Larke Ne Us Se Ke Bol; Tu Ne Kitne Ko Li Kamaan Yeh Mol; Pir Mard Lateef-O-Daanishmand; Hans Ke Kahne Laga Ke Ai Farzand; Pahunchoge Meri Umar Ko Jis Aan; Muft Mil Jaaegi Tumhein Yeh Kamaan Translation: Naheef-O-Khasta Zar: Weak And Broken Zoef-E-Peeri: Weight Of Age Lateef-O-Daanishmand: Kind And Discreet

Aisa Nahi Ke Ham Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili; Tumhain Chahtay Thay Per Teri Ulfat Nahi Mili; Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay; Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili; Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay; Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili; Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas; Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili; Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe; Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili; Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi Faraz ; Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili

Kab Ta Dil Kee Khair Manayein Kab Tak Raah Dikhlaoge; Kab Tak Chain Kee Mohlat Doge Kab Tak Yaad Naa Aaoge; Beeta Deed Umeed Ka Mausam Khak Udti Hai Aankhon Mein; Kab Bhejoge Dard Ka Baadal Kab Barkha Barsaoge; Ahd-E-Wafa Ya Tark-E-Mohabbat Jo Chaho So Aap Karo; Apne Bas Kee Baat Hi Kya Hai Hum Se Kya Manwaoge; Kis Ne Vasl Ka Suraj Dekha Kis Par Hijr Kee Raat Dhali; Gesuon Wale Kaun The Kya The Un Ko Kya Jatlaoge; Faiz Dilon Ke Baag Mein Hai Ghar Bharnaa Bhi Lut Jana Thi; Tum Is Husn Ke Lutf-o-Karam Par Kitne Din Itraoge

Dil Mein Khayal-e-Nargis Dil Mein Khayal-e-Nargis-e-Janana Aa Geya; Phulon Se Khelta Hua Deewana Aa Geya; Badal Ke Uthte Hi Mai-o-Paimana Aa Geya; Bijli Ke Saath Saath Pari-Khaana Aa Geya; Maston Ne Iss Ada Se Kiya Raqs-e-Nau-Bahar; Paimana Kyaa Ki Vajd Mein Maikhana Aa Geya; Uss Chashm-e-Mai-Farosh Kee Tasir Kya Kahun; Honthon Tak Aaj Aap Hi Paimana Aa Geya; Malum Kis Ko Qais Kee Deewangi Kee Shaan; Hungama Sa Bapaa Hai Ki Deewana Aa Geya; Akhtar Gazab Thi Ahd-e-Jawani Kee Daastan; Aankhon Ke Aage Ek Pari-Khaana Aa Geya

Aaj Zara Fursat Aaj Zara Fursat Paayi Thi Aaj Use Phir Yaad Kiya; Band Gali Ke Aakhiri Ghar Ko Khol Ke Phir Aabad kiya; Khol Ke Khidkii Chand Hansa Phir Chand Ne Dono Hathon Se; Rang Udaye Phool Khilaye Chidiyon Ko Aazad Kiya; Bade Bade GHam Khade Hue The Raasta Roke Raahon Mein; Choti Choti Khushiyon Se Hi Hum Ne Dil Ko Shaad Kiya; Baat Bahut Mamuli Si Thi Uljh Gayi Takraron Mein; Ek Zara Si Zidd Ne Aakhir Dono Ko Barbaad Kiya; Danaon Ki Baat Na Maani Kaam Aayi Nadaani Hi; Suna Hawa Ko Padha Nadi Ko Mausam Ko Ustad Kiya

Lab Pe Aati Hai Dua Ban Ke Lab Pe Aati Hai Dua Ban Ke Tamanna Meri; Zindagi Shama Ki Soorat Ho Khudaya Meri; Door Duniya Ka Mere Dam Se Andhera Ho Jaaey; Har Jagah Mere Chamakne Se Ujala Ho Jaaey; Ho Mere Dam Se Yunhi Mere Watan Ki Zeenat; Jis Tarah Phool Se Hoti Hai Chaman Ki Zeenat; Zindagi Ho Meri Parwane Ki Soorat Yaarab; Ilm Ki Shama Se Ho Mujhko Mohabbat Yaarab; Ho Mera Kaam Ghareebon Ki Himayat Karna; Dardmandon Se Zaeefon Se Mohabbat Karna; Mere Allah Burai Se Bachana Mujhko; Nek Jo Rah Ho Us Rah Pe Chalana Mujhko