Phool The Rang The Phool The Rang The Lamhon Kee Sabahat Hum The; Aise Zinda The Ki Jeene Kee Alamat Hum The; Sab Khirad-Mand Bane Phirte The Masha-Allah; Bas Tere Shehar Mein Ik Sahib-e-Vehshat Hum The; Naam Bakhsha Hai Tujhe Kis Ke Wufoor-e-Gham Ne; Gar Koi Tha To Tere Mujrim-e-Shohrat Hum The; Ab To Khud Apni Zaroorat Bhi Nahi Hai Hum Ko; Wo Bhi Din The Ki Kabhi Teri Zaroorat Hum The; Dhoop Ke Dasht Mein Kitna Wo Humein Dhundhta Tha; Aitabar Us Ke Liye Abr Kee Soorat Hum The

Kitni Zulfein Kitne Aanchal Ude Kitni Zulfein Kitne Aanchal Ude Chaand Ko Kya Khabar; Kitna Matam Hua Kitne Aansu Bahe Chaand Ko Kya Khabar; Muddaton Us Kee Khwahish Se Chalte Rahe Haath Aata Nahi; Chaah Mein Us Kee Pairon Mein Hain Aabale Chaand Ko Kya Khabar; Wo Jo Nikla Nahi To Bhatakate Rahe Hain Musafir Kayi; Aur Lutte Rahe Hain Kayi Kafile Chaand Ko Kya Khabar; Us Ko Davaa Bahut Meethe-Pan Ka Wasi Chandni Se Kaho; Us Kee Kirano Se Kitne Hi Ghar Jal Gaye Chaand Ko Kya Khaba

Yeh Kya Gumaan Hai Yeh Kya Gumaan Hai Bad Gumaan; Samajh Na Mujhko Natawaan; Khyal-E-Zuhd Abhi Kahan; Abhi Tau Main Jawan Hun; Ibadaton Ka Zikar Hai; Nijat Ki Bhi Fikr Hai; Janoonhai Sawaab Ka; Khayal Hai Azaab Ka; Magar Suno Tau Sheikh Ji; Ajib Shai Hain Aap Bhi; Bhala Shabab-O-Aashiqi; Alag Hue Bhi Hain Kabhi; Haseen Jalwa-Rez Hon; Adaein Fitna-Khez Hon; Hawain Itar-Bez Hon; Tau Shauqkyon Na Tez Hon; Translation: Natawaan:Weak or Wan Azaab:Judgement Day Fitna:Khez-Charm and Grace

Meri Saari Zindagi Ko Meri Saari Zindagi Ko Be samar Iss Ne Kiya; Umar Meri Thi Magar Isko Basar Iss Ne Kiya; Main Bahut Kamzor Tha Iss Mulq Mein Hijrat Ke Baad; Par Mujhe Iss Mulq Mein Kamzor tar Iss Ne Kiya; Rehbar Mera Bana Gumraah Karne Ke Liye; Mujhko Seedhe Raaste Se Darbadar Iss Ne Kiya; Shehar Mein Woh Moatbir Meri Gawahi Se Hua; Phir Mujhe Iss Shehar Mein Na moatbir Iss Ne Kiya; Shehar Ko Barbaad Kar Ke Rakh Diya Iss Ne Munir ; Shehar Per Yeh Zulm Mere Naam Par Iss Ne Kiya

Dil Mein Mehak Rahe Hain Dil Mein Mehak Rahe Hain Kisi Aarzoo Ke Phool; Palkon Pe Khilnewale Hain Shayad Lahoo Ke Phool; Ab Tak Hai Koi Baat Mujhe Yaad Harf-Harf; Ab Tak Main Chun Raha Hoon Kisi Guftagoo Ke Phool; Kaliyan Chatak Rahi Thi Ki Aawaz Thi Koi; Ab Tak Sma-Ato Mein Hai Ik Khushguloo Ke Phool; Mere Lahoo Ka Rang Hai Har Noke-Khar Par; Sehra Mein Har Taraf Hai Meri Justaju Ke Phool; Deewane Kal Jo Log The Phoolon Ke Ishq Mein; Ab Unke Daaman Mein Bharein Hain Rafoo Ke Phool

Meri Saari Zindagi Ko Meri Saari Zindagi Ko Besamar Iss Ne Kiya; Umar Meri Thi Magar Isko Basar Iss Ne Kiya; Main Bahut Kamzor Tha Iss Mulq Mein Hijrat Ke Baad; Par Mujhe Iss Mulq Mein Kamzor tar Iss Ne Kiya; Rehbar Mera Bana Gumraah Karne Ke Liye; Mujhko Seedhey Raaste Se Darbadar Iss Ne Kiya; Shehar Mein Woh Moatbir Meri Gawahi Se Huwa; Phir Mujhe Iss Shehar Mein Na moatbir Iss Ne Kiya; Shehar Ko Barbaad Kar Ke Rakh Diya Iss Ne Munir ; Shehar Per Yeh Zulm Mere Naam Per Iss Ne Kiya

Jan-E-Sukun Aa Bhi Jan-E-Sukun Aa Bhi Ja Tera Hi Intazar Hai; Aankhon Se Ashk Hai Ravan Jan Bhi Beqarar Hai; Hone Ko Fasl-E-Gul Bhi Hai Davat-E-Aish Hai Magar; Apni Bahar Ka Mujhe Aj Bhi Intazar Hai; Sare Sahare Ishq Ke Toot Chuke Hain Hijr Mein; Ek Tumhari Yaad Bas Dard Ke Gam-Gusar Hai; Ahad-E-Vafa Ka Aap Ke Lutf-O-Karam Ka Aap Ke; Aur Kisi Ko Ho Na Ho Mujh Ko Aitabar Hai; Lut Gai Gham Ke Aabaru Lut Chuki Dil Ke Aarzoo; Yahya Nigah-E-Lutf Ka Phir Bhi Ummidvar Hai Yahya Jasdanwalla

Ishq Karo To Ye Bhi Socho Arz-e-Sawal Se Pehle; Hijr Kee Poori Raat Aati Hai Subah-e-Visaal Se Pehle; Dil Ka Kya Hai Dil Ne Kitne Manzar Dekhe Lekin; Aankhein Pagal Ho Jati Hain Ek Khyaal Se Pehle; Kis Ne Ret Udaai Shab Mein Aankhein Khol Ke Rakhi; Koi Misaal To Hona Us Kee Misaal Se Pehle; Kaar-e-Mohabbat Ek Safar Hai Is Mein Aa Jata Hai; Ek Zavaal-Aasaar Sa Rasta Baab-e-Kamaal Se Pehle; Ishq Mein Resham Jaise Vaadon Aur Khwabon Ka Rastaa; Jitna Mumkin Ho Tay Kar Le Gard-e-Malal Se Pehle

Be-Karaan Tanhaayion Be-Karaan Tanhaayion Ka Silsila Reh Jaaye Ga; Tere Mere Darmiyaan Bas Ik Khalaa Reh Jaaye Ga; Aks Beh Jaayein Ge Saare Dhoop Ke Sailaab Mein; Aur Koi Paanion Mein Jhaankta Reh Jaaye Ga; Mujh Ko Mere Hamsafar Aisa Safar Darpaish Hai; Raasta Kat Bhi Gaya Toh Faasla Reh Jaaye Ga; Log So Jaayein Ge Khamoshi Ki Chaadar Odh Kar; Chaand Soonay Aanganon Mein Jaagta Reh Jaaye Ga; Jo Kabhi Os Ne Parheen Theen Mujh Se Nasir Maang Kar; Naam Mera Un Kitaabon Mein Likha Reh Jaaye Ga

Shabab Ki Baaten Waqt-e-Peeri Shabab Ki Baaten; Aisi Hain Jaise Khwab Ki Baatein; Phir Mujhe Le Chala Udhar Dekho; Dil-e-Khana Kharab Ki Baaten; Sunten Hai Use Chher Chher Ke Hum; Kis Maze Se Itaab Ki Baaten; Mujh Ko Ruswa Karegi Khub Ai Dil; Yeh Teri Iztaraab Ki Baaten; Jaao Hota Hai Aur Bhi Khafqaan; Sun Ke Naaseh Janab Ki Baaten; Zikar Kya Josh-e-Ishq Mein Ai Zauq; Hum Se Hon Sabar-o-Taab Ki Baaten Translation: Waqt-e-Peeri = Hoary Age Dil-e-Khana = Rootless Heart Sabar-o-Taab = Crazed

Raste Kaa Intikhaab Raste Kaa Intikhaab Zaroori Sa Ho Geya; Ab Ikhtitaam-e-Baab Zaroori Sa Ho Geya; Hum Chup Rahe To Aur Bhi Ilzam Aayega; Ab Kuch Na Kuch Jawab Zaroori Sa Ho Geya; Hum Taalte Rahe Ki Ye Naubat Na Aane Paye; Phir Hijr Ka Azaab Zaroori Sa Ho Geya; Har Sham Jald Sone Kee Aadat Hi Pad Gayi; Har Raat Ek Khwab Zaroori Sa Ho Geya; Aahon Se Toottaa Nahi Ye Gumbad-e-Siyah; Aab Sang-e-Aaftaab Zaroori Sa Ho Geya; Dena Hai Imtihaan Tumhare Firaq Ka; Ab Sabr Ka Nisab Zaroori Sa Ho Geya

Mere Qatil Ko Pukaro Ki Main Mere Qatil Ko Pukaro Ki Main Zinda Hoon Abhi; Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Ki Main Zinda Hoon Abhi; Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say; Jao So Jao Sitaro Ki Main Zinda Hoon Abhi; Yeh Pareshan Say Gaisu Dekhe Nahi Jate; Apni Zulfun Ko Sanwaro Ki Main Zinda Hoon Abhi; Lakh Moujoun Mein Ghira Hun Abhi Dooba To Nahi; Mujh Ko Sahil Say Pukaro Ki Main Zinda Hoon Abhi; Qabar Say Aaj Bhi Mohsin Kee Aati Hai Sada; Tum Kahan Ho Mera Yaroo Ki Main Zinda Hoon Abhi

Tum Se Kitna Pyar Hai Tum Se Kitna Pyar Hai Dil Mein Utar Ke Dekh Lo; Na Yaqeen Aaye To Phir Dil Badal Ke Dekh Lo; Hum Ne Apni Har Saans Par Naam Tera Likh Diya; Ek Tujhe Paane Ki Khatir Khud Ko Pagal Kar Diya; Ishq Mein Tum Bhi Sanam Hadh Se Guzar Ke Dekh Lo; Tum Se Kitna Pyar Hai Dil Mein Utar Ke Dekh Lo; Jaane Kyun Saare Jahaan Se Ho Gayi Bekhabar; Jab Se Tum Ankhoon Mein Aaye Jaagti Hai Ye Nazar; Apni Ratoon Se Meri Ratein Badal Ke Dekh Lo; Tum Se Kitna Pyar Hai Dil Mein Utar Ke Dekh Lo

Bad Gaya Tha Pyas Ka: Bad Gaya Tha Pyas Ka Ehasas Dariya Dekh Kar; Hum Palat Aaye Magar Pani Ko Pyasa Dekh Kar; Hum Bhi Hain Shayad Kisi Bhataki Hui Kashti Ke Log; Chikhane Lagate Hain Khwabon Mai Jazira Dekha Kar; Jis Ke Jitani Haisiyat Hai Usake Nam Utana Khulus; Bhik Dete Hain Yahan Ke Log Kasa Dekh Kar; Mangate Hain Bhik Ab Apne Muhallon Mai Faqir; Bhuk Bhi Muhatat Ho Jati Hai Khatra Dekh Kar; Khudkushi Likhi Thi Ek Beva Ke Chehare Par Magar; Phir Wo Zinda Ho Gayi Bacha Bilakata Dekh Ka

Be-Karaan Tanhaayion Be-Karaan Tanhaayion Ka Silsila Reh Jaaye Ga; Tere Mere Darmiyaan Bas Ik Khalaa Reh Jaaye Ga; Aks Beh Jaayein Ge Saaray Dhoop Ke Sailaab Mein; Aur Koi Paanion Mein Jhaankta Reh Jaaye Ga; Mujh Ko Mere Hamsafar Aisa Safar Darpaish Hai; Raasta Kat Bhee Gaya Tou Faasla Reh Jaaye Ga; Log So Jaayein Ge Khamoshi Ki Chaadar Orh Kar; Chaand Soonay Aanganon Mein Jaagta Reh Jaaye Ga; Jo Kabhi Os Ne Parheen Theen Mujh Se Nasir Maang Kar; Naam Mera Un Kitaabon Mein Likha Reh Jaaye Ga