Raste Kaa Intikhaab Raste Kaa Intikhaab Zaroori Sa Ho Geya; Ab Ikhtitaam-e-Baab Zaroori Sa Ho Geya; Hum Chup Rahe To Aur Bhi Ilzam Aayega; Ab Kuch Na Kuch Jawab Zaroori Sa Ho Geya; Hum Taalte Rahe Ki Ye Naubat Na Aane Paye; Phir Hijr Ka Azaab Zaroori Sa Ho Geya; Har Sham Jald Sone Kee Aadat Hi Pad Gayi; Har Raat Ek Khwab Zaroori Sa Ho Geya; Aahon Se Toottaa Nahi Ye Gumbad-e-Siyah; Aab Sang-e-Aaftaab Zaroori Sa Ho Geya; Dena Hai Imtihaan Tumhare Firaq Ka; Ab Sabr Ka Nisab Zaroori Sa Ho Geya

Your Comment Comment Head Icon

Login