Duniya Ke Sitam Yaad Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad; Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad; Main Shikwa Ba Lab Tha Mujhe Ye Bhi Na Raha Yaad; Shayad Ki Mere Bhoolne Waale Ne Kiya Yaad; Kya Jaaniye Kya Ho Geya Arbaab-e-Junoon Ko; Jeene Kee Adaa Yaad Na Marne Kee Adaa Yaad; Kya Lutf Ki Main Apna Pataa Aap Bataaun; Kijiye Koi Bhooli Hui Khaas Apni Adaa Yaad; Muddat Hui Ek Haadsa-e-Ishq Ko Lekin; Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dhadakane Kee Sadaa Yaad

Ye Husn-E-Raz Muhabbat Ye Husn-E-Raz Muhabbat Chupa Raha Hai Koi; Hai Ashk Aankhon Mein Aur Muskura Rha Hai Koi; Nazar Nazar Mein Tajalli Dikha Raha Hai Koi; Nafaz Nafaz Pe Mujhe Yaad Aa Raha Hai Koi; Takhayulat Ke Dhoke Hain Sab Shab-E-Vada; Na Aa Raha Hai Koi Aur Na Ja Raha Hai Koi; Ye Husn-O-Ishq Ke Tasvir Ke Hain Do Manzar; Ki Ro Raha Hai Koi Muskura Raha Hai Koi; Qadeer Hasher Mein Pahunche To Hum Ne Kya Dekha; Kisi Ke Hath Se Daman Chuda Raha Hai Koi

Bichad Ke Mujh Se Kabhi Bichad Ke Mujh Se Kabhi Tu Ne Ye Bhi Socha Hai; Adhura Chand Bhi Kitana Udas Lagata Hai; Ye Vasl Ka Lamha Hai Ise Rayegan Na Samajh; Ke Is Ke Bad Wohi Duriyon Ka Sahara Hai; Kuch Aur Der Na Jhadata Udasiyon Ka Shajar; Kise Khabar Tere Saye Mein Kon Baitha Hai; Ye Rakh-Rakhao Muhabbat Sikha Gai Us Ko; Wo Ruth Kar Bhi Mujhe Muskura Ke Milta Hai; Main Kis Tarah Tujhe Dekhun Nazar Jhijhakati Hai; Tera Badan Hai Ke Ye Aainon Ka Dariya Hai

Aafat Kee Shokhiyan Hain Aafat Kee Shokhiyan Hain Tumhari Nigah Mein; Mehshar Ke Fitane Khelte Hain Jalwa-Gaah Mein; Woh Dushmani Se Dekhte Hain Dekhte To Hain; Main Shaad Hoon Ke Hoon To Kisi Kee Nigah Mein; Aati Baat Baat Mujhe Yaad Baar Baar; Kehta Hoon Daud Daud Ke Qaasid Se Raah Mein; Iss Tauba Par Hai Naaz Mujhe Zaahid Iss Qadar; Jo Toot Kar Shareek Hoon Haal-E-Tabaah Mein; Mushtaaq Iss Ada Ke Bahut Dard-Mand The; Ai Daag Tum To Baith Gaye Ek Aah Mein

Kya Kahun Tum Se Main Ki Kya Hai Ishq; Jaan Ka Rog Hai Bala Hai Ishq; Ishq Hi Ishq Hai Jahaan Dekho; Saare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq; Ishq Maashuq Ishq Aashiq Hai; Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq; Ishq Hai Tarz-o-Taur Ishq Ke Taeen; Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq; Kaun Maksad Ko Ishq Bin Pahuncha; Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq; Koi Khwaahan Nahi Mohabbat Ka; Tu Kahe Jins-e-Narwa Hai Ishq; Meer Ji Zarad Hote Jaate Hain; Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq

Yeh Kis Khalish Ne Phir Yeh Kis Khalish Ne Phir Is Dil Mein Aashiyana Kiya; Phir Aj Kis Ne Sukhan Hum Se Gayebana Kiya; Gam-E-Jahan Ho Rukh-E-Yar Ho Ke Dast-E-Udu; Salook Jis Se Kiya Hum Ne Aashiqana Kiya; The Khak-E-Rah Bhi Hum Log Qahar-E-Tufan Bhi; Saha To Kya Na Saha Aur Kiya To Kya Na Kiya; Khusha Ke Aj Har Ik Muddai Ke Lab Par Hai; Wo Raz Jis Ne Hamen Rand-E-Zamana Kiya; Woh Hilagar Jo Vafaju Bhi Hai Jafakhu Bhi; Kiya Bhi Faiz To Kis But Se Dostana Kiya

Ranjish Hi Sahi Dil Ranjish Hi Sahi Dil Mein Dukhane Ke Liye Aa Aa Phir Se Mujhe Chor Jaane Ke Liye Aa; Kuch To Mere Pand-e-Ray Mohabbat Ka Bharam Rakh; Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manane Ke Liye Aa; Pehle Se Maraasam Na Sahi Phir Bhi Kabhi To Aa; Rasmo Waar-e-Duniya Hi Nibhane Ke Liye Aa; Kis Kis Ko Batayein Ge Judaai Ka Sabab Hum; Tu Mujh Se Khafa Hai Tu Zamane Ke Liye Aa; Ab Tak Dil-e-Khush Faham Tujh Se Hain Umeedein; Ye Aakhiri Shamma Bhi Bujhanay Ke Liye Aa

Dil Daba Jata Hai Dil Daba Jata Hai Kitna Aaj Gam Ke Bhaar Se; Kaisi Tanhayi Tapakti Hai Dar-o-Deewar Se; Manzil-e-Iqrar Apni Aakhiri Manzil Hai Ab; Hum Ke Aaye Hain Guzar Kar Jaada-e-Inkaar Se; Tarjuman Tha Aks Apne Chehra-e-Ghum-Gashta Ka; Ik Sada Aati Rahi Aaina-e-Asrar Se; Mand Padte Ja Rahe The Khwab-Tasveeron Ke Rang; Raat Utarti Ja Rahi Thi Dard Kee Deewar Se; Main Bhi Akbar Karb-Aagin Jaanta Hun Zeest Ko; Munsalik Hai Fikr Meri Fikr-e-Shopnah Aahur Se

Zulmat-e-Shab Ko Sitaaron Zulmat-e-Shab Ko Sitaaron Se Sanwaara Hum Ne; Kitni Raton Ko Tujhe Uthe Ke Pukara Hum Ne; Jab Kabhi Hath Se Umeed Ka Daaman Choota; Le Liya Aap Ke Daaman Ka Sahara Hum Ne; Yoon To Dunya Bhi Mukhaalif Hai Hamari Warna; Rukh Badaltey Huye Dekha Hai Tumhara Hum Ne; Hum Zamaney Se Bhi Takraa Gaye Teri Khaatir; Jo Na Karna Tha Kiya Woh Bhi Ganwaara Hum Ne; Ae Taqi Gham Nahin Yeh Jaan Rahe Ya Na Rahe; Paa Liya Un Nighaaon Ka Ishaara Hum Ne

Bedili Se Hansne Ko Bedili Se Hansne Ko Khush-Dili Na Samjha Jaye; Gum Se Jalte Chehre Ko Roshni Na Samjha Jaye; Gaha Gaha Wahshat Mein Ghar Kee Simt Jata Hun; Isko Dasht-e-Hairat Se Wapsi Na Samjha Jaye; Lakh Khushguman Duniya Vehmi Talluq Ko; Dosti Kahe Lekin Dosti Na Samjha Jaye; Hum To Bas Ye Kehte Hain Roz Jeene Marne Ko; Aap Chahein Kuch Samjhein Zindagi Na Samjha Jaye; Khak Karne Walon Kee Kya Ajeeb Khwahish Thi; Khak Hone Walon Ko Khak Hi Na Samjha Jaye

Duniya Ke Sitam Yaad Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad; Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad; Main Shikwah Ba Lab Tha Mujhe Ye Na Bhi Raha Yaad; Shayad Ke Mere Bhoolnay Waalay Ne Kiya Yaad; Kia Jaaniye Kia Ho Gaya Arbaab-e-Junoon Ko; Jeenay Ki Adaa Yaad Na Marnay Ki Adaa Yaad; Kia Lutf Ke Mein Apna Pataa Aap Bataaon; Kijiye Koi Bhooli Howi Khaas Apni Adaa Yaad; Muddat Howi Ek Haadsa-e-Ishq Ko Lekin; Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dharaknay Ki Sadaa Yaad

Chareya Rehnda C Chareya Rehnda C Tere Pyaar Da Suroor Kadi; Hunda C Sanu Teri Yaari Te Gharoor Kadi; Maar Diti Thokar Sanu Gali De Rorre Vaango; Socheya Nahi C Tu Hovega Enna Maghroor Kadi; Haar Gaye Haan Dil Haathon Aaj Assi Tere Kar K; Zindgi Vich Hoye Nahi Assi Enna Majhboor Kadi; Kyon Banaya Tu Tamasha Yaara Saday Sache Pyaar Da; Mileya Taan Eh Taanu Pucha Gain Zaroor Kadi; Bhavain Tor Gea Sade Naal Tu Yaari Aaj; Par Hovega Na Yaara Sade Dil Ton Tu Dur Kadi

Dil Mein Ab Yun Tere Dil Mein Ab Yun Tere Bhule Hue Gham Aate Hain; Jaise Bichhde Hue Kaabe Mein Sanam Aate Hain; Ek Ek Kar Ke Hue Jaate Hain Taare Roshan; Meri Manzil Kee Taraf Tere Kadam Aate Hain; Raqs-e-Mai Tez Karo Saaz Kee Lai Tez Karo; Su-e-Mai-Khana Safeeran-e-Haram Aate Hain; Kuch Humin Ko Nahi Ehsan Uthane Ka Dimag; Wo To Jab Aate Hain Mail-Ba-Karam Aate Hain; Aur Kuch Der Na Guzre Shab-e-Furqat Se Kaho; Dil Bhi Kam Dukhta Hai Wo Yaad Bhi Kam Aate Hain

Kis-Kis Ada Se Tune Kis-Kis Ada Se Tune Jalwa Dikha Ke Mara; Aazad Ho Chuke The Banda Bana Ke Mara; Awal Bana Ke Putla Putle Mein Jaan Dali; Phir Usko Khud Qaza Kee Soorat Mein Aake Mara; Aankhon Mein Teri Zaalim Churiyaan Chupi Hui Hain; Dekha Jidhar Ko Tune Palkein Uthake Mara; Gunchon Mein Aake Mehka Bulbul Mein Jake Chehka; Isko Hansa Ke Mara Usko Rula Ke Mara; Sosan Kee Tarah Akbar Khamosh Hain Yahan Par; Naragis Mein Isne Chhip Kar Aankhein Lada Ke Mara

Yar Tha Gulzar Tha Yar Tha Gulzar Tha Bad-E-Saba Thi Main Na Tha; Layaq-E-Pa-Bos-E-Jan Kya Hina Thi Main Na Tha; Hath Kyon Bandhe Mere Challa Agar Chori Hua; Ye Sarapa Shokhi-E-Rang-E-Hina Thi Main Na Tha; Main Ne Pucha Kya Hua Wo Aap Ka Husn-O-Shabab; Hans Ke Bola Wo Sanam Shan-E-Khuda Thi Main Na Tha; Main Sisakata Reh Gaya Aur Mar Gaye Farahad-O-Qais; Kya Unhin Donon Ke Hisse Mein Qaza Thi Main Na Tha Translation: Gulzar: Garden Saba: Morning Qaza: Judgement