Har Ek Baat Pe Kahte Ho Har Ek Baat Pe Kahate Ho Tum Ki Tuu Kyaa Hai; Tumhi Kaho Ke Ye Andaaz-E-Guftagu Kyaa Hai; Ragon Mein Daudte Phirane Ke Ham Nahi Qaayal; Jab Aankh Hi Se Na Tapkaa To Phir Lahuu Kyaa Hai; Chipak Rahaa Hai Badan Par Lahuu Se Pairaahan; Hamari Jeb Ko Ab Haajat-E-Rafuu Kyaa Hai; Jalaa Hain Jism Jahaan Dil Bhii Jal Gayaa Hogaa; Kuredte Ho Jo Ab Raakh Justajuu Kyaa Hai Translation: Haajat-E-Rafuu: Mending Justajuu: Desire

Shaan Se Pyaar Ka Izhar Shaan Se Pyaar Ka Izhar Karenge; Teri Mohabbat Pe Jaan Bhi Nisar Karenge; Dekh Ke Jalegi Duniya Saari; Iss Kadar Tujhpe Aitbaar Karenge; Denge Salaami Sab Humko; Jab Pyaar Ko Hum Bayaan Karenge; Daulat Aur Shaurat Ka Kya Hai Kaam; Teri Khushi Mein Khudko Nichaawar Karenge; Har Ghadi Ho Bus Tera Deedar; Waqt Se Hum Yahi Iltijaa Karenge; Saaye Ki Tarah Tujhse Lipte Rahenge; Duniya Ki Buri Nazar Se Tujhe Bachaya Karenge

Guzre Hue Taveel Guzre Hue Taveel Zamane Ke Baad Bhi; Dil Mein Raha Woh Chhod Ke Jaane Ke Baad Bhi; Pehlu Mein Reh Ke Dil Ne Diya Hai Bahut Fareb; Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulaane Ke Baad Bhi; Qurbat Ke Baad Or Bhi Qurbat Ki Talaash; Dil Mutmain Nahin Hai Tere Aane Ke Baad Bhi; Jo Tu Yahan Nahin Hai Magar Tu Yahin Pe Hai; Tera Hi Zikar Hai Tere Jaane Ke Baad Bhi; Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahi Hai Usey Faraz; Dil Ka Tamaam Haal Sunane Ke Baad Bhi

Guzre Hue Taveel Guzre Hue Taveel Zamane Ke Baad Bhi; Dil Mein Raha Woh Chhod Ke Jaane Ke Baad Bhi; Pehlu Mein Reh Ke Dil Ne Diya Hai Bahut Fareb; Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulaane Ke Baad Bhi; Qurbat Ke Baad Or Bhi Qurbat Ki Talaash; Dil Mutmain Nahin Hai Tere Aane Ke Baad Bhi; Jo Tu Yahan Nahin Hai Magar Tu Yahin Pe Hai; Tera Hi Zikar Hai Tere Jaane Ke Baad Bhi; Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahi Hai Usey Faraz; Dil Ka Tamaam Haal Sunane Ke Baad Bhi

Wafaa Ke Baab Wafaa Ke Baab Mein Ilzaam-e-Aashiqui Na Lia; Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia; Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-Iltafaat Rahay; Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia; Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay; Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia; Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay; Kisi Ne Sang Uthaaya Kisi Ne Meena Lia; Faraz Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi; Ke Raat Bhi Thi Andheri Charaagh Bhi Na Lia

Khulta Nahin Hai Hal Khulta Nahin Hai Hal Kisi Par Kahe Bagair; Par Dil Ki Jan Lete Hain Dilbar Kahe Bagair; Main Kyunkar Kahun Tum Ao K Dil Ki Kashish Se Wo; Ayenge Daure Ap Mere Ghar Kahe Bagair; Kya Tab Kya Majal Hamari K Bosa Len; Lab Ko Tumhare Lab Se Milkar Kahe Bagair; Bedard Tu Sune Na Sune Lek Dard-e-Dil; Rahta Nahin Hai Ashiq-E-Muztar Kahe Bagair; Taqdir K Siwa Nahin Milta Kahin Se Bhi; Dilawata Ai ?Zafar? Hai Muqaddar Kahe Bagai

Itna Dushwar Nahin Itna Dushwar Nahin Maut Ko Taley Rakhna; Sar Jo Kat Jaye To Dastar Sambhaley Rakhna; Chot Khana Magar Is Tarah Ke Lodhey Uthey; Zulmat Gham Isi Tarah Se Ujhaley Rakhna; Apne Ehbaab Ko Seene Se Lagaye Phira; Ek Khanjar Bhi Jeb Mein Daley Rakhna; Meri Pehchan Mere Peer-e-Hin Zakhm Se Hai; Ab Bhi Aezaaz Sahi Shaal Do Shaley Rakhna; Dasht Ehsaas Ki Hiddat Bhi Kayamat Hai Nadeem; Kuch Zaroori Toh Nahin Paaon Mein Chaley Rakhna

Dil Daba Jata Hai Kitna Aaj Gam Ke Baar Se; Kaisi Tanhayi Tapakti Hai Dar-o-Deewar Se; Manzil-e-Iqrar Apni Aakhiri Manzil Hai Ab; Hum Ke Aaye Hain Guzar Kar Jaada-e-Inkaar Se; Tarjuman Tha Aks Apne Chehra-e-Ghum-Gashta Ka; Ik Sada Aati Rahi Aaina-e-Asrar Se; Maand Padte Ja Rahe The Khwab-Tasveeron Ke Rang; Raat Utarti Ja Rahi Thi Dard Kee Deewar Se; Main Bhi Akbar Karb-Aagin Jaanta Hun Zeest Ko; Munsalik Hai Fikr Meri Fikr-e-Shopnah Aahur Se

Raat Apne Khwab Kee Keemat Ka Andaza Hua; Ye Sitara Neend Kee Tehzeeb Se Paida Hua; Zehan Kee Zarakhez Mitti Se Naye Chehre Uge; Jo Meri Yaadon Mein Zinda Hai Saraseema Hua; Meri Aankhon Mein Anokhe Zurm Kee Tazveez Thi; Sirf Dekha Tha Use Us Ka Badan Maila Hua; Wo Koi Khushbu Hai Meri Saans Mein Behti Hui; Main Koi Aansu Hun Us Kee Rooh Mein Girta Hua; Us Ke Milne Aur Bichad Jane Ka Manzar Ek Hai; Kaun Itne Fansalon Mein Be-Hijaab Aisa Hua

Kisi Ko Apnay Kisi Ko Apnay Amal Ka Hisaab Kya Detay; Sawaal Saaray Ghalat Thy Jawab Kya Detay; Kharab Sadyon Ki Be-Khwabiyan Theen Aankhon Main; Ab In Be-Aant Khala on Main Khwaab Kya Detay; Hawa Ki Tarha Musafir Thy Dilbaron K Dil; Unhain Bus Aik Hee Ghar Ka Azaab Kya Detay; Sharaab Dil Ki Talab Thi Sharaa K Pehray Main; Hum Itni Tangi Main Us Ko Sharaab Kya Detay; Munir Dasht Shuroo Se Saraab Aasa Tha; Os Aainay Ko Tamanna Ki Aab Kya Detay

Dhoop Ho Chhaaon Ho Tum Saath Nibhaaya Karna; Mere Chehre Pe Sada Palkoon Ka Saaya Karna; Raah Dekhungi Tumhaari Main Sar-e-Shaam Yunhi; Kabhi Jaldi Kabhi Der Se Aaya Karna; Daant Lena Sar-E-Mehfil Koi Baat Nahin; Phir Akele Mein Gale Laga Kar Manaaya Karna; Jaan Jaungi Mein Khushboo Se Tumhaari Tum Ko; Tum Peeche Se Meri Aankhoon Ko Chupaaya Karna; Jaagna Chahun To Raat Bhar Baatein Karna; Neend Aa Jaaye To Mujhe Apne Seene Par Sulaaya Karna

Dono Jahaan Teri Mohabbat Dono Jahaan Teri Mohabbat Mein Haar Ke; Wo Ja Raha Hai Koi Shab-e-Gham Guzaar Ke; Viraan Hai Maikada Khum-o-Sagar Udaas Hai; Tum Kya Gaye Ki Rooth Gaye Din Bahaar Ke; Ik Fursat-e-Gunaah Mili Wo Bhi Chaar Din; Dekhe Hain Ham Ne Hausale Parvar-Digaar Ke; Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya; Tujh Se Bhi Dil Fareb Hain Gham Rozgaar Ke; Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aaj Faiz ; Mat Puch Val-Vale Dil-e-Na-Kardahkaar Ke

Chal Diye Uth Ke Chal Diye Uth Ke Su-e-Shehar-e-Wafa Ku-e-Habib; Puch Lena Tha Kisi Khak Basar Se Pehle; Ishq Pehle Bhi Kiya Hijr Ka Gham Bhi Dekha; Itne Tadpe Hain Na Ghabraye Na Tarse Pehle; Jee Bahalta Hi Nahin Ab Koi Saath Koi Pal; Raat Dhalti Hi Nahin Char Pahar Se Pehle; Ham Kisi Dar Pe Na Thithak Na Kahin Dastak Di; Saikadon Dar The Meri Jaan Tere Dar Se Pehle; Chand Se Ankh Mili Jee Ka Ujala Jaga; Hum Ko So Bar Hui Subah Sahar Se Pehle

Teri Nigah Ke Jadu Teri Nigah Ke Jadu Bikharte Jate Hain; Jo Zakhm Dil Ko Mile Woh Bharte Jate Hain; Tere Baigair Woh Din Bhi Guzar Gaye Aakhir; Tere Baigair Ye Din Bhi Guzarte Jate Hain; Liye Chalo Mujhe Dariya-e-Shauq Kee Maujon; Ki Humsafar To Mere Paar Utarte Jate Hain; Tamaam Umar Jahan Hanste Khelte Guzari; Ab Us Gali Mein Bhi Hum Darte Darte Jate Hain; Mein Khawhishon Ke Gharaunde Banaye Jata Hun; Woh Mehnatein Meri Barbad Kiye Jate Hain

Wafa Ke Shish Mahal Mein Wafa Ke Shish Mahal Mein Saja Liya Main Ne; Wo Ek Dil Jise Pathar Bana Liya Main Ne; Ye Soch Kar Ki Na Ho Tak Mein Khushi Koi; Gamon Ki Ot Mein Khud Ko Chupa Liya Main Ne; Kabhi Na Khatm Kiya Main Ne Roshani Ka Muhaz; Agar Chirag Bujha Dil Jala Liya Main Ne; Kamal Ye Hai Ki Jo Dushman Pe Chalana Tha; Wo Tir Apne Kaleje Pe Kha Liya Main Ne; Qateel Jisaki Adavat Mein Ek Pyar Bhi Tha; Us Aadmi Ko Gale Se Laga Liya Main Ne