Dheere Se Sarakti Hai Raat Dheere Se Sarakti Hai Raat Uss Ke Aanchal Kee Tarah; Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Mein Kanwal Kee Tarah; Baad Muddat Usko Dekha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga; Pyaasi Zameen Pe Jaise Koi Baras Geya Baadal Kee Tarah; Roz Kehta Hai Seene Pe Sar Rakh Ke Raat Bhar Jagauonga; Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Geya Woh Kal Kee Tarah; Mere Hee Dil Ka Makeen Nikla Woh Shakhs Wasi Aur Main Shehar Bhar Mein Dhundta Raha Use Kisi Pagal Kee Tarah

Wohi Gardashain Wohi Gardashain Wohi Paich-O-Kham Tere Baad Bhi; Wohi Houslay Mere Dum Ba Dum Tere Baad Bhi; Tere Sath Thi Teri Jafa Mujhay Mo atabar; Tere Saare Gham Mujhe Mohtaram Tere Baad Bhi; Mere Sath He Meri Har Khushi Teri Muntazir; Teri Muntazir Meri Chasham-E-Namm Tere Baad Bhi; Tu Kisi K Qalab-O-Arzoo Mein Dhal Gaya; Main Na Ho Saka Kabhi Khud Mein Zamm Tere Baad Bhi; Mere Baad Kitne He Roop Tu Ne Badal Liea; Main Wahin Hoon Ab Teri Qasam Tere Baad Bhi

Musafir Ke Raaste Badalte Rahe; Muqaddar Mein Chalna Tha Chalte Rahe; Koi Phool Sa Haath Kandhe Pe Tha; Mere Paanv Sholon Pe Chalte Rahe; Mere Raaste Mein Ujala Raha; Diye Us Kee Aankhon Ke Jalte Rahe; Wo Kya Tha Jise Humne Thukara Diya; Magar Umar Bhar Haath Malte Rahe; Mohabbat Adavat Wafa Berukhi; Kiraye Ke Ghar The Badalte Rahe; Suna Hai Unhein Bhi Hawa Lag Gayi; Hawaon Ke Jo Rukh Badalte Rahe; Lipat Ke Charagon Se Wo So Gaye; Jo Phoolon Pe Karvat Badalte Rahe

Jee Uthe Hashar Mein Jee Uthe Hashar Mein Phir Jee Se Guzarne Wale; Yaan Bhi Paida Hue Phir Aap Pe Marne Wale; Hai Udasi Shab-e-Matam Kee Suhani Kaisi; Chaanv Mein Taaron Kee Nikale Hain Sanwarne Wale; Hum To Samjhe The Ki Dushman Pe Uthaya Khanjar; Tumne Jana Ki Humin Tum Pe Hain Marne Wale; Sabr Kee Mere Mujhe Daad Zara De Dena; O Mere Hashar Ke Din Faisala Karne Wale; Kya Maza Deti Hai Bijli Kee Chamak Mujhko Riyaz ; Mujhse Lipatate Hain Mere Naam Se Darne Wale

Dil-o-Nigah Pe Dil-o-Nigah Pe Taari Rahe Fasoo n Is Ka; Tumhara Ho Ke Bhi Mumkin Hai Mein Rahoon Us Ka; Tujhe Khabar Nahin Is Baat Ki Abhi Shayed; Ke Tera Ho Toh Gaya Hoon Magar Main Hoon Us Ka; Ab Is Se Qata-Taluq Mein Behtri Hai Meri; Main Apna Reh Nahin Sakta Agar Rahoon Us Ka; Zameen Ki Khaak Toh Kab Ki Udaa Chuke Hain Hum; Hamari Zadd Mein Hai Ab Chiraag Neel gon Us Ka; Dil-e-Tabaah Ki Dharkan Bata Rahi Hai Raza; Yahin Kahin Pe Hai Woh Sheher Pur sakoon Us Ka

Dil O Nigah Pe Teri Dil O Nigah Pe Teri Rahe Fasoon Is Ka; Tumhara Ho Ke Bhi Mumkin Hai Mein Rahoon Us Ka; Tujhe Khabar Nahin Is Baat Ki Abhi Shayad; Ki Tera Ho To Geya Hoon Magar Main Hoon Us Ka; Ab Is Se Qata-Taluq Mein Behtri Hai Meri; Main Apna Reh Nahin Sakta Agar Rahoon Us Ka; Zameen Kee Khaak To Kab Ki Udaa Chuke Hain Hum; Hamari Yaad Mein Hai Ab Chiraag Neelgon Us Ka; Dil-e-Tabaah Kee Dhadkan Bata Rahi Hai Raza; Yahin Kahin Pe Hai Woh Sheher Pursakoon Us Ka

Waqt Ke Sath Anaasar Bhi Waqt Ke Sath Anaasar Bhi Rahe Sazish Mein; Jal Gaye Pair Kabhi Dhoop Kabhi Barish Mein; Woh To Ik Saada-o-Kam Shauq Ka Talib Nikla; Hum Ne Naahiq Hi Ganwaya Use Aarayesh Mein; Zindagi Ki Koi Mehrumi Nahi Yaad Aayi; Jab Talak Hu Mathe Tere Qurb Ki Asaayesh Mein; Ek Duniya Ka Qaseeda Tha Agarche Mere Naam; Lutf Aata Tha Kisi Shakhs Kee Fehmayesh Mein; Us Kee Aankhen Bhi Meri Tarah Se Girdi Kahi Aur; Khwab Ka Karz Barh Jata Hai Ik Khwahish Mein

Har Ek Baat Pe Kehte Ho Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Ke Toh Kya Hai ; Tumheen Kaho Ke Yeh Andaaz-e-Guftgoo Kya Hai; Ragon Mein Daudte Firne Ke Ham Naheen Qaayal; Jab Aankh Hee Se Na Tapka To Fir Lahoo Kya Hai; Chipak Raha Hai Badan Par Lahoo Se Pairaahan; Hamaaree Jeb Ko Ab Haajat-e-Rafoo Kya Hai; Jalaa Hai Jism Jahaan Dil Bhee Jal Gaya Hoga; Kuredate Ho Jo Ab Raakh Justjoo Kya Hai; Rahee Na Taaqat-e-Guftaar Aur Agar Ho Bhee; To Kis Ummeed Pe Kahiye Ke Aarzoo Kya Hai

Main Ne Tohmat-e-Takfeer Main Ne Tohmat-e-Takfeer Bhi Uthaai Hui Hai; Eik Naiki Mere Hisse Mein Bhi Aai Hui Hai; Mere Kaandhon Pe Dharaa Hai Koi Haraa Huaa Ishq; Yeh Ghari Hai Jo Muddat Se Uthaai Hui Hai; Toot Jaaunga Agar Mujh Ko Banaaya Bhi Gaya; Koi Shaey Aesi Mere Jism Me Samaai Hui Hai; Sard Mehri Ke Ilaaqey Me Hoon Masroof-e-Duaa; Zinda Rehnay Ke Liay Aag Jalaai Hui Hai; Qissaa Goo Teri Chaupaal Se Main Ab Chaltaa Hoon; Raat Bhi Bheeg Chuki Neend Bhi Aayi Hui Hai

Judaa Bhi Hone Ka Andhesha Judaa Bhi Hone Ka Andhesha Seh Nahi Sakte; Hum Ek Shehar Mein Ab Khush Bhi Reh Nahi Sakte; Yeh Roz-o-Shab Hain Hamare Ki Ek Dusre Se; Chupaye Phirte Hain Ahwaal Keh Nahi Sakte; Shakist-e-Zaat Ka Izhaar Chahte Bhi Nahin; Ajeeb Haal Hai Hum Chup Bhi Reh Nahi Sakte; Haqeeqton Kee Chattane Bhi Apni Raah Mein Hain; Khayal-o-Khwab Ke Dariya Mein Beh Nahi Sakte; Woh Be-Kasoor Hai Aisi Bhi Koi Baat Nahin; Kasoor-waar Hain Hum Yeh Bhi Keh Nahin Saktey

Dukh Fasana Nahi Ki Tujh Se Kahen; Dil Bhi Maana Nahi Ki Tujh Se Kahen; Aaj Tak Apni Bekali Ka Sabab; Khud Bhi Jana Nahi Ki Tujh Se Kahen; Betarah Haal-e-Dil Hai Aur Tujh Se; Dostana Nahi Ki Tujh Se Kahen; Ek Tu Harf Aashnaa Tha Magar; Ab Zamana Nahi Ki Tujh Se Kahen; Qaasid Hum Faqeer Logo Ka; Ek Thikana Nahi Ki Tujh Se Kahen; Ai Khudaa Dard-e-Dil Hai Bakhshish-e-Dost; Aab-O-Dana Nahn Ki Tujh Se Kahen; Ab To Apna Bhi Us Gali Mein Faraz ; Aana Jana Nahi Ke Tujh Se Kahen

Khawab Ki Tarah Bikhar Khawab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chahta Hai; Aisi Tanhai Ki Mar Jane Ko Ji Chahta Hai; Ghar Ki Wehshat Se Larzta Hun Magar Jaane Kyon; Sham Hoti Hai To Ghar Jaane Ko Ji Chahta Hai; Doob Jaun To Koi Mauj Nishan Tak Na Bataye; Aisi Nadi Mein Utar Jaane Ko Ji Chahta Hai; Kabhi Mil Jaye To Raaste Kee Thakan Jag Pare; Aisi Manzil Se Guzar Jaane Ko Ji Chahta Hai; Wahi Paiman Jo Kabhi Ji Ko Khush Aya Tha Bahut; Usi Paiman Se Mukar Jaane Ko Ji Chahta Hai

Khwab Ke Tarah Khwab Ke Tarah Bikhar Jane Ko Jee Chahata Hai; Aisi Tanhai Ki Mar Jane Ko Jee Chahata Hai; Ghar Ke Vahshat Se Larazata Hun Magar Jane Kyon; Sham Hoti Hai To Ghar Jane Ko Jee Chahata Hai; Doob Jaun Toh Koi Mauj Nishan Tak Na Bataye; Aisi Nadi Mein Utar Jane Ko Jee Chahata Hai; Kabhi Mil Jaye To Raste Ke Thakan Jag Pade; Aisi Manzil Se Guzar Jane Ko Jee Chahata Hai; Wohi Paiman Jo Kabhi Jee Ko Khush Aaya Tha Bahut; Usi Paiman Se Mukar Jane Ko Jee Chahata Hai

Sar Jhukaoge To Sar Jhukaoge To Patthar Devta Ho Jayega; Itanaa Mat Chaho Use Wo Be-Wafa Ho Jayega; Hum Bhi Dariya Hain Humein Apana Hunar Maloom Hai; Jis Taraf Bhii Chal Padenge Raasta Ho Jayega; Kitani Sachayi Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya; Tu Nahi Mera To Koi Doosra Ho Jayega; Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Rahaa Hun Dosto; Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jayega; Rooth Janaa To Mohabbat Kee Alamat Hai Magar; Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jayega

Sar Jhukaoge To Sar Jhukaoge To Patthar Devta Ho Jayega; Itanaa Mat Chaho Use Wo Be-Wafa Ho Jayega; Hum Bhi Dariya Hain Humein Apana Hunar Maloom Hai; Jis Taraf Bhii Chal Padenge Raasta Ho Jayega; Kitani Sachayi Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya; Tu Nahi Mera To Koi Doosra Ho Jayega; Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Rahaa Hun Dosto; Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jayega; Rooth Janaa To Mohabbat Kee Alamat Hai Magar; Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jayega