Musafir Ke Raaste Badalte Rahe; Muqaddar Mein Chalna Tha Chalte Rahe; Koi Phool Sa Haath Kandhe Pe Tha; Mere Paanv Sholon Pe Chalte Rahe; Mere Raaste Mein Ujala Raha; Diye Us Kee Aankhon Ke Jalte Rahe; Wo Kya Tha Jise Humne Thukara Diya; Magar Umar Bhar Haath Malte Rahe; Mohabbat Adavat Wafa Berukhi; Kiraye Ke Ghar The Badalte Rahe; Suna Hai Unhein Bhi Hawa Lag Gayi; Hawaon Ke Jo Rukh Badalte Rahe; Lipat Ke Charagon Se Wo So Gaye; Jo Phoolon Pe Karvat Badalte Rahe

Your Comment Comment Head Icon

Login