Dil-o-Nigah Pe Dil-o-Nigah Pe Taari Rahe Fasoo n Is Ka; Tumhara Ho Ke Bhi Mumkin Hai Mein Rahoon Us Ka; Tujhe Khabar Nahin Is Baat Ki Abhi Shayed; Ke Tera Ho Toh Gaya Hoon Magar Main Hoon Us Ka; Ab Is Se Qata-Taluq Mein Behtri Hai Meri; Main Apna Reh Nahin Sakta Agar Rahoon Us Ka; Zameen Ki Khaak Toh Kab Ki Udaa Chuke Hain Hum; Hamari Zadd Mein Hai Ab Chiraag Neel gon Us Ka; Dil-e-Tabaah Ki Dharkan Bata Rahi Hai Raza; Yahin Kahin Pe Hai Woh Sheher Pur sakoon Us Ka

Your Comment Comment Head Icon

Login