Dil Ke Dariya Ko Dil Ke Dariya Ko Kisi Roz Utar Jana Hai; Itna Besimt Na Chal Laut Ke Ghar Jana Hai; Uss Tak Aati Hai To Har Cheez Thehar Jati Hai; Jaise Pana Hi Use Asal Mein Mar Jana Hai; Bol Ai Sham-e-Safar Rang-e-Rihai Kya Hai; Dil Ko Rukna Hai Ki Taron Mein Thehar Jana Hai; Kaun Ubharte Hue Mehtab Ka Raasta Roke; Uss Ko Har Taur Su-e-Dasht-e-Sehar Jana Hai; Main Khila Hun To Isi Khak Mein Milna Hai Mujhe; Wo To Khushbu Hai Use Agle Nagar Jana Hai; Wo Tere Husn Ka Jadu Ho Ki Mera Gum-e-Dil; Har Musafir Ko Isi Ghat Utar Jana Hai

Your Comment Comment Head Icon

Login