Lab Pe Pabandi To Hai Ehsas Par Pehra To Hai; Phir Bhi Ahl-e-Dil Ko Ahval-e-Bashar Kehna To Hai; Khoon-e-Adaa Se Na Ho Khoon-e-Shahidaan Se Hi Ho; Kuch Na Kuch Is Daur Mein Rang-e-Chaman Nikhra To Hai; Apni Ghairat Bech Daalen Apna Maslak Chhod Den; Rehnumaon Mein Bhi Kuch Logon Ka Ye Mansha To Hai; Bhuj Rahe Hain Ek Ek Kar Ke Aqidon Ke Diye; Is Andhere Ka Bhi Lekin Saamna Karna To Hai; Juth Kyon Bole Farogh-E-Maslahat Ke Naam Par; Zindagi Pyari Sahi Lekin Humein Marna To Hai

Your Comment Comment Head Icon

Login