Wafa Ke Khwab Muhabbat Wafa Ke Khawab Muhabbat Ka Aasara Le Ja; Agar Chala Hai To Jo Kuch Mujhe Diya Le Ja; Maqam-E-Sud-O-Ziyan Aa Gaya Hai Phir Janan; Yeh Zakhm Mere Sahi Tir To Utha Le Ja; Yahi Hai Qismat-E-Sahara Yahi Karam Tera; Ki Bund Bund Aata Kar Ghata Ghata Le Ja; Gurur-E-Dost Se Itna Bhi Dilshikasta Na Ho; Phir Uth Ke Samane Daman-E-Iltaja Le Ja; Nadamaten Hon To Sar Bar-E-Dosh Hota Hai; Faraz Jan Ke Evaz Aabaru Bacha Le Ja

Your Comment Comment Head Icon

Login