Daag ansuon se dhoye hain Jab bhi tanha huye hain roye hain Dil mein kyon na uge yaad teri Dil mein tere hi khawab boye hain

Woh Nadiyan Nahi Aansu The Mere; Jinpar Woh Kashti Chalate Rahe; Manzil Mile Unhein Yeh Chahat Thi Meri; Isliye Hum Aansu Bahate Rahe

Har Lamha Hum Unhein Yaad Karte Rahe; Unki Yaad Mein Mar-Mar Ke Jeete Rahe; Ashq Aankon Se Hamari Behte Rahe; Hum Ashqon Ke Jaam Peete Rahe

Ashk Ka Qatra Aankhon Se Beh Gaya; Bahte-Bahte Dil Ka Kissa Keh Gaya; Bahut Mushkil Se Sambhala Tha Khud Ko; Tujhe Dekha To Bas Dekhta Reh Gaya

Mombati ke andar ka dhaga bola Main jalta hoon to tu kyon pighalti hai? Mombati boli Jisko dil mein jagah di woh bichade to aansoo to niklenge hi

Us Ki Chahat Ka Bharam Kya Rakhna; Dasht-e-Hijraan Mein Qadam Kya Rakhna; Hanss Bhi Lena Kabhi Khud Par Mohsin; Har Ghadi Aankh Ko Namm Kya Rakhna

Likhun Kuchh Aaj Ye Waqt Ka Takaza Hai; Mere Dil Mein Dard Abhi Taaza Hai; Gir Padte Hai Ashq Mere Kagaz Par; Kalam Me Sayahi Kam Aur Aansoo Jyada Hein

Bikhre Ashkon Ke Moti Hum Piro Na Sake; Teri Yaad Mein Saari Raat So Na Sake; Mit Na Jaye In Ashkon Mein Teri Yaadein; Yahi Soch Kar Hum Bas Ro Na Sake

Dil Ke Sabhi Halaat Mujhe Kehne Do; Behte Hain Ashk To Inhe Behne Do; Bewafai Shamil Na Karo Dosti Kee Raaho Mein; Kam Se Kam Dosti Ko To Dosti Rehne Do

Ishq ke bhi kuch andaz hote hain Jagti ankhon mein bhi khawab hote hain Zaroori nahi k gam mein ansu nikle Muskurati ankhon mein bhi sailab hote hain

Teri Yaadon Ke Siva Kuch Bhi Nahi Hai; Khawab Har Raat Fir Sajana Padta Hai; Kahin Dekh Na Le Namm Ye Aankhein Koi; Aansuon Ko Aankhon Mein Chupana Padta Hai

Aansuon ko bohut samjhaya ke yun na aya karo mehfil mein hamara mazaak na udaya karo is par aansu bole mehfil mein tumhe akela paate hain isliye chale aate hain

ankho se humari aasu thamte hi nahi,
khahte hai bahut kubsurat hai ankhe tumahri,
isliye ankho se tumhari,
dur hum hote hi nahi.

Agar Bhigne Ka Itna Hi Shonq Hai Baarish Main; To Dekho Na Meri Aankhon Main; Baarish To Har Ek Ke Liye Hoti Hai; Lekin Ye Aankhein Sirf Tumhare Liye Barasti Hain

Har Ek Jazbat Ko Zubaan Nahi Milti; Dil Ki Har Ek Aarzoo Ko Dua Nahi Milti; Muskan Banaye Rakho To Duniya Sath Hai; Warna Aansuo Ko Bhi Aankho Mein Panah Nahi Milti