Mohabbat Ke Bhi Kuch Andaaz Hote Hain; Jaagti Aankoh Me Bhi Kuch Khawab Hote Hain; Zaroori Nahi Ki Gham Me Aansu Nikle; Mushkurati Aankho Me Bhi Sailab Hote Hain

Is khudgarz zamane me koi kisi ka nahi hota; Khushiyan hi hoti duniya me to gum ansu kaun rota Gaur se dekhna kabi behte hue ansuon ko Hasti ankhon se behne wala hr aansu khushi ka nahi hota

Samandar Mein Utarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain; Teri Aankhon Ko Padhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain; Tumhara Naam Likhne Ki Izazat Chinn Gayi Jab Se; Koi Bhi Lafz Likhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain

Yoon Hi Ankhon Mein Aaa Gaye Aansoon; Jayiye Aap Koi Baat Naheen

Tuta ho dil to dard hota hai
Karke mohabat yeh dil rota hai

Ab to meri aankh me ek ashk bhi nahin Pehle ki baat or thi gam tha naya naya

Ya Rab Gam-E-Hijran Mein Itna To Kiya Hota; Jo Hath Jigar Pe Hai Wo Dast-E-Dua Hota

Aankhon Mein Kaun Aake Ilahi Nikal Gaya; Kis Ki Talaash Mein Mere Ashk Rawaan Chale

Sirf Chehre Ki Udaasi Se Bhar Aaye Ansoon; Dil Ka Alam To Abhi Aap Ne Dekha Hi Nahi

Muddat Baad Jo Ki Usne Lutf Ki Ik Nigaah; Dil To Khush Ho Gaya Par Aaansu Nikal Pade

In Ko Nasir Na Kabhi Ankh Se Girne Dena; Un Ko Lagte Hain Meri Ankh Mein Pyare Aansu

Hum Rone Pe Aa Jayein To Dariya Hi Baha Den; Shabnam Kee Tarah Se Humein Rona Nahi Aataa

Dekh Sakta Hai Bhala Kaun Yeh Pyaare Aansoon; Meri Ankhoon Mein Na Aa Jae Tumhare Aansoon

Qasid Ne Khabar Di Thi K Aeinge Shab Ko Woh; Chiragaan Itna Kia Hum Ne K Ghar Ko Jala Dala

Meri Aankhon Se Gire Hain Yeh Jo Chand Katre; Jo Samajh Sako To Aansu Na Samajh Sako To Pani