Ab Ke Saawan Mein Paani Barsa Bahut; Pani Ki Har Bund Mein Wo Aaye Yaad Bahut; Iss Suhane Mausam Mein Saath Nahi Koi; Baadalo Ke Sath Inn Aankho Se Pani Baha Bahut

Dil Main Har Raaz Dabaa Key Rakhtay Hain; Honton Pay Muskaan Sajaa Key Rakhtay Hain; Ye Duniya Sirf Khushee Mein Saath Daitee Hai; Iss Liye Hum Apnay Aansoo Chupaa Kay Rakhtey Hein

Ek baar mombati ke andar ka dhaga bola
Mein jalata hu to tu kyo pighalti hai
Mombati boli jisko dil me jagah di
Vo jab bichad ta hai To aasu nikal hi aate hai

Rone Kee Saza Na Rulane Kee Saza Hai
Ye Dard Mohabbat Ko Nibhane Kee Saza Hai
Hanste Hain To Aankhon Se Nikal Aate Hain Aansu
Ye Us Shakhs Se Dil Lagane Kee Saza Hai

Aansuon Ko Peena Purani Aadat Hai Meri; Mujhe Logon Ko Apna Gham Dikhana Nahi Aata

Hanste Rahoge To Duniya Saath Hai Warna; Aansuon Ko To Aankh Mein Bhi Jagah Nahi Milti

Be Wajha Nahin Rota Ishq Mein Koi Ghalib; Jisey Khudh Se Barr Ke Chaho Woh Rulata Zaroor Hai

Yeh Soach Kar Palkon Mein Chuppa Lete Hein Aansu; Gir Ke Yeh Aankh Se Meri Tarhan Tanha Na Ho Jayein

Mujhe Maloom Hai Tumne Bahut Barsaat Dekhi Hai
Magar Meri Inhi Aankhon Se Sawan Haar Jaata Hai

Kitne Aansu Baha Diye Hain Iss Char Din Ki Mohabbat Mein; Kaash Sajde Mein Bahate To Aaj Gunahoan Se Paak Hote

Jab Lafz Thak Gaye To Phir Ankhon Ne Baat Kee
Jo Baatein Aankhein Na Keh Saki Wo Phir Ashkon Se Bayaan Hui

Barson Guzar Gaye Rokar Nahi Dekha; In Aankhon Ko Aansu Se Dhokar Nahi Dekha; Wo Kya Jaane Pyar Kya Chiz Hai; Jisne Kabhi Kisi Ko Kho Kar Nahi Dekha

Ae dil unki yaad mein rona fizul hai ansu anmol hai inko khona fizul hai Rote uske liye hain jo tum pe nisar ho uske liye kya rona jiske ashiq hazaar hon

Rone De Tu Aaj Humko Aankhe Sujane De; Baho Mein Le Le Aur Khud Ko Bheeg Jane De; Hai Jo Seene Mein Quaid Dariya Woh Chhot Jayega; Hai Itna Dard Ki Tera Daaman Bheeg Jayega

Jo Aata Hai Khushi Ki Inteha Par
Bahut Roye The Us Aansu Ki Khati