Chahat ka ek mitha mitha dard jagane sham dhaleteri yaden aa jati hain mujhako rulane sham dhaleteri zulfen in kandhon par tera chehara hathon meinmain ne bhi dekhe hain kitane khvab suhane sham dhalehar din hum se wada karake yun hi agar tadapaogeik din yun hi ho jayenge hum bhi divane sham dhaledin ke ujale mein to mana lun lakh yatan se bahala lunlekin dil ka pagal panchi ek na mane sham dhale.

Gham Ki Dahleez Par Rakha Diya Hun MainKai Khushiyon Ko Ek Saath Jiya Hun MainSambhal Sambhal Kar Chalna Muhaal Ho GayaKisi Jagah Ab Tak Na Ruk Saka Hun MainYe Taaza Khoon Mere Darwaze Par Kiska HaiShayad Raat Yahin So Liya Hun MainAksaar Aaiene Ko Dekhkar Chauk Jata HunLagta Hai Is Shaks Se Kahin Mil Chuka Hun MainBahut Khamoshi Se Sunai Munsif Ne Saza “Kaash“Bahut Dino Tak Use Dekhta Raha Hun Main

Hajoom-E-Gham Say Jis Dam Aadmi Ghabra Sa JataTo Aisay Main Usay Awaz Per Qaboo Nahi RahtaWo Itnay Zoor Say Faryad Karta HaiK Jaisay Wo Zameen Per Or Khuda Ho Asmanoon PerMagar Aisa Bhi Hota HaiK Us Ki Awaz K Ruknay Say Pahlay HiKHUDA Kuch Is Qadar Nazdeeq SayOr Is Qadar Rehmat Bhari Muskan Say Us Ko Thapakta HaiOr Us Ki Baat Sunnta HaiK Faryadi Ko Apni Awaz Ki ShiddatOr Sada Ki Bechaini Per Nidamat Honay Lagti Hai

Zindagi Ke Har Mor ParHum Ne Dhoka Kha Rakha HaiLoog Samajhte HainHum Ne Duniya Ko Hansa Rakha HaiLaiken In Ko Kia Maloom!!Keh Hum NeApne Ghar Ke Aik Kamre MeinAik Choota Sa Apni Hasraton KaQabristan Bana Rakha HaiMout Bhi Karti Hai Hum Se Be WafayeAur Ghumon Ne HumeinSanam Khana Bana Rakha HaiLoogo Ki Nazro Mein Hum NeApne Labon ParMajmooa-E-Aashar Saja Rakha HaiLaiken In Ko Kia Maloom!!!Hum Ne Ghum Aur Dukhoo KaNaam Khushi Bana Rakha Hai

Kisi Ke Sath Mein Aur Dil Kisi Ke Sath RahaAjab Mazaaq Meri Zindagi Ke Sath RahaKamal-E-Zabt Tha Mera Woh Ya Muqadar ThaKinar-E-Aab Bhi Ju Tashnagi Ke Sath RahaWoh Aik Dukh Jisay Door Chor Aya ThaTamaam Umer Meri Zindagi Ke Sath RahaJo Dil Mein Baat Thi Hontoon Se Kis TarhaMein In Ki Bazm Mein Ik Bebasi Ke Sath RahaAbb In Mein Aa Ke Darinday Bhi Ho Gaye ShamilAbb Admi Bhi Kahan Admi Ke Sath RahaHansa To Ankh Se Ansoo Nikal ParhayHamesha Ghum Koi Meri Khushi Ke Sath Raha

Kariyaa-E-Jaan Men Koi Phuul Khilaane AayeVo Mere Dil Pe Nayaa Zakhm Lagaane AayeMere Viiraan Dariichon Men Bhii Khushbuu JaageVo Mere Ghar Ke Dar-O-Baam Sajaane AayeUs Se Ik Baar To Ruuthuun Main Usii Kii MaanindAur Merii Tarah Se Vo Mujh Ko Manaane AayeIsii Kuuche Men Kai Us Ke Shanaasaa Bhii To HainVo Kisii Aur Se Milane Ke Bahaane AayeAb Na Puuchhuungii Main Khoye Hue Khvaabon Kaa PataaVo Agar Aaye To Kuchh Bhii Na Bataane AayeZabt Kii Shahar-Panaahon Kii Mere Maalik KhairGam Kaa Sailaab Agar Mujh Ko Bahaane Aaye

Bataane Se Bhee Ye Gham Kyon Kam Naheen HoteAansuon Se Dil Ke Kone Nam Naheen HoteThee Bahut Umeed To Apnon Se Is Dil Ko KabheePar Hameshaa Saath Ye Hamdam Naheen HoteBebasee Hansne Lagee Khaamoshi Ab Hai GoonjteeBand Kamron Men Koyee Mausam Naheen HoteJab Khushee Hai Naachtee Gaatee Hai Man Kee Har KaleeUn Gharon Men Kyaa Kabhee Maatam Naheen HotePyaar Sab Miltaa Jinhen Ranjish Naheen Koyee KabheeKyaa Kabhee Aise Dilon Men Gham Naheen HoteYaad To Karte Hain Unko Ham Sadaa Hee Raat DinKhwaab Men Unke Kabhee Kyaa Ham Naheen Hote

Apne tain to har ghadi gham hai, aalam hai, daag haiyaad kare hamen kabhi kab ye tujhe dimag haiji ki khushi nahi giro sabz-o-gul ki hath kuchdil ho shagufta jis jagah wo hi chaman hai bag haikis ki ye chashm-e-mast ne bazm ko yun chaka diyamasl-e-habab sar nagun sharam se har ayag haijalate hi jalate subah tak guzari use tamam shabdil hai ki shola hai koi, shama hai ya chirag haipaiye kis jagah bata aye but-e-bewafa tujheumr-e-guzashta ki tarah gum hi sada surag haisair-e-bahar-o-bag se hum ko maf kijiyeus ki khayal-e-zulf se dard kise farag hai?

Darya Ki Hawa Taiz Thi Kashti Thi PuraniRoka To Bohat Dil Nay Magar Aik Na MaaniMain Bheegti Aankhon Say Usay Kaisay BataunMushkil Hay Bohat Abr Main Deewar GiraniNikla Tha Tujhay Dhoondnay Ik Hijr Ka TaaraPhir Us Kay Taaqub Main Gayi Saari JawaniKehnay Ko Nayi Baat Koi Ho To SunaainSo Bar Zamanay Nay Suni Hay Yeh KahaniYeh Pul Hay Yahan Phool Kahan Pichlay Baras KayHay Din To Wohi Dost, Magar Aor Hay PaniKis Tarah Hota Mujhay Guman Tark-e-Wafa KaAawaz Main Thehrao Tha Lehjay Main RawaniAb Main Usay Qatil Kahoon AMJAD, Keh MaseehaKia Zakhm-E-Hunar Chhorh Gaya Apni Nishani

Chahiye achchon ko jitana chahiyechahiye achchon ko jitana chahiyeye agar chahen to phir kya chahiyesohabat-e-rinda se vajib hai hazarja-e-mai apne ko khencha chahiyechahane ko tere kya samajha tha dilbare ab is se bhi samajha chahiyechak mat kar jeb be ayyam-e-gulkuch udhar ka bhi ishara chahiyedosti ka parda hai beganagimunh chupana hum se choda chahiyedushmani mein meri khoya gair kokis qadar dushman hai dekha chahiyeapani rusvai mein kya chalati hai saiyar hi hangama aara chahiyemunhasir marane pe ho jis ke umidnaumidi us ke dekha chahiyegafil in mah talaaton ke vastechahane vala bhi achcha chahiyechahate hain khubaruon ko asadaap ke surat to dekha chahiyePoet of the poem or ghazal or nazam : Mirza Ghali

Ya Rab Gham-E-Hijraan Mein, Itna Tu Kiya HotaJo Haath Jiger Per Hai, Woh Dast-E-Dua HotaIk Ishq Ka Gham Afat Aur Uss Oe Yeh Dil AfatYan Gham Na Diya Hota, Yan Dil Na Diya HotaNakaam Tammana,Dil Iss Soch Mein Rehta HaiYun Hota Tu Kya Hota, Yun Hota Tu Kya Hota?Umeed Tu Bandh Jaati, Taskeen Tu Ho JaatiWaada Na Wafaa Karte ,Waada Tu Kya HotaGhairoon Se Kaha Tumne, Ghairoon Se Suna HumneKuch Humse Kaha Hota, Kuch Humse Suna HotaPoet : Charagh Hassan HasratUrdu Version:یا رب غمِ ہِجراں میں اِتنا تو کِیا ہوتاجو ہاتھ جِگر پر ہے وہ دستِ دُعا ہوتاایک عِشق کا غم آفت اور اُس پہ یہ دِل آفتیا غم نہ دیا ہوتا یا دِل نہ دیا ہوتاغیروں سے کہا تم، نے غیروں سے سُنا تم نےکچھ ہم سے کہا ہوتا، کچھ ہم سے سُنا ہوتاناکامِ تمنّا دِل اِس سوچ میں رہتا ہےیوں ہوتا تو کیا ہوتا، یوں ہوتا تو کیا ہوتاامّید تو بندھ جاتی، تسکین تو ہوجاتیوعدہ نہ وفا کرتے، وعدہ تو کِیا ہوتا(چراغ حسن حسرت )