Us Kai Hountoo Ka Tabasuum Rahay QaimUs Kai Jeewan Main Khushyooo Ka Basaira Ker DayTo Mairay Karb Ki Ratooo Ko Bhalay Khattam Na KerUs Ki Her Shaam Kai Aakhir Main Sawaira Ker DayUs Kai Dil Kai Koonay Main Jaga Dai Mujh KoUs Ki Ankhooo Ko Mairay Sapno Ka Zakhira Ker Day

Aao Neend Ki Aaghosh MainPhir Mulakaat KarainIs Jahaan Say Us Jahaan Tak Ka FaaslaIk Lamhay Main Paar KarayTeri Aankhein Jo Bandh Ho Gaee Is Jahaan SayChalo Yehi Rah Ikhtiyaar KarayJhilmilatay Taaro Kay SaathAao Phir Say Tumhain Yaad KarayNeend Ki Aaghosh MainAik Mulakaat Karay

Khwaab Tute Hue, Dil Dukhaate Rahe,Der Tak Woh Hume Yaad Aate Rahe,Kaat Lee Aansuon Mein Judaai Ki Raat,Sher Kehte Rahe, Gane Gungunaate Rahe…Tere Jalwe Paraaye Hue Magar Gum Nahi,Ye Tassalli Bhi Apne Liye Kam Nahi,Humne Tumse Kiya Tha Jo Wafa Ka Vaada,Saans Jab Taq Chali, Hum Nibhaate Rahe…

Ik Khwab Hay Or Isko Khona Bhi Nahi HayTabeer K Dhagay Main Pirona Bhi Nahi HayLipta Howa Hay Dil Se Kisi Raz Ki SooratWho Shaks K Jisko Mera Hona Bhi Nahi HayYe Ishq-E- Mohabbat Ki Rivayat Bhi Ajeeb HayPaya Nahi Hay Jisko Usay Khona Bhi Nahi HayJis Shaks Ki Khatir Mera Ye Hal Howa HayUsko Meray Marnay Pey Rona Bhi Nahi Hay

Is Dil Mein Khayaal Jab Tumhaare Hote Hai,Mere Daaman Mein Chaand Aur Sitaare Hote Hai,Ek Main Aur Meri Tanhai Shab-E-Hizar Mein,Aur Tumhari Yaadon Ke Sahare Hote Hai,Tera Aana,Muskurana,Mujhse Lipat JaanaHaath Mein “Kamal” Ye Chalti Hai Khud-Ba-Khud,Ek Khayaal Aur Kamaal Kitne Saare Hote Hai,Jab Kalam Ko Zakhmo Ke Ishaare Hote Hai..!!!

Is Anjnabi Duniya Mein,Akela Ek Khawaab HuSawaalo Se Khafa,Chhota As Jawaab HuJo Na Samjh Sake,Unke Liye “KOUN”Jo Samajh Chuke,Unke Liye Kitaab HuDuniya Ki Nazar Mein,Jaane Kyu Chubha AsSabse Nashili Aur Badnaam Sharaab HuSar Uthakar Dekho,Wo Dekh Raha Hai TumkoJisko Na Dekha Usne,Wo Chamakta Aaftab HuDil Se Poochoge,To Dard Ka Sailaab Hu

Khuli Aankh Mein Sapna Jhaankta HaiWo Soya Hai Ke Kuch Kuch Jaagta HaiTeri Chahat Ke Bheege Junglon MeinMera Tan, More Ban Kar Naachta HaiMujhe Har Kaifiyat Mein Kyun Na SamjheWo Mere Sab Hawale Jaanta HaiMain Uski Dastaras Mein Hon, Magar WoMujhe Meri Raza Se Maangta HaiKisi Ke Dhyaan Mein Dooba Hua DilBahane Se Mujhe Bhi Taalta HaiSarak Ko Chore Kar Chalna ParegaKe Mere Ghar Ka Kaccha Raasta Hai

Bheegi Hui Aankhon Ka Yeh Manzar Na Milega,Ghar Chhod Ke Mat Jao Kahi Ghar Na Milega,Phir Yaad Bahut Aayegi Zulfon Ki Ghani Shaam,Jab Dhoop Mein Koi Saaya Sir Par Na Milega,Aansoo Ko Kabhi Auz Ka Katra Na Samajhna,Aisa Tumhe Chahat Ka Samandar Nahi Milega,Is Khawaab Ke Mahol Mein Bhi Khawaab Hai Aankhein,Jab Neend Bahut Aayegi,Bistar Na Milega,Yeh Soch Lo Ab Akhri Saya Hai Mohabbat,Is Dar Se Jo Uthogi To Koi Dar Na Milega..!!!

Dekh Lo Khwab Magar Khwab Ka Charcha Na Karo.Log Jal Jayenge Sooraj Ki Tamanna Na Karo.Waqt Ka Kya Hai Kisi Pal Bhi Badal Sakata Hai.Ho Sake Tum Se To Tum Mujh Pe Bharosa Na KaroAjanabi Lagane Lage Khud Tumhen Apana Hi Wajood.Apane Din Raat Ko Itana Bhi Akela Na Karo.Khwab Bachon Ke Khilaunon Ki Tarah Hote Hain.Khwab Dekha Na Karo Khwab Dikhaya Na Karo.Mom Ke Rishte Hain Garmii Se Pighal Jaayenge.Dhoop Ke Shahar Mein Wafa Ki Tamnna Na Karo

Tum Mere Dil Mien Samao To Koi Baat BanayPhir Kabhi Durr Na Jao To Koi Baat BanayPyar Kehne Se To Baat Nahi BantiPyar Ban K Dikaho To Koi Baat BanayHum To Chup Chap Se Rehte Hain MagarTum Kabhi Aak Hansao To Koi Baat BanaySath Daine Ki To Sab Baat Kiya Karte HaiTum Agar Sath Nibhao To Koi Baat BanayRotho Soo Bar To Shikayat Na Karien GeRoth K Maan B Jao To Koi Baat BanayYe Aankhien Har Dam Udaas Rehti HainIn Mien Koi Khwab Sajo To Koi Baat Banay

Lahoo Ronay Se Darta Hoon , Juda Honay Se Darta Hoon ,Meri Aankhain Batati Hain K Main Sonay Se Darta Hoon ..Meri Unggli Pakar Laina Mujhe Tanha Nahi Karna,Ye Dunya Aik Maila Hai Tumhain Khonay Se Darta Hoon…Jo Hansti Ho Tu Kyun Palkoon K Goshay Bheeg Jatay Hain ,Tumhain Maloom Hai Main Iss Tarah Ronay Se Darta Hoon …Ye Jab Se Khwaab Daikha Hai Tum Mujhe Choor Jaao Gee ,Main Ab Darta Hoon Khwaabon Se Main Ab Sonay Se Darta Hoon…

Wo lab ki jaise sagar-o-sahaba dikhai dejumbish jo ho to jam chalakata dikhai dedariya mein yun to hote hain qatre hi qatre sabqatara wohi hai jisamen ke dariya dikhai dekyon aaina kahen use pathar na kyon kahenjis aaine mein aks na usaka dikhai deus tashna-lab ke neend na tute dua karojis tashna-lab ko khwab mein dariya dikhai dekaisi ajeeb shart hai didar ke liyeaankhen jo band hon to wo jalava dikhai dekya husn hai, jamal hai, kya rang-rup haiwo bheed mein bhi jaye to tanaha dikhai de

Ek Anjaana Sa Chehra,Mera Chain Churata Hai,Hakikat Mein To Nahi,Par Khawaabo Mein Roj Aata Hai,Pehchanane Ki Bahut Koshish Ke Maine Usse,Par Ek Dhundale Se Aks Ke Siva,Kuch Aur Nahi Nazar Aata Hai,Maine Chuna Bhi Chaha Usse,Kai Baar Aage Badhkar,Par Paas Aane Se Pehle Hi,Woh Bahut Door Chala Jaata Hai,Khawabon Mein Khoob Karta Hain,Woh Baatein Muhjse Par,Neend Khulne Par Har Roj Chala Jata Hai,Ek Anjaana Sa Chehra Mera Chain Churata Hai,Hakikat Mein To Nahi Par Khawabon Mein Roj Aata Hai..!!!

Dekh Lo Khuaab Magar Khuaab Ka Charcha Na KaroLog Jal Jayan Ge Sooraj Ki Tamanna Na KaroWaqt Ka Kaya Hai Kisi Pal Bhi Badal Sakta HaiHo Sake Tum Se To Tum Mujh Pe Bharosa Na KaroKirchiyan Tootay Hoye Aks Ki Chubh Jayan GiAur Kuch Roz Abhi Aiina Dekha Na KaroAjnabi Lagne Lage Khud Tumhain Apna WajoodApne Din Raat Ko Itna Bhi Akela Na KaroKhuaab Bachhon Ke Khelonon Ki Tarah Hote HainKhuaab Dekha Na Karo Khuaab Dikhaya Na KaroBekhiyali Main Kabhi Ungliyan Jal Jayain GiRaakh Guzre Hoye Lamhon Ki Kureedah Na Karo

Chehare Pe Mere Zulf Ko Phailaao Kisii DinKyaa Roz Garajate Ho Baras Jaao Kisii DinRaazon Kii Tarah Utaro Mere Dil Men Kisii ShabDastak Pe Mere Haath Kii Khul Jaao Kisii DinPedon Kii Tarah Husn Kii Baarish Men Nahaa LuunBaadal Kii Tarah Jhuum Ke Ghir Aao Kisii DinKhushbuu Kii Tarah Guzaro Mere Dil Kii Galii SePhuulon Kii Tarah Mujh Pe Bikhar Jaao Kisii DinPhir Haath Ko Khairaat Mile Band-E-Qabaa KiiPhir Lutf-E-Shab-E-Vasl Ko Doharaao Kisii DinGuzaren Jo Mere Ghar Se To Ruk Jaayen SitaareIs Tarah Merii Raat Ko Chamakaao Kisii DinMain Apanii Har Ik Saans Usii Raat Ko De DuunSar Rakh Ke Mere Siine Pe So Jaao Kisii Din