Tere Bina hum jeena bhool jaate hain
Zakhmon ko seena bhool jate hain
Tu zindagi main sabse azeez hai hamain
Tujhse har bar yeh kehna bhool jaate hain

Yeh bhi ek dua hai khuda se
Kisi ka dil na dukhe hamari wajah se,
Aye khuda kar de kuchh aisi inaayat hum pe
Ki khushiyaan hi milein sabko hamaari wajah se.

Sab Honge Yahan Magar Hum Na Honge
Humare Na Hone Se Log Kam Na Honge
Aise Toh Bahut Milenge Pyar Karne Wale
Hum Jaise Bhi Milenge, Magar Woh Hum Na Honge

Apne Dil Mein Tumhare Pyar Ki Dastaan Likhi Hai
Na Thodi Na Bahut Tamaam Likhi Hai
Kabhi Humaare Liye Bhi Dua Kar Liya Karo
Kyon Ki Humne Apni Har Ik Saans Tumhare Naam Likhi Hai

Aziz bhi woh hai..
Nasib bhi woh hai..
Duniya ki bhid main kareeb bhi woh hai..
Unki duao se chalti hai zindagi kyonki..
Khuda Bhi woh hai aur taqdeer bhi woh hai…

Dil apne aap dharakta hai, dharkaya nahi jata
Ye raaz-E-mohabbat har ek ko bataya nahi jata
Agar ehsaas ho to, mohabat ko kar lo mehsoos
Ye wo jazba hai jo lafzon mein samjhaya nahi jata

Aankhon mein khushi, labon par hansi, Gham ka koi naam na ho
Aapko jahan ki saari khushiyan mile in khushiyon ki kabhi sham na ho

Kasoor War Kisi Aur Ko Q Samjhen Ghalti Toh Apni Hai
Zindagi Be Qadron Ko Sonp Di
Aur
Muhabbat Laparwahon Se Kar Bethe

Kaise Kahu Ki Apna Bana Lo Mujhe
Bahon Me Apni Sama Lo Mujhe
Aaj Himmat Kar Ke Kahta Hu Ki Mai Tumhara Hu
Ab Tum Hi Samhalo Mujhe

Kash Dil ki awaz me itna asar ho jay
Hum apko yaad karen aur apko khabar ho jaye
Aaj kuda se itni hi dua hai aap jo bhi chaho vo haqiqat ho jay.

Zindagi ke liye jeena zaruri hai
jeene ke liye arman zaruri hai
dil mein chahe hazaro gam ho
phir bhi tere chehre pe muskan zaruri hai

Sapne hain yadein hain aur bahut kuch,
tum ho tumhari batein hain aur bahut kuch,
nahi chahte hum tum ko bhulana,
magar doori hai ek majboori hai or bahut kuch

Kashti toofan se nikal sakti hai
Shama bujh ke bhi jal sakti hai
Mayus na ho irade na badal aye dost
Kismat kisi bhi waqt badal sakti hai

Aaj phir uski yaad ne rula diya
kesha hain ye chera jisne ye sila diya
do lafj likhne ka salika na tha
uske pyar ne mujhe shayar bana diya

Gile shikwe na dil se laga lena
Kabhi maan jana to kabhi manaa lena
Kal ka kya pata hum ho na ho
Jab mauka mile thoda has lena aur hasaa dena