sans laynay se tere yaad ati hay
na laynay se mere jaan jati hai
kaise kehdu sirf saans se zinda hu ....
Kambakahat sans bhi tohteriyaad k baad aati hai

Taqdeer ne jaise chaha dhal gaye hum,
bahot sambhal k chale fir bi fisal gaye hum,
hum to kisi ko bhula na sake,
fir bi sabko laga ki badal gaye hum…

Har Dhadkan mein ek Raz hota hain,
Har baat ko batane ka ek Andaz hota hai,
Jab tak Thokar na lage Bewafai ki,
Har kisi ko apne Pyar par Naz hota hai…

U To Teri Nazaro Ne Aisa Kam Kar Diya,
Logo Ki Nazaro Me Mujhe Badnam Kar Diya.
Meri Badnami Bhi Mujhe Bha Gayi Yaaro,
Jabse Logo Ne Unhe Meri Jaan Kah Diya.

Dhoka Fareb Sab Zamane Mein Reh Gaye,
Ham Pyar Ka Haq Ada Karne Mein Reh Gaye,
Jo Sath Chale The Wo Aage Nikal Gaye,
Hum Raste Ke Patthar Hatane Mein Reh Gaye

Todna hota to rishta hum na banate,
Umeed nhi hoti to hum sapney na sajaate.
Aitbaar kiye hum apke wafa pe,
bharosa na hota to dil apke haat me na thamate.

Koi aankhon - 2 se baat kar leta hain.
Koi aankhon - 2 mein mulaqat kar leta hai.
Bada muskil hota hai jawab dena
jab koi khamos rehkar sawal kar leta hai.

Kuch rishtay anjanay mein hi ho jatay hain
Pehle dil phir zindagi say jur jatay hain
Kehtay hain us daur ko pyaar
Jisme log zindagi say bhi pyare ho jatay hain

Hasi ke raste pe chala karo,
khushiyo ki mahak liya karo,
pyar se dilon ko chuha karo,
jahan tumhe gum nazar aaye,
is nacheez ko yaad kiya karo!

Jaane kyu log hame aajmate hai
kuch pal sath rahne ke baad dur chale jate hai
sach hi kahte hai log ki sagar ke milne ke baad
log barish ko bhul jate hai…

Aashiq ne khuda se fariyad is tarah ki,
ae khuda aap kabhi ishq mat karna,
nahi to bemot maare jaoge,
hum to marke aap ke pass aayenge, lekin aap kaha jayenge

Yuhi aankhon se ansu bahte nahi,
Kisi aur ko hum apna kahte nahi,
Ek tum hi ho jo ruk se gaye ho zindagi mein,
Varna rukne ke liye hum kisi ko kahte nahi…

Tevar To Hame Bhi Dikhane ate hai
.
.
.
.
Lekin MAA ne Kaha Hai ki Meri BAHU
mujhe Rote
hue nahi dikhni Chahiye......

Agr Bhigne Ka Itna Hi Shaukh Hai Barish Mey,
To Deko Meri Aankho Mey,
Baarish To Har Ek Ke Liye Barasti Hai,
Lekin Ye Aankhe Sirf Tumhare Liye Barasti Hai…

Na kabhi muskurahat tere hothon se duur ho..
Teri har khwahish haqiqat ko manzoor ho..
Ho jaye jo tu mujhse khafa..
Khuda na kare mujhse kabhi aisa kasoor ho..