Sirf Itna Hi Kaha Hai, Pyaar Hai Tum seJazbaton Ki Koi Numayish Nahin KiPyaar Ke Badle Sirf Pyaar Manga HaiRishte Ki To Koi Guzarish Nahin KiChaho To Bhula Dena Humein Dil SeSada Yaad Rakhney Ki Sifarish Nahin KiKhamoshi Se Toofan Seh Letey Hai JoUn Baadlon Ne Izhar Ki Baarish Nahin KiTumein Hi Mana Hai Rehnuma ApnaAur to kisi Cheez Ki Khwahish Nahin ki….

Agar Jo Dil Ki Sunoge To Haar Jaooge,Hum Jaisa Pyar Phir Kahan Se Laooge,Jaan Dene Ki Baat To Har Koi Karta Hai,Zindagi Bananewala Kaha Se Laaoge,Jo Ek Nazar Dekhoge Humhe,To Har Taraf Sirf Hum Hi Ko Paooge,Yaqeen Apni Mohobbat Par Itna Hai Mujhe,Meri Chahat Ko Dekhoge To Laut Aaoge,Meri Aankhon Ke Samandar Mein Doob Gaye AgarKahin Jana Bhi Chahoge To Na Ja Paaoge!

Mohabbat Ka Apni Silaa ChaahieyMujhay Tum Say Bas Kuch Wafa ChaahieyZara Si Khushi Ka Pata ChaahieyHumain Aur Duniya Say Kia ChaahieyMeri Zindagi Ko Yeh Kia ChaahieyNa Ho Khatam Jo,Woh Maza ChaahieyZamanay Nay Dein Hain Buhat ThokarainSambhalnay Ko Ab Aasraa ChaahieyJudda Paas Reh K Hai Hona KathinJudda Honay Ko, Faasla ChaahieyYeh Manzar Nahin Ab Mujhey DekhnaNazaaraa

Dil Me Beshumar Pyar Hai Aap Ke LiyeDuwao Me Manga Hai Aap Ko Rab SeHar Lamha Aap Ke Khayalon Me Hi Guzara HaiHar Pal Aap Ki Yaad Saatati HaiKabhi Aake Hamare Dil Se PuchoKitna Tadapta Hai Dil Aap Se Milne Ke LiyeKaash Aap Hamare Paas HoteTabbi Yeh Bekarari Thodi Kaam HotiJaha Bhi Ho Aap Yeh Zarur Yaad RakhiyeEk Deewani Hai Is Duniya MeinJo Aap Se Bepanah Pyar Karti Hai.

Ganv mit jayega shahar jal jayegazindagi tera chehara badal jayegakuch likho marsiya masanavi ya gazalkoi kagaz ho pani mein gal jayegaab usi din likhunga dukhon ki gazaljab mera hath lohe mein dhal jayegamain agar muskura kar unhen dekh lunqatilon ka irada badal jayegaaj suraj ka rukh hamari tarafye badan mom ka hai pighal jayegaPoet of the poem or ghazal or Nazam: Bashir Bad

Meri vadi mein wo ik din yun hi aa nikali thirang aur nur ka bahata hua dhara ban karmahafil-e-shauq mein ik dhum macha di us nekhalvat-e-dil mein rahi anjuman-ara ban karshola-e-ishq sar-e-arsh ko jab chune lagaud gai wo mere sine se sharara ban karaur ab mere tasavvur ka ufaq roshan haiwo chamakati hai jahan gham ka sitara ban karPoet of the poem/ghazal or Nazam: Ali Sardar Jafri

Jeevan Ke Is Safar Mein Woh Lamhe Mitaye Kaise,Jaate Jaate Yeh To Bata Ja Main Tujhko Bhulaon Kaise,In Jalti Bujhti Aankhon Mein Jo Pyar Ka Diya Roshan Tha,Us Diye Ki Roshni Ko Ab Main Bujhaon Kaise,Tumhi Ne Bataya Tha Ke Tanha Jiya Nahi Karte,Ab Tanha Chhod Gaye Ho To Khud Ko Samjhaon Kaise,Khwahishon Ki Takmeel Mein Dukho Ki Sugaat Liye,Apne Is Jeevan Ko Ab Main Bitaon Kaise..!!!

Vahashat-e-dil sila-e-abalapai le lemujh se ya rab mere lafzon ke kamai le leaql har bar dikhati thi jale hath apnedil ne har bar kaha aag parai le lemain to us subah-e-darakhshan ko tavangar janunjo mere shahar se kashkol-e-gadai le letu gani hai magar itni hain sharayat meriye mohabbat jo hamen ras na aayi le leapne divan ko galiyon me liye phirta hunhai koi jo hunar-e-zakhmnumai le le

Barishoon Ka Intezar Tha ,Dil Milne Ko Bekarar ThaEk Taraf Judai Ek Taraf Unka Pyar ThaKuch Ankahi Ansuni Baatein Thi Zuban ParDil Mei Kuch Shararat Bhara Khumar ThaSocha Tha Jub Milenge Khoob Saari Baatein HongiPar Baaton Ka Kya Dil To Pyar Ka Bimaar ThaWoh Pyar Deyta To Saare Dard -O-Ghum Door Ho JaateDil Chah Kar Bhi Milna Payaa UnseDarta Tha Phir Juda Ho Jaye GaPal Bhar Ka Jo Deedar Tha

Gham ka khazana tera bhi hai mera bhiye nazarana tera bhi hai mera bhiapne gham ko geet banake ga lenarag purana tera bhi hai mera bhitu mujhko aur main tujh ko samjahaun kyadil divana tera bhi hai mera bhishahron shahron galiyon jis ka charcha haiwo afsana tera bhi hai mera bhimaikhane ki bat na kar waiz mujh seaana jana tera bhi hai mera bhiPoet of the poem or ghazal or Nazam: Shahid Kabi

Kya khabar thi is tarah se wo juda ho jayegakhwab mein bhi us ka milana khwab sa ho jayegazindagi thi qaid hamen kya nikaloge us semaut jab aa jayegi to khud riha ho jayegadost banakar us ko chaha, ye kabhi socha na thadosti hi dosti mein wo khuda ho jayegaus ka jalva hoga kya jisaka ke parda nur haijo bhi us ko dekh lega wo fida ho jayegaPoet of the poem or ghazal or Nazam: Rustom Sehgal Wafa

Chahat ka ek mitha mitha dard jagane sham dhaleteri yaden aa jati hain mujhako rulane sham dhaleteri zulfen in kandhon par tera chehara hathon meinmain ne bhi dekhe hain kitane khvab suhane sham dhalehar din hum se wada karake yun hi agar tadapaogeik din yun hi ho jayenge hum bhi divane sham dhaledin ke ujale mein to mana lun lakh yatan se bahala lunlekin dil ka pagal panchi ek na mane sham dhale

Ek ek qatre ka mujhe dena pada hisabkhun-e-jigar vadiat-e-mishagan-e-yar thaab main hun aur matam-e-yak shahar-e-arazutoda jo tu ne aaina timasal dar thagaliyon mein meri nash ko khenche phiro ki mainjan dad-e-hava-e-sar-e-rahaguzar thamauj-e-sarab-e-dasht-e-vafa ka na puch halhar zarra misl-e-jauhar-e-teg aabadar thakam janate the hum bhi gam-e-ishq ko par abdekha to kam hue pa gam-e-rozagar tha

Kisane wada kiya hai aane kahusn dekho garib khane karuh ko aaina dikhate haindar-o-divar muskurate hainaj ghar, ghar bana hai pahali bardil mein hai khush saliqagi bedarjama saman hai aish-o-ishrat kakhauf dil mein fareb-e-qismet kasoz-e-qalb-e-kalim aankon meinashk-e-ummid-o-bim aankhon meinchashm-bar-rah-e-shauq ke marechand ke intazar mein tarePoet of the poem/ghazal or nazam : Josh Malihabadi

Kitna Pyaar Diya Usse Par Mila Kuch Bhi Nahi,Itni Gehri Chahat Ka Hasil-O-Hasool Kuch Bhi Nahi,Woh Humse Khafa The To Jaan Nikal Gayi Thi Hamari,Hum Unse Khafa Hai To Unko Malaal Kuch Bhi Nahi,Is Kadar Dukh Diye Hai Na Jaane Kis Khata Par,Par Hum Bhi Sabar Kar Gaye Aur Kiya Sawal Kuch Bhi Nahi,Uski Khushi Mein Hansne Wale Khaas Hai Uske Liye,Dukh Mein Uske Saath Hum, Hamari Misaal Kuch Bhi Nahi..!!!