Mana Ki Tumhein Mujhse Jyada Gham Hoga,
Magar Rone Se Yeh Gham Kabhi Na Kam Hoga,
Jeet Hi Lenge Dil Ki Nakam Baaziyan Hum,
Agar Mohabbat Mein Hamari Dam Hoga

Is dubi hui nav ka kinara ho tum
Meri zindagi ka woh anjaam ho tum
Yun to har muskil ko paar karne ki himmat hai mujh mein
Bas tumko khone se darte hain hum.

Kyun kisi se itna pyar ho jata hai,
ek din jeena bhi dushwaar ho jata hai.
Lagne lagte hain apne bhi paraye,
aur ek ajnabi par itna aitbaar ho jata hai…

Yaad toh har koi karega jaane ke baad
sache pyar ka pata chal jaayega vaqt aane ke baad
kaun kitni mohabbat karta hai
nazar aajayega mar jaane ke baad..
`

Ankhein To Pyar Mein Dilki Zuban Hoti Hai,
Sachi Chahat To Sada Bezuban Hoti Hai,
Pyar Mein Dard Bhi Mile To Kya Ghabrana,
Suna Hai Dard Se Chahat Aur Jawan Hoti Hai..

In aansuon ki kuch to kadar karr meri jaan
Isme chupa hai mohabbat tere liye
Youn to mera zanazaa uthega teri jane ke baad
Jisme ek tajmahal banayenge tere liye….

Door jakar bhi hum door jaa na sakenge,
Kitna royenge hum bata na sakenge,
Gham iska nahi ki aap mil na sakoge,
Dard is baat ka hoga ki hum aapko bhula na sakenge…

Kal mila waqt to zulfein teri suljha doonga,
Aaaj uljha hoon zara waqt ko sulajhane mein,
Yun to sulajh jatee hain uljhi zulfein,
Umar kat jati hai waqt ko sulajhane mein.

Duniya mein kisi se kabhi pyar mat karna,
Apne anmol aansoo iss tarah bekar mat karna,
Kaante to phir bhi daman tham lete hain ,
Phulon pe iss tarah kabhi aitebar mat karna..

Dil dhadakta hai tujhe dekhun to, Saans bhi meri rukne lagti hai… Pyar itna hai mere dil mein sanam, Rooh bhi meri khinch ne lagti hai…! Chain milta hai jab mein dekhun tujhe, Warna saans rukne la

Aks-e-Khushbu hu bikharne se na roke koi,
aur agar bikhar jau to mujhko na samete koi,
kaanp oothti hu mai ye soch k tanhai me,
ki mere chehre pe tera naam na padh le koi…

Nahi Saamne ye alag baat hai.Nahi Saamne ye alag baat hai.Mere pass hai tu, Mere saath hai.Tera naam maine liya hai yaha,Mujhe yaad tune kiya hai vaha,Nahi Saamne ye alag baat hai.par tu mere pass hai, mere saath hai.

labo pe geat to aankho mei khwab rakhte the..
kabhi kitabo mei hum bhi gulaab rakhte the ..
kabhi kisi ka jo hota tha intezar humei..
bada hi sham o sehar ka hisaab rakhte the…

Kyun tumhare is ashiq ka parwano me naam lete ho
Keh kar ke dil doge humari jaan lete ho.
Pata hai nahi rakh sakte hum apni dhadkano pe kaabu
Phir kyun humari mohabbat ka imtehan lete ho. *

Jab Jab Aata Hai Ye Barsaat Ka Mausam,
Teri Yaad Hoti Hai Sath Humdum,
Is Mausam Mein Nahi Karienge Yaad Tujhe Ye Socha Hai Humne…
Par Phir Socha Ki Baarish Ko Kaise Rok Paayeinge Hum