Kaya Poochte Ho , Mein Kesa HonEk Shard Hawa Ka Jonka HonHai Mere Roh Mein Be CheniMein Apne Aap Mein Ulja HonHai Mera Saya Our KoiMein Our Kesi Ka Saya HonTo Khush Hai Apni Duniya MeinMein Teri Yaad Mein Jalta HonAb Luat Ke Aa Our Dekh SonaEk Umar Se Tanha Tanha Hon

Akele Yeh ZindagiChirag Se Andhere Door Ho Jate,Toa Chand Ki Chahat Kise Hoti,Katt Sakti Akele Yeh Zindagi ToaDosti Naam Ki Ye Cheez Hi Kyo Hoti?Ek Din Hamare Aansoo Hum Se Pooch Baithe,Hame Roz Roz Kyu Bulate Ho?Humne Kaha, Hum Yaad Unhe Karte Hai,Tum Kyo Chale Atte Ho?

Akele Chand Ko Takna To Mujh Ko Yaad Ker LenaKisi Bhi Baat Pe Hansna To Mujh Ko Yaad Ker LenaBohat Say Kaam Aisay Hain Jinhein Kerna Zarori HayZarori Kaam Ko Kerna To Mujh Ko Yaad Ker LenaMohabat Wo Haqeqat Hay Jisay Badla Na Jaey GaKitab-E- Ishq Ko Perhna To Mujh Ko Yaad Ker Lena

Kabhi Humko Rab Ki Khudai Ne Mara,Kabhi Sang Dil Mahboob Ki Judai Ne Mara,Bari Muddat Tak Kabhi Tanha Rahe Hai Hum,Kabhi Humko Ghamgeen Tanhai Ne Mara,Mahboob Se Hum Pyar Ka Ikrar Nahi Karte,Aur Hume Dar Aur Ruswai Ne Mara,Ye Tha Mera Mazi Aur Ab Mera Haal Ye,Mujhe Ab Mahboob Ki Bewafai Ne Mara…!!!

Jaan Se Pyari Jaan Ne Hume Chhod DiyaJaanker Jaan Ne Humse Muh Mod LiyaKya Manga Tha Humne Ek Pyar Ke SiwaKya Huwi Khata Humse Jo Yun Dil Mera Tod DiyaWade Hazaar Kiye Kyo Sab Todne Ke LiyeKyo Tum Humse Mile Yun Muh Modne Ke LiyeMerker Bhi Khus Rehte Hum Tere Sang Oh Jaan MeriKyo Tune Mujhe Jine Ko Akele Chood Diya

Tere bare mein jab socha nahi thamain tanha tha magar itna nahi thateri tasvir se karta tha batenmere kamare mein aaina nahi thasamandar ne mujhe pyasa hi rakhamain jab sehra mein tha pyasa nahi thamanane-ruthane ke khel mein humbichad jayenge ye socha nahi thasuna hai band kar li us ne aankhenkai raton se wo soya nahi tha

Hum Teri Dhun Main Jia Kartay ThayMan Me Hi Chup Chaap Phira Kartay ThayAankhon Main Pyaas Hua Karti ThiDil Main Tufan Utha Kartay ThaySach Samajhte Thay Teri Muhobbat KoDil Main Kya Phool Khila Kartay ThayGhar Ki Dewaar Sajaanay Ki KhaatirHam Tera Naam Likha Kartay ThayKal Tujhay Daik Kar Yaad AayaHam Bhi Kabhi Muhabbat Kia Kartay Thay

Ham To Bachapan Men Bhii Akele TheSirf Dil Kii Galii Men Khele TheEk Taraf Morche The Palakon KeEk Taraf Aansuuon Ke Rele TheThiin Sajii Hasaraten Duukaanon ParZindagii Ke Ajiib Mele TheAaj Zehan-O-Dil Bhuukon Marate HainUn Dinon Faake Bhii Ham Ne Jhele TheKhud-Kashii Kyaa Gamon Kaa Hal BanatiiMaut Ke Apane Bhii Sau Jhamele The(Javed Akhtar)

Be-Karaan Tanhaaiyun Ka Silsila Reh JaayegaTerey Merey Darmiyaan Bas Ek Khalaa Reh JaayegaAks Beh Jaayenge Saarey Dhoop Ke Sailaab MeinAur Koye Paaniyoun Mein Jhaankta Reh JaayegaMujhko Merey Humsafar, Aisa Safar Darpesh HaiRaasta Kat Bhi Gaya Tou Faasila Reh JaayegaLaug So Jaayenge Khaamushi Ki Chadar Odh KerChaand Sooney Aanganoun Mein Jaagta Reh Jaayega

Tanhaiyan Kaisi Hoti Hain?Shayad Tumhare Jaisi Ya Mere Jaisi Hoti HainDuniya Ki Iss Bheed Mein Maine Tumhe Or Mujhe Akela Sa Paya HaiEk Pyari Si Muskaan Ke Peeche Udasi Ko Paya HaiBaat Tumhari Ho Ya Meri Aajmane Wale Khuda Ne Khub Aajmaya HaiBas Dil Ke Kisi Kone Me Ek Takleef Mehsus Hoti Hai KiAaj Tak Na Tumne Mujhe Samajh Paya Hai Na Maine Tumhe Samajh Paya Hai.

Kahan Tak Phire Hum Akele AkeleBata Kuch Toh Humdum Akele AkeleSavere Savere Mere Haal Par AbWoh Roti Hai Shabnam Akele AkeleKasam Teri Tujhse Bahot Dur RehkarUthaye Bade Gham Akele AkeleKahan Tak Bhala Zakhmi DIl Apna SekeLagakar Marham Akele AkeleJudai Mein Teri Guzare Yeh KaiseBaharon Ka Mausam Akele AkeleMere Khwab Mein Jab Mar Chuka Hai TuKiya Humne Matam Akele Akele

Kisane wada kiya hai aane kahusn dekho garib khane karuh ko aaina dikhate haindar-o-divar muskurate hainaj ghar, ghar bana hai pahali bardil mein hai khush saliqagi bedarjama saman hai aish-o-ishrat kakhauf dil mein fareb-e-qismet kasoz-e-qalb-e-kalim aankon meinashk-e-ummid-o-bim aankhon meinchashm-bar-rah-e-shauq ke marechand ke intazar mein tarePoet of the ghazal/poem or nazam : Josh Malihabadi

Rehtey Hain Saath Saath Mai Aur Meri TanhaiKartey Hain Raaz Ki Baat Mai Aur Meri TanhaiDin To Guzar Hi Jata Hai Logon Ki Bheer MaiKartey Hain Basar Raat Main Meri TanhaiSaanson Ka Kya Bharosa Kab Chor Jain SaathLaikin Rahain Gay Saath Main Aur Meri TanhaiAaye Na Tumhe Yaad Kabhi Bhul Kar Bhi HumKartey Hain Tumhe Yaad Main Aur Meri TanhaiAa Ke Paas Kyon Door Ho Gaye Hum SeKartey Hain Teri Talash Main Aur Meri Tanhai

Baharon Main Ghataon Main Tujhey Mehsoos KiyaJeewan Ki Rahoon Main Tujhey Mehsoos KiyaJab Bhi Barasnay Lagin Yeh Piyaasi AnkhinMain Ne In Nigahoon Main Tujhey Mehsoos KiyaMeri Sansoon Main Rahi Teray Khiyaal Se HulchalDil Ki Panahoon Main Tujhey Mehsoos KiyaKhushboo Hi Khushboo Bikher Gai Her SouMain Ne In Hawaoon Main Tumjhey Mehsoos KiyaDin K Ujaloon Main Tujhey Mehsoos KiyaRaat Ki Banhoon Main Tujhey Mehsoos Kiya

Din To Guzar Hi Jata Hai Logon Ki Bheed MeKartey Hain Basar Raat Main Aur Meri TanhaiSaanson Ka Kya Bharosa Kab Chod Jain SaathLaikin Rahainge Saath, Main Aur Meri TanhaiAaye Na Tumhe Yaad Kabhi Bhul Kar Bhi humKartey Hain Tumhe Yaad Main Aur Meri TanhaiAa Ke Paas Kyon Door Ho Gaye ???? Hum SeKartey Hain Teri Talash Main Aur Meri TanhaiTum Ko Rakhain Gay Saath Zeenat Bana Ke Ghar KiReh Jain Phir Na Tanha Main Aur Meri Tanhai