Dosti jab kisi se ke jayedushmanon ke bhi raye li jayemaut ka zeher hai fizaon meinab kahan ja ke sans li jayebas isi soch mein hun duba huaye nadi kaise par ke jayemere mazi ke zakhm bharne lageaj phir koi bhool ke jayebotalen khol ke to pi barasonaj dil khol ke bhi pi jaye

Dostii Jab Kisii Se Kii JaaeDushmano Kii Bhii Raae Lii JaaeMaut Kaa Zahar Hai Fizaaon MenAb Kahaan Jaa Ke Saans Lii JaaeBas Isii Soch Men Huun Duubaa HuaaYe Nadii Kaise Paar Kii JaaeMere Maazii Ke Zakhm Bharane LageAaj Phir Koii Bhuul Kii JaaeBotalen Khol Ke To Pii BarasonAaj Dil Khol Ke Bhii Pii Jaae

Aayi na phir nazar kaheen jane kidhar gaiun tak to sath gardish-e-sham-o-sahar gaikuch itna besabat tha har jalva-e-hayatlaut aayi zakhm kha ke jidhar bhi nazar gaiaa dekh mujh se ruthane vale tere bagairdin bhi guzar gaya meri shab bhi guzar gainadim hai apne apne qarinon pe har nazarduniya lahu uchal ke kitani nikhar gai

Apni aankhon ki samundar mein utar jane detera mujarim hun mujhe dub ki mar jane deae naye dost main samajhunga tujhe bhi apanapahale mazi ka koi zakhm to bhar jane deaag duniya ki lagai hui bhuj jayegikoi aansu mere daman pe bikhar jane dezakhm kitne teri chahat se mile hain mujhkosochata hun ki kahun tujhase magar jane de

Apne Hathon Se Chiraghon Ko Bujane Lag JaenTum To Kehte Ho K Hum Tikane Lag JaenOs Ko Sochein To Rag-E-Jan Se Bhi Nazdeek Hy WoAor Dhondein To Kae Zamane Lag JaenHum Iss Aas Pe Bethay Hyn Shikisht-E-KhayalAin Mumkin Hy K Wo Ehd Nabhane Lag JaenMana K Zakhim Judai Ka Buhat Gehra HayAor Aisa Bhi Nahin Hy K Hum Dikhane Lag Jaen

Mujh Se Milne Ko Woh Kerta Thaa Bahane KitneAb Guzare Ga Mere Saath Zamane KitneMain Giri Thi To Buhut Log Ruke Thay LekinSochti Houn Mujhe Aaye Thay Uthaane KitneJis Tarah Main Ne Tujhe Apna Bana Rakha HaiSochte Hongey Yehi Baat Na Jaane KitneTum Naya Zakhm Lagao Tumhein Is Se Kya HaiBharne Wale Hain Abhee Zakhm Purane Kitne…

Ik na ik shamma andhere mein jalaye rakhiyesubah hone ko hai mahaul banaye rakhiyejin ke hathon se hamen zakhm-e-nihan pahunche hainwo bhi kahate hain ki zakhmon ko chupaye rakhiyekon jane ki wo kis rah-guzar se guzrihar guzar-gah ko phoolon se sajaye rakhiyedaman-e-yar ke zinat na bane har aansuapni palkon ke liye kuch to bachaye rakhiye

Zakhm-E-Ummiid Bhar Gayaa Kab KaaQais To Apne Ghar Gayaa Kab KaaAap Ik Aur Niind Le LiijiyeQaafilaa Kuuch Kar Gayaa Kab KaaDukh Ka Lamhaa Azal Abad LamhaaVaqt Ke Paar Utar Gayaa Kab KaaApna Muunh Ab To Mat Dikhaoa MujheNaasiho, Main Sudhar Gayaa Kab KaaNasshaa Hone Kaa Be-Tarah Thaa KabhiPar Vo Zaalim Utar Gayaa Kab KaaAap Ab Puuchney Ko Aaye Hain?Dil Merii Jaan, Mar Gayaa Kab Kaa

Zakham E Tanhaayi Main Khushboo E Hina Kis Ki ThiSaaya Deewar Par Mera Tha, Sada Kis Ki ThiUs Ki Raftaar Se Lipti Rahi Aankhain MeriUs Ne Murr Kar Bhi Na Dekha Ke Wafa Kis Ki ThiAansoun Se Hi Bhar Gaya Daaman MeraHath Tou Maine Uthaya Tha Dua Kis Ki ThiMeri Aahon Ki Zubaan Koi Samjhta KaiseZindagi Itni Dukhi Mere Siwa Kis Ki ThiAag Se Dosti Us Ki Thi Jala Ghar MeraDe Gaye Kis Ko Saza Aur Khata Kis Ki Thi.

Har Ek Chehray Ko Zakhmon Ka Aaina Na KehoYeh Zindagi Tu Hai Rehmat Issay Saza Na KehoNa Jaanay Ko Koun Si Majbooriyon Ka Qaidi HoWho Saath Choor Gaya Hai Tu Bewafa Na KehoTamam Shehar Nay Nazron Pay Kion Uchaala MujhayYeh Itifaaq Tha Tum Is Ko Haadsaa Na KehoYeh Aur Baat K Dushman Howa Hai Aaj MagarWho Mera Dost Tha Kal Tak Ussay Bura Na KehoHumaray Aaib Humain Ungliyon Pay GinwaaoHumari Peet K Peechay Humain Bura Na Keho

Main Roshni Hoon Kaf E Dast Se Rukoon Gi KahanTamaam Umer Tere Taaq Per Jaloon Gi KahanBulaa Raha Hai Mujhe Kehkashan Ka DerwaazaWo Aa Bhi Jaaye Tou Ab Main Usey Miloon Gi KahanMain Apne Bichhrey Hue Pairr Ki Talash Main HoonZiada Dair Teri Shaakh Per Khiloon Gi KahanYe Chund Saanson Ka Bhi Aasraa Usi Se HaiK Jab Rahe Ga Nahin Wo Tou Main Rahoon Gi KahanMain Zakhm Hoon Ghani Raaton Main Jaagne WalaTumhare Taar E Muhabbat Se Ab Siloon Gi Kahan

Nazar Main Zakhm-E-Tabbasum Chupa Chupa K MilaKhafa To Tha Wo Magar Mujh Se Muskera K MilaWo Humsafar Ke Mere Tanz Per Hansta Tha BohatSitam Zareef Mujhe Aaina Dikha Ke MilaMere Mizaj Pe Hairaan Hai Zindagi Ka ShaoorMain Apni Moat Ko Aksar Gale Laga Ke MilaMain Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani KaKay Wo Bhi Aaj Mujhe Apna Ghar Luta Ke MilaMain Jis Ko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste MainMujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka Ke MilaMain Zakham Zakham Badan Lay Ke Chal Dia KASHIWo Jab Bhi Apni Qaba Per Kanwal Saja Ke Mila

Mataa-E- Qalbo Jigar Hai, Hame Kaheen Se MileMagar Woh Zakhm Jo Us Daste Shabnamee Se MileNa Shaam Hai, Na Ghanee Raat Hai, Na Pichhla PaherAjeeb Rang Teree Chaashm Surmageen Se MileMain Us Wisaal Ke Lamhe Ka Naam Kiya RakhoonTere Libaas Ki Shikne Teree Jabeen Se MileShataae-Shain Mere Ahbaab Ki Nawaazish HainMagar Sile To Mujhe Apne Nukta Cheen Se MileTamaam Umr Ki Naamo-Tabar Rifaaqat SeKaheen Bhala Ho Ke Pal Bhar Milain, Yaqeen Se MileYahee Raha Hai, Muqaddar Mere Kisaano KaKe Chaand Boei(N) Aur Unko Gahan Zameen Se MilePerween Shaki

Ussi Tarah Se Her Eik Zakhm Khushnuma DekhayWoh Aaye Tou Mujhe Abb Bhi Hara Bhara DekhayGuzar Gaye Hein Bohot Din Rafaqat E Shab MeinEik Umr Ho Gai Chehra Woh Chaand Sa DekhayMere Sukoot Se Jis Ko Gilay Rahe Kya KyaBicharte Waqt Unn Ankhon Ka Bolna DekhayTere Siwa Bhi Kai Rang Khushnuma Thay MagarJo Tujhko Dekh Chuka Ho Woh Aur Kya DekhayBus Eik Rait Ka Zarra Bacha Tha Aankhon MeinAbhi Talak Jo Musafir Ka Raasta DekhayUssi Se Poochay Koi Dasht Ki Rifaqat JoJub Aankh Kholay, Paharon Ka Silsila DekhayTujhe Aziz Tha Aur Mein Ne Uss Ko Jeet LyaMeri Taraf Bhi Tou Eik Pall Tera Khuda Dekhay

Jab Lage Zakhm To Qaatil Ko Duaa Dii JaayeHai Yahii Rasm To Ye Rasm Uthaa Dii JaayeTishnagii Kuchh To Bujhe Tishnaalab-E-Gam KiiIk Nadii Dard Ke Shaharon Men Bahaa Dii JaayeDil Kaa Vo Haal Huaa Ai Gam-E-Dauraan Ke TaleJaise Ik Laash Chattaanon Men Dabaa Dii JaayeHam Ne Insaanon Ke Dukh Dard Kaa Hal Dhuundh LiyaaKyaa Buraa Hai Jo Ye Afvaa Udaa Dii JaayeHam Ko Guzarii Hu_Ii Sadiyaan To Na PahachaanengiiAane Vaale Kisii Lamhe Ko Sadaa Dii JaayePhuul Ban Jaatii Hain Dahake Hue Sholon Kii LavenShart Ye Hai Ke Unhen Khuub Havaa Dii JaayeKam Nahiin Nashe Men Jaade Kii Gulaabii RaatenAur Agar Terii Javaanii Bhii Milaa Dii Jaaye