Mile the yuhi ajnabi bankar
aj mere dil ki jarurat ho tum

Ishq itne qareeb se guzra
Mai yeh samjha ke ho chuka mujh ko

Khud hi de jaoge to behtar hai
Warna hum dil chura bhi lete hain

Nahi Ishq Ka Dard Lazzat Se Khaali
Jissay Zouq Ha Wo Maza Janta Hai

Kisi ladki ko chahna baad ki baat hai
pehle uski izzat karna sikhiye

LaBh sE aGaR bAat nhi kR sKte toh
AAnkhon hi aAnkhon mE bAat hOnE dO

Pyar ka asar to dekh
log milte mujhse hai aur puchte tere bare me hai

Hasne ko chand lamhe, rone ko umar sari
agar hai manjur to karlo ishq se yaari

Silsila khayalon ka toot ta nahi goya
Zehan ke darichon mein khwab ka basera hai

Muddat ke baad aaj ussey dekh kar
Ik baar dil to dharrka magar phir sambhal geya

Dekh kar fir se tera yu palat jana
halat bta rahe hai tujhe mohhabat gazab ki thi

Alvida hote hue unse koi nishani mangi
wo muskurakar bole judai kafi nahi hai kya

Aagaz e Ishq bhi Khub tha Ghalib kya kahun
Pehle to thi dil lagi phr dil ko ja lagi

Gum na karna zindagi me kyuki gum ek hai
Chod do saare gum kyuki khusiyaan anek hai

Tum apne bare mein mujhse bhi pooch sakte ho
Ye tum se kisne kaha ke aaina zarori hai