Kabhi Sochti Hoon Tumare Bina Ye Zindagi Adhuri HaiKabhi Sochti Hoon Tumare Bina Ye Zindagi Fizuul HaiPar Dil Se Kahte Hai Ke Ye Pyaar Tumare Bina Ek Khali Kitab HaiDuniya Ke Raageen Phool Tumare Khushiyon Ke Bina Fizuul HaiAur Kuchh Na Kahe Paon Mein Aaj Ke Iss Mehfil Ke Phool HaiJoh Dil-O-Dimaag Se Lagi Hue Ek Tabeez Mere Dil-O-Jaan HaiIss Khushi Ko Samet Kar Aapne Dil Mein Chupaye Chal Rahe HaiEk Muskaan Tumare Dil Mein Sadiyon Se Likhte Chal Rahe Hai

Sitam hi karana jafa hi karana nigah-e-lutf kabhi na karanatumhen qasam hai hamare sar ke hamare haq mein kami na karanakahan ka aana kahan ka jana wo jante hi nahi ye rasmenvahan hai wade ke bhi ye surat kabhi to karana kabhi na karanahamari mayyat pe tum jo aana to char aansu baha ke janazara rahe pas-e-abaru bhi kaheen hamari hansi na karanawo ik hamara tariq-e-ulfat ki dushmanon se bhi mil ke chalanaye ek sheva tera sitamagar ki dost se dosti na karana

Arz kiya hai.Dost,Chera har kisi ko dikhaya nahin jata,man mein har kisi ko basaya nahin jata,marey dost, yai dil, mahez dil nahin, ek mandir haihar kisi ko, is main basaya nahin jata.Kareeb aao, merey dost bano, marey hamraz bano,dosti cheez hai keya, marey dost bataingey tumehen,Ye who subha hai jis ki na sham hoti hai,ye who umr hai jo kabhi na tamam hoti hai,jo kartin hain isey who duniya ko bhool jatey hain,duniya un ko yad karti hai, woh duniya ko yad atey hain.

Ager Ham Dost HotayTu Karam Ki Intaha KertayTumhain Palkoon Pe Rakhtay HumTumhain Dil Main Basaatay HumAger Tum Rooth Jatay TuTumhain Kitna Manatay HumJo Milnay Tum Nahi Aatay TuAa Ker Khud Tumhain MiltayTumhari Laghzishoon Ko BhiHansi Main Hum Ura DaitayAger Apni Khata HotiTu Khud Ko Bhi Saza DaitayMager Yeh Sab Jab Hi HotaAger Hum Dost Hotay TuMager Itna Hi Jana HaiK Tum Ne Aaj Tak Hum KoParaaya Keh Ker Jana HaiKabhi Hamdum Na Maana HaiAger Hum Dost Hotay Tu ….

Dosti pehli baarish ki boondo mein hai,Dosti khilte phoolon ki khushboo mein hai,Dosti dhalte sooraj ki kirano mein hai,Dosti har naye din ki umeed hai,Dosti khawaab hai,dosti jeet hai,Dosti pyaar hai,dosti geet hai,Dosti do jahano ka sangeet hai,Dosti har khushi,dosti zindagi,Dosti tishnagi,dosti bandagi hai,Dosti sang chalti hawao mein hai,Dosti in barasti ghatao mein hai,Dosti dosto ki wafao mein hai,Haath utha ke jo maangi gayi hai dua,Dosti ka asar un duao mein hai..!!!

Mere hi lahu par guzar auqat karo homujh se hi amiron ke tarah baat karo hodin ek sitam ek sitam raat karo howo dost ho dushman ko bii mat karo hohum khaqnashin tum sukhanaray sar-e-bampas aakar milo dur se kya baat karo hohum ko jo mila hai wo tumhin se to mila haihum aur bhula den tumhen kya baat karo hoyun to muh pher ke dekho bhi nahi hojab waqt pade hai to madarat karo hona daman pe koi chint na khanjar pe koi daagtum qatl karo ho ke karamat karo hobakane do “ajiz” ko jo bole hai bake haidivana hai divane se kya baat karo ho

Safar ke had hai vahan tak ke kuch nishan rahechale chalo ke jahan tak ye aasman raheye kya uthaye qadam aur aa gai manzilmaza to jab hai ke pairon mein kuch thakan rahewo shakhs mujh ko koi jalsaz lagata haitum us ko dost samajhate ho phir bhi dhyan rahemujhe zamin ke geharaion ne dab liyamain chahata tha mere sar pe aasman raheab apne bich marasim nahi adavat haimagar ye baat hamare hi darmiyan rahemagar sitaron ke faslen uga saka na koimeri zamin pe kitne hi aasman rahewo ek saval hai phir us ka samana hogadua karo ke salamat meri zaban rahe

Zindagi tujh se mil kar zamana huaaa tujhe aj hum maikade le chalenraat ke naam honton ke sagar likhenapni aankhon mein kuch rat-jage le chalenkya hassin log hainaankh aahon ke hain aur lab pankhadiin ke aaraish-e-khal-o-khat ke liyeapni aankhon ke hum aaine le chalenajanabi chehare mein dost banate nahirishte-naton ke chandi barasti nahiqurbaten sohabaten jin ke yaad aayengiaise kuch doston ke pate le chalenun ke aankhon ne jalate sulagte huemanzaron ke siva kuch bhi dekha nahichehara-e-afsos ke sakinon ke liyephul-o-khushbu saba zam-zamen le chalenzindagi tujh se mil kar zamana hua

Jo Mushkil Aasan Banate HainJo Dushman Ko Girate HainJo Hunste Aur Hunsate HainUn Ko Bhala Kia Kehte Hain?Un Hi Ko Dost Kehte HainJo Jeet Ki Khushi Manate HainJo Haar Main Sath Bitate HainJo Phir Bhi Kahan Jatate HainUn Ko Bhala Kia Kehte Hain?Unhi Ko Dost Kehte HainJo Hote Hain Khazane Humare LiayJo Hote Hain Sahare Humare LiayJo Pyar Dete Hain Pyar Lene K LiayUn Ko Bhala Kia Kehte Hain?Inhi Ko Dost Kehte HainJin Ki Qeemat Pata Chalti Hai Bhichrne K BadNahi Khareeda Ja Sakta Un Ko Paise Se YaarYeh Hain Humare Liay Khuda Ka PyarIn Ko Bhala Kia Kehte Hain?Inhi Ko Dost Kehte Hain….

Ful ki shuruwat kalise hoti hai,Zindagi ki shuruwat jaan se hoti hai,Pyaar ki shuruwat dosti se …Aur dosti ki shuruwat aapase hoti hai !!!Nazar andaz kaise kare aapko,nazron me bithaya hai jo aapko,yaad aane par roye bhi to kaise,darte hai jhuki jo palke to chubhengi aapko.Duniya mein koi kisi ke liye kuch nahi kartaMarne wale ke saath har koi nahi martaArey… Marne ki baat to door rahiYahan to zindgi hai phir bhi koi yaad nahi kartaDinse raat hone ko aaai haiPata nahin ye kaisi judai haiParwah nahin karte wo apne dost kiNa jane ye kaisi dosti nibhai hai

KaashHamari Dosti Acchi Thi,Kaash Isey Rishtey Ka Naam Na Diya Hota,Sahare Ke Liye Mile Daman Ko Dekh,Kaash Tumahara Haath Tham Na Liya Hota,Ankho Se Behte Apne Dard To Chipane Keliye,Kaash Tumahari Bahome Sama Na Gaye Hote,Tumahare Chune Bhar Se Hi.. Hai..Kaash Hum Sharma Na Gaye Hote,Sagar Ke Lehro Ko Dekh Tumahare Saath Sapne Sanjoye Na Hote,Tumahare Haatho Ki Chuan SeKaash Yeh Hoth Thartharaye Na Hote,Anjaam Jaante Hue BhiKaash Hum Us Rah Ke Rahi Kehlaiye Na Hote,Yahi Soch Soch Kar Kudh Ko Koste Hai Aaj,Ki Kaash Yeh Sab Na Hua Hota,Tab To Sirf Tanhai Ki Boondh Thi, Par.Ab Yeh Tanhai Ka Samandar Na Hota.

Pa-ba-gil sab hain rihai ke kare tadabir kondast-basta shahar mein khole meri zanjir konmera sar hazir hai lekin mera munsif dekh lekar raha hai mere fard-e-jurm ko taharir konmeri chadar to chini thi sham ke tanhai neberidai ko meri phir de gaya tashahir konneend jab khwabon se pyari ho to aise ahad meinkhwab dekhe kon aur khwabon ko de tabir konret abhi pichale makanon ke na vapas aayi thiphir lab-e-sahil gharaunda kar gaya tamir konsare rishte hijraton mein sath dete hain to phirshahar se jate hue hota hai damangir kondushmanon ke sath mere dost bhi aazad haindekhana hai khenchata hai mujh pe pahala tir kon

Doosti teri ham ko piari heSari dunia se ye nirali heTu agar mangle ye jan mujh seHanske de den ge ye tumhari heTu mera dost kitna pyara heTere bin ab nhi gujara hePas ho dur chahe hota heTera har pal mujhe shara heZindagi jabbhi gam me dubi heIsko tune dia shara heTeri baton se aesa lag ta heTera khushio se kuch kinara heGam me duba he tera har pal qnuJab tujhe mila mera shara heTujh se ham ne kia ye wada heAakhri sans tak nibhayengeBas khuda se duwa ye mangi heTeri khusho ko sirf manga heTujh ko mil jai teri shusha sabRab se har pal yhi manga he.Aap ko kisi bhi tar han ki shayri chahiye btaname usi tar han ki likh ne ki koshish karun gi.

Shahar mein dhund raha hun ke sahara de dekoi hatim jo mere hath mein kasa de deped sab nange faqiron ke tarah sahame hainkis se umeed ye ke jaye ki saya de dewaqt ke sangzani noch gai sare naqushab wo aaina kahan jo mera chehara de dedushmanon ke bhi koi baat to sach ho jayeaa mere dost kisi din mujhe dhoka de demain bahut jald hi ghar laut ke aa jaungameri tanhai yahan kuch dinon pehara de dedub jana hi muqadar hai to behatar varanatune patavar jo chini hai to tinka de dejis ne qataron ka bhi mohataj kiya mujh kowo agar josh mein aa jaye to dariya de detum ko “rahat” ke tabiyat ka nahi andazawo bikhari hai magar mango to duniya de de

Agar Aap Ek Tedy Bear HoteTo Pass Aapne Rakh LetiDaal Ki Aapni Jholi MeinSang Aapne Le ChaltiSubaho Sham Deti Ek Pyaara Sa KissKaheti Mr Hun Main Teri MissHug Kar Ke Roz Raat KoSang Aapne SulatiKash Aap Barbi Doll HoteTo Aapne Show Case Mein Rakh LetiDekha Ke Aapne Doston KoKhub Bost Kiya KartiJab Khelti Sakhiya Ghar GharTo Aapna Dulha Bana LetiHalwa Puri Bana Ke RozAapne Dulhe Raja Ko DetiAgar Aap Mere Doggi HoteTo Chain Se Banadh Ke RakhtiKaan Pakdke KeechtiAur Khoob Pyaar KartiAgar Aap Hote Mere PcTo Din Raat Aap Ko DekhtiChahe Mama Kitna DattiAap Se Hi Baate Karti RahetiPar Aap Ho Ek Hakiqat HoAap Ko Dil Hun De BathiPaa Nahi Sakti To KyaYeh Dostana Nahi Tutne Dungi