Kuch Khabar Nahi Hum Ko Apna Ya Paraya Hai; Dhoondne Ye Dil Jis Ko Is Gali Mein Aaya Hai; Hum Duayein Dete Hain Tum Ko Phir Bhi Jaan-e-Jaan; Magar Tum Ne Is Dil Ko Be-Panah Sataya Hai

Kuch Pane Kee Chaahat Mein Bahut Kuch Choot Jata Hai; Na Jane Sabr Ka Dhaga Kahan Par Toot Jata Hai; Zara Batao Ki Tum Kise Humraah Kehte Ho; Yahan To Apna Saya Bhi Saath Chod Jata Hai

Aadatan Tumne Kar Diye Vaade Aadatan Hum Ne Bhi Aitabaar Kiya; Teri Raahon Mein Baarahaa Ruk Kar Humne Apna Hi Intazaar Kiya; Ab Na Maangenge Zindagii Ya Rab Ye Gunaah Humne Ek Bar Kiya

Har Chaman Mein Mumkin Hai Ki Gul Khil Jaaye; Tumhe Bhi Hamare Baad Mumkin Hai Koi Aur Mil Jaaye; Zindagi To Tumne Kabhi Hum Ko Jeene Na Di; Ab Marna Chaha To Kehte Ho Ki Maut Bhi Na Aaye

Aatish-e-Ishq Mein Jal Jaun Tujhe Is Se Kya; Mausam Kee Tarah Badal Jaun Tujhe Is Se Kya; Chot Khaun Ya Zakham Lage Ya Ehsas-e-Gham Mein Tarpun; Main Gir Jaun Ya Sambhal Jaun Tujhe Is Se Kya

Mohabbat Yahan Bikti Hai Ishq Nilaam Hota Hai; Bharose Ka Katal Yahan Khule Aam Hota Hai; Zamaane Se Mili Jab Thokar To Maikhaane Chale Gaye Hum; Aaj Wahi Zamaana Humein Sharabi Ka Naam Deta Hai

Gham e Dunia Mein Gham e Yaar Bhi Shamil Kar Lo; Nasha Bhadta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milein; Ab Na Wo Main Hun Na Tu Hai Na Wo Mazi Hai Faraz ; Jaise Do Saye Tamanna Ke Sarabon Mein Milein

Hazaaron Khwahishein Aisi Ki Har Khwahish Pe Dum Nikle; Bahut Nikle Mere Armaan Lekin Phir Bhi Kum Nikle Nikalna Khuld Se Aadam Ka Sunte Aaye The Lekin; Bahut Beaabru Hokar Tere Kuche Se Hum Nikle

Nahin Jaata Kisi Se Wo Marz Jo Hai Naseebon Ka; Na Qayal Hun Dawa Ka Main Na Qayal Hun Tabibon Ka; Na Shikwa Dushmano Ka Hai Na Hai Shikwa Habibon Ka; Shikayat Hai To Kismat Ki Gila Hai To Naseebon Ka

Churi Kee Nok Se Zakhmo Pe Wo Marham Lagate Hain; Zakham Bhi Khud Hee Dete Hain Khud Hee Aansu Bahate Hain; Yeh Kaisa Pyaar Hai Unka Koi To Humko Samjhao; Sitamgar Hain Ya Hain Dilbar Woh Jo Yaad Aate Hain

Zakham Dene Ka Andaz Kuch Aisa Hai; Zakham Dekar Kahte Hain Ab Hal Kaisa Hai; Zehar Dekar Kahte Hai Ab Pina Hi Hoga; Aur Jab Pi Liya To Kahte Hain Jina Hi Hoga; Yehi Hai Dosto Pyar Ki Kahani Haste Haste Phir Rona Hi Hoga

Hum Ko Unse Hai Wafa Kee Umeed; Jo Nahi Jaante Wafa Kya Hai; Haan Bhala Kar Tera Bhala Hoga; Aur Darvesh Kee Sada Kya Hai Translation: We hope for fidelity from them Who do not know what fidelity may be Yes do well well will come to you What else is the Dervish s cry?

Haan Woh Nahin Khuda Parast Jaao Woh Bewaafa Sahi; Jisko Ho Deen-o-Dil Aziz Uski Gali Mein Jaaey Kyun? Ghalib-e-Khasta Ke Baghair Kaunse Kaam Band Hain; Roeye Zar Zar Kya Kijeye Haae Haae Kyun? Khuda Parast = Godly Deen-o-Dil = Heart and Faith Ghalib-e-Khasta = Hapless Ghali

Ba Andaaz-E-Ghaiz-O-Ghazab Bolti Hain; Ba Awaaz-E-Shor-O-Shaghab Bolti Hain; Nahin Bolti Hain Tau Kab Bolti Hain; Pe Jab Bolti Hain Tau Sab Bolti Hain Translation: Andaaz-E-Ghaiz-O-Ghazab: Spit Fire And Smoke Awaaz-E-Shor-O-Shaghab: Hall Reverberates With Their Shouts And Shrieks

Main Bhi Munh Mein Jubaan Rakhta Hun; Kaash Pucho Ki Mudda Kya Hai; Jab Ki Tujh Bin Nahi Koi Maujood; Phir Yeh Hungama Ai Khuda Kya Hai Translation: I also have a tongue in my mouth If only you could ask its articulation if there is nothing apart from you Oh Lord Then what is this continual turmoil