Ishq Se Kabhi Humne Inkaar Nahi Kiya; Par Iss Dil Ko Kabhi Itna Bekarar Nahi Kiya; Bas Aankhon Mein Unke Sapne Sajaye Rakhe Hain; Magar Kabhi Humne Honthon Se Ishq Ka Izhar Nahi Kiya

Ungliyaa Meri Waafa Par Naa Uthaooo Logo; Jisko Shaq Hai Wo Mujhse Nabhakar Dekho

Qaasid Ke Aate Aate Khat Ek Aur Likh Rakkhun; Main Jaanta Hoon Jo Wo Likhenge Jawaab Mein

Jubaan se samajna chahoge toh kuch naa paoge
Meri aankhon meh dek lo khud ko khud jaan jaoge

Zindagi Taj Mahal ho jaye Chandani khil ke kamal ho jaye Tum jo ban jaao dost mere Dil ki dhadkan bhi ek Ghazal ho jaye

Lamhe Ye Suhane Saath Ho Na Ho; Kal Me Aaj Jaisi Koi Baat Ho Na Ho; Aapka Pyar Hamesha Is Dil Mei Rahega; Chahe Poori Umar Mulaqat Ho Na Ho

Woh Tu Milta Hay Mujhse Mehdood Se Lamhon Me Faraz; Yeh Dil Hay Kitni Fursat Se Sochta Hay Usay

Muhabat Kia Hai Do Lafzon Main Tumhe Batata Hoon; Tera Majboor Kar Dena Aur Mera Majboor Ho Jaana

Main Apni Zaat Ki Tanhaiyo Mein Zinda Hoon; Magar Yeh Bhi Sach Hai Ke Mujhe Teri Zarorat Hain Bahut

Humne Hamare Ishq Ka Izhaar Yoon Kiya; Phoolon� Se Tera Naam � Pathron� Pe Likh Diya

Ek Khwaish Sirhane Rakh Do Na; Aaj Mujh Pe Tum Inayat Kar Do Na; Zara Chupke Se Khamoshi Se; Tum Izhar-e-Mohabbat Kar Do Na

Teri Khushbu Se Waqif Ho Main; Yeh Andaz Se Kayal Hun Main; Mujhe Apni Zindagi Ka Har Pal Dede; Yehi Mere Jinne Ka Tamanna Hai

Hum Chahat Ke Afsaane Likhte Rahe: Woh Bhi Humein Durr Se Takte Rahe; Jab Humne Izhar Karne Ko Haath Thama; To Mehndi Se Ranga Unka Haath Paya

Dil Jeet Le Woh Jigar Hum Rakhte Hai; Katal Kar De Woh Nazar Rakhte Hai; Wada Kiya Hai Kisi Se Hamesa Muskurane Ka; Warana Hum Bhi Ankhon Mai Samunder Rakthe Hai

Tu Hi Bata Ae Dil Tujhe Samjhaon Kaise; Jisse Chahta Hai Tu Usse Nazdeek Laun Kaise; Youn Toh Har Tamanna Har Ehsaas Hai Woh Mera; Par Uss Ehsaas Ko Yeh Ehsaas Dilaun Kaise